Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14682
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir main bht pareshan hun mujhe bataye main kya karun dr bol rahe hn right side heart he nahi bachey main.. kya abortion karwalun..? Kyn k dr bol rahe hn gunah to tab hoga jab bacha paida hone ke baad taklif sahega...

Answer: Qarar e nutfa k baad hamal ka isqaat karna (Abortion) jaaiz nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01789/). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14689
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa, kya Suraj giran ya Chand giran may pregnant lady ko ehtiyat krni zaroori haii ? Zaroori hai tou kya ehtiyat krni hoti hai ??? Or agr na ki ho ehtiyat tou bachay par affect parsakta hai kya ???

Answer: Jee nahin zaroori nahin hai, Q ke Chand girhan or soraj girhan ka hamilah (pregnant) aurat par koe asar nahin hota. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011). [Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14690
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Agar khula k baad kisi magburi k wajah se idath puri na huvy ho tho?? Aur 2 saal guzar chuke hain Ky us k duare Nikha se phale uski iddath puri hona zaroori hai?? Agar haan tho kittne waqth tak us ki idaath hogi

Answer: Jee nahin zaroori nahin hai, Q ke Chand girhan or soraj girhan ka hamilah (pregnant) aurat par koe asar nahin hota. (Ref: Email rcvd from https://www.sistani.org/, dated: Nov 6, 2011). [Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14899
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر لڑکے اور لڑکی نے ہمبستری کی ہو اور ڈسچارج ہونے کہ فورأ بعد غسل لے لیا ہو تو بی حمل ہو سکتا ہے کیا

Answer: 1: Jab tak mard ki mani aurat k rehem main nah jaye tab tak aurat pregnant nahin ho sakti or agar aurat ka parda e bakarat(seal) baqi ho or phata na ho tu aurat haamla nahin ho sakti. 2: Agar mard ki mani (sperm) aurat ke rehem me jaye to Hamal ho sakta hai, aur hamal theherne ke liye zaroori nahin hai ke mard ki mukamal mani (sperm) aurat ki sharamghah me jaye balke agar aik qatra bhi aurat ki sharamghah men chala jaye to mumkin hai ke hamal theher jaye Q ke Science ne haal hi men ye daryaft kiya hai ke baize (Ovum) ko bar aawar karne ke liye ausatan (average) 30 lakh khaliyat nutfay (sperms) me se sirf aik ki zaroorat hoti hai. matlab ye hua ke kharij hone wale nutfay (sperms) ki miqdar 30 lakhon hissay ya 0.00003 percent miqdar hi bar aawari (hamal theherne) ke liye kafi hoti hai. lehaza agar aik qatra bhi chala jaya tab bhi hamal theher sakta hai. Agar mard ki mukamal mani (sperm) bahir aa jaye to hamal nahin thehre ga lekin agar aik bhi qatra reh gaya to mumukin hai ke hamal theher jaye. (Ref: Islam or jinsiyaat, page #150 to 152, https://ur.wikipedia.org/wiki/%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86_%D8%A7%D9%88%D8%B1_%D8%AC%D9%86%DB%8C%D9%86%DB%8C%D8%A7%D8%AA#%D9%86%D8%B7%D9%81%DB%81:_%D9%85%D8%A7%D8%A6%D8%B9_%DA%A9%DB%8C_%D9%85%D8%B9%D9%85%D9%88%D9%84%DB%8C_%D8%B3%DB%8C_%D9%85%D9%82%D8%AF%D8%A7%D8%B1 ). [Updated on 13-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14940
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya pregnancy k liye zruri ha k mard ka sara. Pani andar jaye aurat k? Or agr pani aurat k andar jaa kr bahir a jaye tou iska kya mtlb ha?

