Question: سلام ایک نامحرم عورت جو گھر میں بھی رھتی ھو اور اس کو ادھر ادھر جاب کے لیے بھی چھوڑنا ھو اس کی مجبوری کی وجہ سے کے کوی اور حل نئ تو اس سے نکاح متعہ صرف محرم کرنے کی نئت سے کے کوی گناہ نا ھو جاے کر سکتے ھیں جیسے بات کرتے انے جانے کے لیے بایک پر
Answer: Is surat men bhi larki say mutah kiya jasakta hai. Lekin Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar na ho wo os waqt tak nikah (daimi ya mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat lay lekin aghr baap ya dada na ho to kisi sy ijazat lena zarori nahi hy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia shohar biwi ke hotay aur os say azwagi taluk rakhtay huway kisi dusre larki say mutah kar sakta ha mujhy is pe details chahiya
Answer: Jee mard k liye jaaiz hai k wo doosra daimi nikah ya ghair daimmi nikah karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 mafhoom e maslah 2381). [Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, Muttah me mard aur aurat ki physical relation ki minimum lazmi limits kya hain?
Answer: Mutah mai ehtiyat e wajib ki bina par shohar jawan biwi sai 4 mahine sai ziada humbistri tark nahi kar sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2386). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it permissible to do mutah with a prostitute who is not famous in this act (prostitution)if yes then what are the conditions like is it obligatory to took permission from the father of unmarried prostitute?
Answer: 1: Zina kerne wali aurat k sath muta jaiz hay, laikin jab wo zina main mashhoor ho tu ehtiyaat e lazim ye hay k os se oski tauba k se pehle muta nah kia jaey. (Ref: Ayatallah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Eidition 1427 hij, Mafhoom e Maslah #261). 2: Agar larki Kunwari(virgin) ho to us se os waqt tak nikah(daimi ya mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kanwari hi kehlaay gi. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah # 2341,2342) )(Ref: sistani.org, arbi ) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikah muta kia h? Or kiun hota h? Iske kiya faide he or kia nuksanat?
Answer: Nikah e muta aarzi or mauayyan waqt k liay hota hay. or ye muqarrar shuda waqt per khud bakhhhud khatam ho jaata hay. Is k bohot se faide hain laikin nuqasanaat nahi hain. Ye bhi nikah hi ki aik qisim hay.(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%DA%A9%D8%A7%D8%AD_%D9%85%D8%AA%D8%B9%DB%81#.D9.86.DA.A9.D8.A7.D8.AD_.D9.85.D8.AA.D8.B9.DB.81.D8.8C_.D8.A7.DB.8C.D8.B1.D8.A7.D9.86_.DA.A9.DB.92_.D9.85.D8.AF.D9.86.DB.8C_.D9.82.D8.A7.D9.86.D9.88.D9.86_.D9.85.DB.8C.DA.BA). [Updated on 09-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia mutah marriage time sa phaly khatam ho Sakti ha
Answer: Jee agar us muddat sai pehle shohar apni biwi ko keh de k mai ne baqaya muddat tum ko baksh di tou ye mutta khatama hojaaye ga or dono aapas mai na mehram ho jaaye gay.(Ref:Tauzzeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2396). [Updated on 18-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Khula shuda ya talak yafta larki se mota kiya jasakta hai jab k mard shadi shuda hai or jis se wo mota karna chahta hai uski aulad bhi hai
Answer: Jee han, mutah karna jaiz hai, Nikah e Mutah ka wohi tareeka hai jo daaimi (permanent nikah) ka hota, Albatta is men ye zaroori hai k nikah se pehle Muta ki muddat(time period) mauyan ki jaye or Meher bh tay kia jaye, or muta k seghe perhe jain Or Nikah me ghawahon ki zarorat nahi hoti hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Mafhoom e Maslah # 2333 se 3335) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum. Aaqa me ye puchna chahti hun k agar mutta baghair muddat teh kiye Kar liya jaye to kya hota hay?
Answer: Nikah Muttah parhne se pehle waazih taur par Muttah ki muddat or Mehar te karena zaroori hai. pas agar Muttah ki muddat aur mehar te na kiye jayen to Nikah e Muttah batil hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 42, Mafhoom e Maslah #2334,2335). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A woman have done Muta with a guy and before completing the duration that mutah has been suspended without any physical relationship. I want to know whether the Haq Mehar would be returned to the husband or not?
Answer: Agar Mutah k baad hambistari hoe na hoe ho to aadha mehar wapas dena hoga. aur koi iddat bhi nahin rakhne hogi. (Ref: Ayatullah seestani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2395) and (Ref: Minhajus saliheen, part #3, maslah #259) [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: How I can perform temporary Nikah with Sunni Widow woman?
Answer: Jab tak Sunni larki Nikah e Mutta k Sharaei hone ka aqeeda na rakhe tab tak kisi sunni larki se Nikah e mutta sahi nahin hoga. (Ref: Mafhoom e Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11) [Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]