Question: Ladki baligh aur virgin h,aur muta krna chahti h,bt iske lye wo kisi wjhse apne baap dada ki ijazat nahi lena chahti to kya is surat me us ldki se muta kya ja skta h?
Answer: Nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2342). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: me ye jan na chahti hu k muta krne k baad kya larki ko haq e zojiyat mlta hy ya nahi? aur mje ye b janna ta k muta k baad larki ka iddat me bethna zarori hy n agar wh ksi masley k tehat na beth paye tou iska koi kufara dy skti hy?
Answer: 1)Jis aurat k sath mutaa kiya gaya ho chahay wo hamla bhi ho jaey kharach (naan o nafaqa) ka haq nahi rakhti aur aurat shohar k sath raat guzarne ka bhi haq nahi rakhti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2388-89). 2) Jee haan iddat zaroori hai q k jis larki ki umer puray 9 saal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho, agar wo mutta kare to agar is ka shohar is se mujameat (jima/intercourse) kare aur mutta ki muddat khatam ho jaey ya shohar use muddat baksh (maaf kar) de to zaroori hai k wo orat iddat rakhe. Muta ki muddat pori hone k baad k iddat main kisi or shaks se sirif nikah kerna haram hay. Or koe kaam alag se wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2479). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asalam o alekum ,kia jis sai mutaa kia ho tou kia us sai nikah ho sakta hai ya nahi
Answer: Jee Haan osi orat se permanent nikah ho sakta hai lekin ye zaruri hai k muta ki muddat jo un k darmiya tay hui thi wo khatam ho chuki ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2396). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal yeh hai kai kiya main apni shadi shuda dost ki biwi kai sath MUTAH kar sakta ho. aur mjhe kiya karna ho ga plz plz mjhe batatiq
Answer: Jee nahi, aap shadi shuda aurat jab k wo kisi k nikah main ho os se Muta e nikah nahi kr sakte Q k Shadi shuda aurat se shadi karna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia Waqee Shia Mutta Kartay Hain .Main Khudd Bhi Shia Hoon Meri Umer37 Saal Hi Main Nay Aj Tk Mutta Hotay Huay Nahi Sunna Kia Yeh Chhup Kr Kia Jata Hi ....
Answer: Jee haan bilkul shia hazraat main muta kerna jaiz hay is liay k ye deen men mojud hai or balkeh khud Rasool-e-Akram or Moula Ali a.s k zamamne men muta kiya jata tha or ise chhup ker anjam nahi balke sare aam nikah ki tarah hi anjam diya jata tha magar Ahl-e-sunnat k nazdeek ye jaiz nahi hai is liye muashre men mashoor nahi hay or bohot kam shia is ko sab k saamne zahir kiay baghair anjam dete hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2385). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Can I make "Muta" with sister in law or Sali (she is divorced) and I am living with my wife and daughter.
Answer: Jee nahi aap apni Sali se Mutta nahi kar sakte is liay k jab tak aap ki bivi aap k nikah men mojood hen tab tak aap apni saali se muta nahi ker sakte.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2355). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalamoalikum. kaya islam mian mutta jaiz hy..? Mutta "kuch arsay k liye nikha karna" And plz ans me with raf.. ws
Answer: Jee haan muta jaiz. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2385). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam.Sir mera ya sawal hai maina muta kiya hai or humna sigha urdu main parha tha tou kya hamra muta jais hai ya galat??
Answer: Agar baqi sari sharten mukamal hain tu ager lerka lerki arbi main sahi segha nah perh sakte hoon tu arabi k alawa kisi or zabaan main sigha parh sakte hain laikin zarori hay k dono ese alfaaz istemaal karain jo k arabi k alfaz (zawwajto or qabilto) ka mafhoom ada kar dain ya ager larki kanwari ho to us k wali yani baap ya dada ki ijazat shart hai to muta sahi hai, or Agar koi ek shart bhi kam ho to muta batil hojaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kisi bhe larki say muta kia ja sakta hay? kwah wo bhan ho ya beti? is ki kia shtait hain?
Answer: Muta nikah hi ki aik qism hai bas jis tarah behn,beti se nikah kerna haram hai isi tarah behan,beti se muta kerna bhi haram hai balkeh tamaam mehram, orto se nikah kerna haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sawal ye hy k ak ourat apnain hasbend sy divorce chahti hy ho wo shaks ussy chornain ko tayyar ni inka fisical relation b ni raha wo nafrat karnain lagi hy ussy par wo talaq ni de raha inteqaman kia wo orat nikkah mn rehty hwe mutta kar sakti hy?
Answer: Shadi shuda aurat jo kisi k nikah main ho nikah e muta nahi ker sakti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).