Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3023
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia larka larki muttah khud parh saktey hain???

Answer: Jee khud perh sakte hain.or agar wo lerki Kunwari ho or khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335).Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3396
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it possible to have more than one mutah at a single time? same like a man can have four nikah at the same time?

Answer: Yes it is permissible to have many temporary wives at a time although you have four permenet wives too. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #202 , Eidition 1427 hij). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3397
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If I do mutah wid some one, and when the duration is finish can i do mutah next day again with the same girl? is it possible to extend the decided time of mutah if both girl n boy agrees?? thanx

Answer: If a man contracted a temporary marriage with a woman, and the period of her Iddah has not ended yet, he is allowed to contract a permanent marriage with her or renew a contract for temporary marriage with her,but is not permissible to extend time of muta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3455
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir muttah ka tariqa kia hai plz tell.

Answer: 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaey,or agr khud mard or aurat sighah arbi main nah perh saktay hoon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi hay. 2. Sighah parhne wala aqal-mand ho or agar apne liay perh raha ho to baligh bhi hona zurari hai. 3. Mard or aurat or uska wakeel sighah parhte waqt qasd-e-insha rakhte hoon (matlab ye niyat ho k abhi nikah ko Ejaad ker rahe hen) 4. Nikah Muta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaye. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-5). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3475
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is Muta Marriage with Shemale for pleasure is allowed ?

Answer: 1)Aqad e izdiwaaj k zarie aurat mard par aur mard aurat par halal ho jatay hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #357). 2)Ab ye dekhna paray ga k khunsa -yani wo k jis k pas mard aur aurat donoo ki sharam gah(peshab ka makhraj) hon- mard hay ya aurat. Agar kisi terha say pta chal jay to osi k ahkam jari hoon gay aur agar pta na chal sakay to os ko pechannay ka ye tareeqqa hay: Dekhain gay k wo peshab kaha say karta hay agar mard ki sharamgah say kartay hay to mard ho ga aur agar aurat ki sharam gah say karta hay to aurat ho ga. Agar wo donoo sharamgahoo say peshab karta ho to ye dekhain gay k sab say pehlay kis say peshab karta hay agar mard k aalay(sharamgah) say niklti hay to mard aur agar pehlay aurat k aalay say niklti hay to aurat samjhain gain. Aur agar donoo say sath peshab karta ho to kaha gya hay k ye dekha jay k aakhir may kis makhraj say khatam karta hay agar mard say to mard aur agar aurat say to aurat samjhain gain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #1094 , Eidition 1427 hij). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3676
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: MUTTHA KIYA HY KIYA PAR NY KY BAD AP APNY GIRL FRND KY SATH SEX KAR SAK THY HO PLZ REP FAST?

Answer: Kunwari larki ka nikah mutta k liye apne walid ya dada se ijazat lena zaruri hai wrna mutta nahi hoga, Agr mard or orat khud Muta ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat (period) aur meher tay karney k bad pehlay aurat ye kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم) (Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma`loom) Or os k baad merd foran marf kahe (قبلت)(qabilto) tu nikah ho jay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-2343). Update on dated 22-05-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3700
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia muta may mahar k bagain b nika ho jay ga.

Answer: Jee nahi Mehar k baghair nikah Muta nahi ho ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2383). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3849
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: YA ALI MADAD KYA ME MUTTA APNI SISTER SE KAR SAKTA HON? MERI BABI MUJSE MUTTA KARNA CHATI HEN KYA INKE HUSBEND SE PERMITION LENI HOGI ?

Answer: 1)Behen(Sister) se nikah chahe wo mutta ho ya permanent nikah, haram hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2349) 2) Isi tarah wo aurat jo kisi k nikah ya iddat main ho os se nikah e daimi ya muta kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 22-05-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3925
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.o.a aik shadi shuda lartki se nikhe ghardaimi karna chahta hon us k husband mulk se bahar ha shadi k bad un k darmyan hum bistari nhe hue kya huma nikha ghardime kar sakta hn or karsakta hn tu procedure kya ho ga

Answer: Shadi shuda aurat k sath shadi kerna (chahaey daimi ho ya ghair daimi) haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2366). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4055
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya koi shadi shuda mard sirf sex k liye kisi aurat sy mutta kr sakta hai ? Plz is ka jawab zaroor dijiye ga

Answer: Jee haan shadi shuda mard muta ker sakta hay, albatta jis orat se mutta kare agar wo Eesae (chiriston) or Yahudi ho tu ehtiyat e wajib ki bina per bivi ki ijazat se bhi in se nikah nah kia jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2362). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!