Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12957
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Muta k bari mi aj k zamani mi kya hokm hi. 2.Aur mutaa hota kya hi.3. E jaiz hi k nahe pakistan mi according to rehbar

Answer: Islam main Muta jaiz hai or sharee haisiyat rakhta hai, or Rasool Akram (s.a.w.w) k zamane men raaij tha or Quraan majeed men Bhi Surah Nisa Ki Ayat#24 men zikr mojood hai.(Ref: Tafseer e Namoona Vol # 03, Pg # 241-242-243). 2)Nikah ki do qismein hein. 1:Daimi (yani hamesha ke liye nikah) 2: ghair e daimi (yani muqarrah waqt k lie nikah) Nikah e daimi usay kehte hein jis mein nikah ki muddat moay’yan na ho aur wo hamesha k liay ho aur jis aurt se nikah e daimi kia jaay usay daima kehte hein. Ghair e daimi nikah wo nikah he jis mein nikah ki muddat moay’yan ho misal ke tor par aurat k saath aik din ya aik ghante ya aik mahinay ya is se ziada muddat k lie bhi nikah kia jata hay.(Ref: Ayatullah sistani(d.b),Tauzee hul masail Urdu, maslah# 2328 ke upar ka paragraph pg # 357). [Updated on 07-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12985
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam ....oulad krne k lye mard ksi ourat se mutah krskta bivi k hotey hoe

Answer: Jee han,mard kise musalmaan aurat se muta kiya jasakta hai, Nikah ki do qismein hein. 1:Daimi (yani hamesha ke liye nikah) 2: ghair e daimi (yani muqarrah waqt k lie nikah) Aur Nikah e daimi usay kehte hein jis mein nikah ki muddat moayyan na ho aur wo hamesha k liay hota hai, aur jis aurt se nikah e daimi kia jaay usay daima kehte hein. Ghair e daimi nikah wo nikah he jis mein nikah ki muddat moayyan ho misal ke tor par aurat k saath aik din ya aik ghante ya aik mahinay ya is se ziada muddat k lie bhi nikah kia jata hay, jab aurat se nikah e ghair e daimi kia jaay usay mutaa kehtay hain. Nikah ke liye larkay ko apne ghar walo sai ijazat lene ki zarorat nahi hai lekin kunwari larki ko apne wali yani (baap ya dada) sai ijaazat lena zaroori hai, larki ke baap ya dada se ijazat liye bager larki se nikah e daaimi ya ghair e daaimi nahin kiya jasakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah #2328,2388,2341,2342). [Updated on 06-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13178
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sunni bewa aurat se mutta kis Tarah Kiya ja sakhta hai.

Answer: 1)Nikah chahe daimi ho ya ghair daimi (yani muta) is main seegha (nikah k bool (alfaz) perhna zarori hay, aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah faqat (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hai, Aqd e nikah ki khuch shartain hain jin me se khuch ye hain k:- 1-Ehtiyaat e wajib he k nikah ka seeghah sahi arabi me parha jaey,or agar khud mard or aurat sighah arabi men na perh saktay hoon tu arabi k Alawa kisi dosri zaban main parh saktay hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi hay. 2- sighah parhne wala aqal-mand ho or agar apne liay perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3- Merd or aurat or uska wakeel sighah parhte waqt qasd e insha (nikah ka irada) rakhte hon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). 2)Gher Daaimi Aqad (Mutta) wo nikah hai jis men izdiwaj (shadi) ki muddat moayyan hoti hai, Misaal.. orat k sath ek ghante ya ek din ya ek mahine ya ek saal ya is se ziayada muddat k liay aqad kiya jaey, lekin is nikah ki muddat orat or mard ki dono men se ek ki aam umar se ziyada nahi honi chahiye q k is surat men nikah (mutta) batil hojaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # after the masla # 2328). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13286
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr larki ko pata hai k baap ijazat bilkul nhi dega mutte k liye, is liye ijazat na le or mutta kre, to kiya mutta batil hai?

Answer: Mutaa durust nahi hoga Q k aisi kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho osay nikah k liye apne wali(Baap ya dada) ki ijaazat lena zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13375
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mujh ye jana ha k kia mutah ki muddat k bad larki ka iddat krna lazmi ha jab k us ka apny shohar k sath koi physical relationship nahi hoa siway externally romance k ilawa koi

Answer: Agar nikah daaimi (yani hamesha ka nikah) ya gaire daaimi (yani mutah) k baad se hambistari nah hoe ho tu phir koi iddat nahi hai. aur Agar hambistari hoe ho tu iddat rakhni hogi.(Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah 2475. [Updated on 05-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13462
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager maa bety se muttah khtam kerne ko boly to bety kya kerien beta apni permanent nikah wali biwi k saath rehta hai or muttah b kisi se kiya hai agr maa khtam kerne ko bolay to beta kya kery?

Answer: Is maamlay mai parents ki baat manna zarori nahi hai, Aur Mutta khatam karne ke liye kisi ko majboor nahin kiya ja sakta. aur muta ki muddat poori honay say muta khud ba khud khatam ho jata hay ya larka baqi muddat maaf karta hay to muta khatam ho jaata hai.(Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03, Mafhoom e Maslah #575 ). [Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13472
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mutah mein agr admi gusse se bol dy k mere se baat krne ki need nhi,jese mian bv k jhagrhe hotey.kya is se nikah khtm jo jy ga

Answer: Jee nahin is tarah se nikah e muta khatam nahin hota. balke muta ki muddat khatam hone se ya muddat baksh dene se nikah e muta khatam ho jata hai. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Minhajus saliheen, part#3, maslah #252) [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13481
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shohar biwi ke hotay mutaha kar sakta hai kisi dusre larki se

Answer: Jee han, Is surat main bhi shohar kisi aur se muta kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, mafhoom e maslah #2335) [Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13494
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam alaikum Qibla kya mutah jayez he agar he to ishe karne ka tarika kya ...qibla plz answer

Answer: Jee han, mutah karna jaiz hai, Nikah e Muta ka wohi tareeka hai jo daaimi (permanent nikah) ka hota, Albatta is men ye zaruri hai k nikah se pehle Muta ki muddat (time period) or Haq e Meher taey kerna hoga, or muta k seghe perhe jain Or Nikah me ghawahon ki zarorat nahi hoti hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2333-34-35).(Note: Muta ki mazeed malomaat k liay is link per click karain). https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%DA%A9%D8%A7%D8%AD_%D9%85%D8%AA%D8%B9%DB%81 [Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13557
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai Aik larki se muta karna chahta hoo Wo hasaii larki hai Aur Wo spa massage mai Kam karti hai agar Wo passy lay kar muj se Muta karne k liyeh tiyar hoo jaee tu Kiya mai kar sakta ho us se plz thanks

Answer: Yahodi or essae aurtoon se muta karne main koe haraj nahi or ehtiyaat e lazim ki bina per on se aqd e daaimi nah kia jaey. Wo mard jis ki bivi musalman ho woo s ki ijazat k baghair yahodi ya essa e se nikah (muaqqat yani muta) nahi kar sakta balkeh ehtiyaat e wajib ki bina per os(bivi) ki ijazat say bhi in se nikah(muaqqat yani muta) jaiz nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2362). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!