Question: Jo aurat khana time sy na khati ho, kabhi subha ka nashta kr liya or kabhi nai , dopehar ka khana bhi na khae wo aurat pregnent ho skti hai kia ?
Answer: Pregnant hone ke liye khana khane ya kam khana khane ya na khane ka koi amal dakhal nahin isi liye ke agar mard jima se farigh hone ke baad aurat se aahistagi se alag ho jaye or aurat kuch der tak chit leti rahe, or apni rano ko mila ke rakhe to pregnant ho sakti hai. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg #151). [Updated on 12-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA. Mri bewi ko 12 din upar ho gy h lekin test negative aya h es halat ma bewi sa mil skty h ya ni
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is IVF ( In Vitro Fertilization) allowed / acceptable in islam?
Answer: Shohar ki mani ke alawa aurat ka hammila hona jaiz nahin hai. Haan, aurat ka tauleed shuda maadah kisi dusri aurat ke rehem main daalna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani(d.b), edition #42, pg #464,465). [Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr hamal thehr jae or doctor k mutabiq 2 mah baad b bacha na bn raha ho or bleeding start ho jye tw Kya safai krana jaez Hy or safai krany k bad Jo khoon ata rhy wo Konsa khoon ho ga
Answer: 1: Qarar e nutfaa (yani aurat ke rehm men mard ki mani thehrne) ke bad isqat e hamal (bachhe ko zaya) karna jaiz nahin hai magar ye khauf ho ke hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi ke liye nuqsandeh hai ya na-qabil e bardasht haraj ka baais ho to agar hamal men jaan na pari ho to isqat e jaaiz hai. lekin hamal men jaan parne ke bad bachhe ka zaya karna hargiz jaaiz nahin hai, chahe maan ke pait me maujood ho ya paida ho chuka ho. 2: Bache ka pehla juz maan ke pait se bahar aane ke waqt se 10 din tak jo khoon aurat ko aaye wo khoon e nifaas kehlata hai lekin shart ye hai ke use zigchi ka khoon kehna sadiq aata ho. ye ho sakta hai ke nifaas ka khoon aik lahze se ziyada nah aaye lekin 10 dino ke baad aane wale khoon ko nifaas nahin kehte. 3: Yeh zaroori nahin hai ke bache ki khilqat mukammal ho balkeh agar uski khilqat na-mukammal ho lekin "Alaqa(علقہ)" yani khoon ka lothra ya "Muzgha(مضغہ)" yani ghost ka tukra hone ki haalat se guzr chuka ho aur phir gir jaaye to bhi jo khoon 10 din tak aaye, khoon e nafaas hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #89,466, maslah #72,498,500,501). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: meri pregnancy ko ek month guzerne k baad mein ne ramazan k 11 rozey bhi rukhe hai or 11 rozey k akhir mein aa ker achanak mujhe mamooli si bleeding hui kiya jab oarat ko hamal taher jai to roza rukhna theek hai kj k buche ko khooraak to chahiye hoti hai us k baad se 6 ghenty guzar gaye hai bleeding nhi hui kiya mein roza baad mein rukhoon ager hamal zaya nhua ho to???? Please i am so much worried about that mere is se pehle b 2 hamal zaya ho chuke hai or mere 2 buche b hai mujhe bataye k kiya karoon????????
Answer:
Question: aslamaulaikum, keya family palnning karna jaiz hay ya nahi....aur yeah bhi kay aj kal jab aurat pregnent hoti hay to 6 month main yeah bataya jata hay kay baby girl hay ya boy..keya yeah jaiz hay,kuin kay jsi cheez ka alim allha ko hay wo aj kal hamray docters khoob anjam day rahy hain....
Answer:
Question: ASSLAM.O.ALIKUM SIR g main aap s e ye pochna chata hoon k chand garhin hamla urat per ketna asr krta hain or us k shokhar k kuch krne matlin chand garhen k doraan koi kam kare ya sone se baby pe koi asr ho ga q aj pakistan chand garhen lagna hain or us en muj phone ker kahan k sari raat sona nahi na bathna hain sir to plzz aap meri help kerein QURAN OR SONET se plzzzzzzzzz thnxz AAP K JAWAB KA MUNTIR HOON ALLAH KHAFIZ
Answer:
Question: Assalamoaleykum, Sir mera naam Shaikh Faizan hai mai aapse ye sawaal poochhna chahta hu ki khuda e paak ke fazlo karam se meri wife 5 mahine se pregnent thi magar hamari naasamjhi, nadaani or bewakoofi ki wajah se abhi kuchh din pehle hamne hamari aulaad ko khho diya or baadme pata chala ki wo hamara betaa (ladka) tha magar ab hume bohot afsos hai or hum din raat til til ke ro rahe hai...., kya aap hame koi dua/wazifa bata sakte hai jisse allah rabbul izzat hamare gunah ko muaaf karde or hame hamara betaa firse ataa farmae.... plyz hamari madat ki jiye, Allah aapko hamesha khush rakhe....
Answer:
Question: Aoa. Mera sawal ye hai ke hum intercourae ke waqt ahtiat kerte the kynke humain abhi bacha nachie tha aur mere periods ke time ke darmiyan do dafa pregnancy strip se check kiya lekin wo negative ayi lekin ab period ko 5 days guzar chuke hai aur periods nAhi aye hain aur jab strip se check kiya to wo light positive show ker rahi hai. Mujhe bacha abhi nahi rakhna hai kynke mera ek bacha abhi ek saal ka hai aur main buhat pareshan hon. Kia ye hamal hai aur kiya main is ko khatam ker sakti hon. Shukaria
Answer:
Question: aoa, mera sawal hy kmeri shadi ko 16 maheeny ho gay hn mjy shadi k 5 mnth bad pregnancy ho gae the altrasound mn twins baby thy aik baby ki heart beat show ho gae the bt 2nd baby ki nhe ho rhe the to mera abortion ho gya meri or mery husband ki reports normal hn hm 4 mnth sy try kr rhn hn bt abhe tak koi gud newz nhe mili plz mjy mery sawal ka jawab jaldi dyjeye ga thanks plzzz plzzz plzzzz
Answer: