Question: Koi ladka ladki ek dusre se mohabbat krti hai aur woh dono sex krti hai aur ladki pregnant ho jati hai ab ladka uss ladki se pregnant k halat main nikah karna chahta hai.Kya yeh nikah jayez hai ? Iska koi solution hai.
Answer: 1: Zina haram aur gunahan e kabeera mai sai aik hai. lehaza is ki wajah se tauba karna lazim hai.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij). 2: Nikah se pehly mard aur aurat apas men na mehram hain, aur na mehram ka aik dosre k jism k kisi hissay ko choona haram hai, chahe lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahe baad mai shadi hi Q nah karni ho. ye jaiz nahin hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #41st, maslah #2397) 3: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is aurat k tauba karne se pehle os se shadi nahi kar sakta. Aur nikah ki sharaet main say aik ye hay k larki k wali yaani baap ya dada main say kisi aik se ijazat leejaye or is ijazat k baghair nikah ho tu nikah durust nahin hota.(Ref: (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2341,2364 ). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir shohar bhar farigh ho tu pregrancy ho skti ha
Answer: Jab tak mard ki mani aurat k rehem main nah jaye tab tak aurat pregnant nahin ho sakti or agar aurat ka parda e bakarat(seal) baqi ho or phata na ho tu aurat haamla nahin ho sakti. (Ref: Islam or Jinsiyaat, pg #150-2) [Updated on 14-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Islam m bcha Dani ka mooh bnd krwana jaiz h agar bche operation Se hote hon to OR 3 operation hogae hon. To kya bche mazeed na hon to bcha Dani ka mooh bnd krwana jaiz h
Answer: Aurat k liye jaiz hai k wo bhanjh-kaari ka operation karwaye lekin yeh kaam us k badan k uryan hone ya choonay par moqoof ho to yeh kaam faqat us ka shohar anjam day siwaey yeh k koe zarorat pesh aajaey jese aurat ka hamila hona us k liye nuqsan day ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, page # 466, maslah # 71) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum mra name mutrafeen hai or shohar ka name wahaj hai m chahti hm hmre han aulad ho kch btaden brandish to Nhi hai iski
Answer: Sheikh bihae farmatay hein k mandarjah zail nuskhah main ne 900 aurtoon k liye tajweez kia or sab ki sab sahib e aulaad hogaen or wo nuskha ye hay : Surah e raed, surah #13, ayat #31 ko khool ker likhay. وَلَوْ أَنَّ قُرْآنًا سُيِّرَتْ بِهِ الْجِبَالُ أَوْ قُطِّعَتْ بِهِ الْأَرْضُ أَوْ كُلِّمَ بِهِ الْمَوْتَىٰ بَل لِّلَّهِ الْأَمْرُ جَمِيعًا أَفَلَمْ يَيْأَسِ الَّذِينَ آمَنُوا أَن لَّوْ يَشَاءُ اللَّهُ لَهَدَى النَّاسَ جَمِيعًا وَلَا يَزَالُ الَّذِينَ كَفَرُوا تُصِيبُهُم بِمَا صَنَعُوا قَارِعَةٌ أَوْ تَحُلُّ قَرِيبًا مِّن دَارِهِمْ حَتَّىٰ يَأْتِيَ وَعْدُ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ لَا يُخْلِفُ الْمِيعَادَ Is ayat ko maqta (yani torh torh ker likhain) maslan(و ل و ا ن ق ر آ ن) phir is ko lifafay main band ker k aurat apnay pehlo k sath bandh lay , insha allah jald sahib e aulad ho jaey gi. (Ref: Dunya o Akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, Page #94) [Updated on 21-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir I am 6month pregnant but now the doctor asked me that my baby is not normal i am very tensed plz tell me can I abort this baby
Answer: Hamal men jaan parne k bad bachhe ka zaya karna hargiz jaaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #72 jadeed masaail). [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager hamal kamzor Ho 6week ka to ultrasound main Ata hy
Answer: Jee bilkul 6 week k ultrasound main hamal nazar aa jata hay. (https://www.verywellfamily.com/understand-early-pregnancy-ultrasound-results-2371367). [Updated on 15-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam o alaikum mera 6 mahina ka doodh pita bacha h jo operation se huwa h or ab dobara pregnancy h jo mere ly kafi takleef deh sabit horhi h qk mein bht kamzor hogai hn kya 5 haftay ka hamal h or heartbeat b agai h kya is surat me hamal gira skti hn ?
Answer: Ans: Hamal ka girana jaiz nahi hay magar ye keh os ka baaqi rakhna maan k liay sakhti or mushaqqat o haraj ka bais ho, is sorat main rooh aane se pehle siqt karne main koe haraj nahi hay. (https://www.sistani.org/urdu/qa/01789/#17647). [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi orat 8 months k bache k sath phir se hamla hojaye to kya apne bche ko dodh pila sakti h???or yhi orat kya roze b rakh skti h?
Answer: Jee han, Pila sakti hai. aur rozay bhi rakh sakti hai. Mustahab hai ke bachay ko poore 21 mahine doodh pilaaya jaaye, or 2 saal se ziyada pilana munasib nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #1553,2454). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 30 hafto ki pregnancy h kitny month h gy
Answer: 7 months and 2 weeks. [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir main 5 month pregnant hun dr ne bola bachey ki right heart sahi nahi.. wo paida hone ke baad nahi bachega.. main abortion karwalun?
Answer: Qarar e nutfa k baad hamal ko giraana (Abortion) jaiz nahi hai Ref: (https://www.sistani.org/urdu/qa/01789/). [Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]