Answer: 1: Jee nahin, zaroori nahin hai ke mard ki mukamal mani (sperm) aurat ki sharamghah me jaye balke agar aik qatra bhi aurat ki sharamghah men chala jaye to mumkin hai ke hamal theher jaye Q ke Science ne haal hi men ye daryaft kiya hai ke baize (Ovum) ko baar aawar karne ke liye ausatan (average) 30 lakh khaliyat nutfay (sperms) me se sirf aik ki zaroorat hoti hai. matlab ye hua ke kharij hone wale nutfay (sperms) ki miqdar 30 lakhon hissay ya 0.00003 percent miqdar hi baar aawari (hamal theherne) ke liye kafi hoti hai. lehaza agar aik qatra bhi chala jaya tab bhi hamal theher sakta hai. 2: Dooseri soorat me bhi agar mukamal mani (sperm) bahir aa jaye to hamal nahin thehre ga lekin agar aik bhi qatra reh gaya to mumukin hai ke hamal theher jaye. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86_%D8%A7%D9%88%D8%B1_%D8%AC%D9%86%DB%8C%D9%86%DB%8C%D8%A7%D8%AA#%D9%86%D8%B7%D9%81%DB%81:_%D9%85%D8%A7%D8%A6%D8%B9_%DA%A9%DB%8C_%D9%85%D8%B9%D9%85%D9%88%D9%84%DB%8C_%D8%B3%DB%8C_%D9%85%D9%82%D8%AF%D8%A7%D8%B1 ). [Updated on 13-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15161
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum sir Men 1.5 month pregnant hun or pehly b mrra baby 10 months Ka h?kya me abrtn krwa skti hun?

Answer: Qarar e nutfa(hamal thehene) ke baad isqaat e hamal (abortion) jaiz nahin hai, magar ye ke khauf ho ke hamal ka baqi rakhna aurat ki zindagi k liye nuqsandeh hai, ya na-qabile bardasht harj ka bais ho to agar hamal men agar jaan na pari ho to isqaat (abortion) jaiz hai, lekin hamal men jan parne k bad bachhe ko zaya karna hargiz jaiz nahin hai. (Albatta hamal ki condition ko janne k liye doctor ki taraf ruju kren). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #487). [Updated on 14-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15182
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia bina seal toty pregnant ho sakte hain?

Answer: Jab tak mard ki mani aurat k rehem (uterus, vagina) main dakhil nah ho aurat pregnant nahin ho sakti, isi tarah agar aurat ka parda e bakarat(seal) baqi ho or phata na ho tu aurat pregnant nahin ho sakti.(Ref: Islam or jinsiyaat, pg #151,152). [Updated on 04-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15244
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa kasy pata chalta ha k ladki ko phly b hamal howa ha or 3 maah periods na any ki kya wjh ho skti or us duraan paat me bht dard b rha to kya ye hamal ki aalamat ha ya koi bemari

Answer: Aam taur per khawateen ko hamal thehrny ki wajah se periods nahin hoty. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #435, + Minhajus saliheen, part #1, Mafhoom e maslah #214). Note: Doctor se ruju kar k maloom kia jaey. [Updated on 08-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15299
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Pregnancy sign mojod hon r period sy 4 din phly qamar m shadeed drd pregnancy h ya periods hngy

Answer: Aam taur per khawateen ko hamal thehrny ki wajah se periods nahin hoty. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #435, + Minhajus saliheen, part #1, Mafhoom e maslah #214). (Note: Pregnancy hai ya nahin hai is silsile me n Doctor se ruju kar k maloom kia jaey). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15300
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu Alaikum, My wife wants to continue the pregnancy but I am not interested to continue I have 2 kids both are too small to handle and taking care of properly.

Answer: Qarar e nutfa (yani mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahin hay magar ye khof ho k hamal ka baqi rakhna aurat ki zandigi k liye nuqsandah hai to hamal main agar jan na pari ho to bachay ko zaya karna jaiz hai. laikin hamal mai jan parnay k baad bachay ka zaya karna hargiz jaiz nahin hai. Agar maan khud bachay ko zaya kare to is ki diyat maan par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko day aur agar baap hamal ko zaya kare to is ki diyat baap par wajib hai aur zaroori hai k wo maan ko ada kare agar geraane wala doctor ho to diyat doctor par wajib ho gi agarche doctor ne maan aur baap ki darkhaast par hi isqaat kyuon na kiya ho magar ye k waris ise diyat maaf karde.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, jaded fiqhi masail, maslah #72, pg #466). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!