Question: salam sir! mara sawal ya ha k kya muta k wak qabooliat k alfaz mard k liya adda karna zarori hain ya ejaab mard aur qabooliat aurat ki taraf say bhi ho sakta ha?
Answer: Nikah (daimi/mutah) mai ehtiyaat ki bina par aijaab qabool se pehle ho, Ehtiyat is men hai k eijaab aurat ki janib sai ho aur qa bool mard ki janib sai ho, Agrch is ka ulat bhi jaiz hai. Laikin merd agar aijab ka segha perhe tu wo zawwajtuka nah kahe balkeh zawwajtuki kahe. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 30-31, Eidition 1417 hij). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: salam sunni hazrat ke nazdik muta jaez nahi hay aysa urfe aam hay, to kya kisi shia ka kisi sunni larki ke sath ya kisi shia larki ka kisi sunni larki ke sath mouta karna sahi hay ?
Answer: Jab tak Sunni larka ya larki Nikah e Mutta k Sharee hone ka aqeeda na rakhen tab tak kisi sunni larke ya larki k liay Nikah e muta sahi nahi hoga. (Ref: Mafhoom e Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aslam alaikum main ek shadi suda aurat se mutaa kar sakta hoon jab ki meri bivi bhi hai aur uska sohar bhi hai kiya mutaa karke ham dono zina kar sakte hai esme to koi gnah nahi hoga aur mutaa ki muddat kitne hoti hai.
Answer: Jee nahi Shohar daar aurat se mutah e nikah ya daimi nikah karna haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2366). Update on dated 21-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AssalaamOallaikum, Kya Gair Shadi Shuda Mard Mutah Kar Sakta Hay?
Answer: Jee han kar sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2385). Update on dated 13-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya Ek Bazaro Larki Se Mutah Hosakta Hay?
Answer: Ehtiyaat wajib ki bina per zina main mash,hoor aurat se muta jaiz nahi, Haan Agar wo Bazaru larki (apne guzishta amaal ki Toba ker le (is tarah k goya wo toba kerne men bhi mashoor ho jaye) to phir jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2364). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: KYA TALAK SHUDA 2 MARD SE AIK SATH MUTA KER SAKTI HAI. DONO KE SATH LAZZAT K LIYE MUTA KARNA CHAHTI HAI
Answer: Jee nahi, aik aurat aik waqt men faqat aik mard k sath hi nikah ker sakti hai chahe wo nikah daimi ho ya muta ho yahan tak k agar aurat iddat mai bhi ho os waqt bhi iddat ki muddat khatm kerne sai pehle nikah nhi kr sakti hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 189, Eidition 1417 hij). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kia mutaa 17 sala larka 14 sala larki se karaskta hai? plz help me
Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam o Alaikum. Mera sawaal hai kay kia aik balig ghair shadi shuda larka kisi ghair shadi shuda larki se mutah kar sakta hai? aur agar wo larki shadi shuda ho tw us k liye kia hukum hai? Kindly Reply. Thanks
Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). 2)Shadi shuda aurat se nikah karna haram hai, chahe nikah daimi ho ya mutah ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam o Alaikum, Agah sahab mera sawal hai k kia aik un married larka(BOY) jo k balig hai.. kia wo muslim unmarried (virgin) larki (girl) se mutah kar sakta hai.. please reply.. w.salaam.
Answer: wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: janab M n ak kwari larky s mutah kia tha magar us n apne baron se ijazat ni li thi. Albata us Bap or Dada Wafat krgae hain. or Muta ke mudat pury hochuki he Ki hamara muta shi tha
Answer: Jab aap ne nikah e Muta kiya tha agar us waqt larki k walid ya dada zinda nahi the to aap ka nikah e muta sahi hoga is liay k larki ka apne wali (bap or dada k alawa kisi or se nikah ki ijazat lena zaruri nahi hai). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341-42). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).