Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4449
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please Mujy yeh bta dian k agr sex kr lia jay or ibtdai dino main pregnancy start hone sy pehly kisy roki ja skti hy

Answer: 1)Qaraar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay.( Ref: ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 ) Aurat k liay jaiz hai k k wo hamila honay sai bachnay k liay aisi tamaam ehtiyati tadabeer sai istefada karay jo ziada zarar rasaa(nuqsan dah) na hoon.ye hokum os sorat main hay jabkeh maloom nah ho k ye ehtiyati tadabeer nutfay ko qaraar panay k baad talf ker dain gi warna ehtiyaat wajib ye hay k ye kaam nah karay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4484
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam oalikum I hope your are fine. Mera sawal yeh hai kay pregnancy kay time aurat ko kya karna chaye our ahadess say kya sabit hai. Mera dosra sawal yeh hai kay ager larkay ke khuwish ho tu kya karna chaye our ager larki ke ho tu kya karna chaye.

Answer: 1)Pregnancy k kuch makhsoos aamal hain jo kitab misali maa mai moujood hain ya deegar kitaboo mai ye aamal moujood hain. 2)narina(larkay) aulad k lie mian aur biwi aik din roza rakhain aur iftar k waqt ghusl karain aik bar surah e muzzammil pani par parh kar pi lain inshallah beta ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 287) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4698
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager meri biwi ko hamal thehre 6 ma gzer ga hon to us sa ham bistri ker sakta hon?

Answer: Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4726
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As salam o alikum, Aik aurat k jis ka 2 saal se chota sheer khuwaar bacha ho aur us bachey k liey feeding zaroori hoo isi darmiaan us aurat ko pata chaley k us ka aik aur hamal theher gaya hai tu kya woh apney pehley bachey ko doodh pila sakti hai?

Answer: 1)Mustahab hai k aurat bachay ko puray 21 mahinay doodh pilaya jae aue 2 saal sai ziada doodh pilana munasib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2454)2) Agar aurat chahay k os ka doodh ziada ho jae to surah nahal surah # 16 ki ayat # 66 ko pani par parhay aur pi jae inshallah doodh ziada ho jae ga. (Ref : Payam E Shifa pg # 284) note : wazeh rahay k bachay k lie maa ka doodh behtreen ghiza hai.

Id: 4751
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo Alaykum Janab mera sawal ye he k biwi pregnant he or bachcha hone k kitne din bad miya biwi humbistari kar sakte he? reply Asap khuda Hafiz

Answer: 1)Mustahab hai k jab biwi hamila ho to jima karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) 2)Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifas kehtay hain. Aur jo aurat nifas ki halat may ho os say jima karna haram hay lakin os par koi kaffara nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 504) Note : Behtr hay k is baray mai doctor sai roju karain k bacha paida honay k 10 din k baad kab intercourse kar saktay hai ya nhi ya kitnay din tk intercourse nhi krna chaheay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4860
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bacha zaya karne ki tablets kya hai plzz bato mujhe

Answer: Qarar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay.( Ref: ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5188
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A/A sir agar koi hamal giraye yani bacha ko giraye tu us k baad toba kabool hote hai. Agar toba kabool hote hai tu us ke dua kya hai

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5416
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bache main jaan kitne din main dali jati hai. Aur agr mian bivi razi hon to kya jaan dal jane se phle hml khtm kia ja skta ha

Answer: Qrar e nutfaa(orat k rehm men mard ki mani thehrne) k bad isqat e hamal(bachhe ko zaya krna) jaiz nahi hai . mgr ye khoaf ho k hamal ka baqi rakhna orat ki zindagi k liye nuqsanda hai ya naqabi e bardasht harj ka baais ho to agr hamal men agr jaan na pari ho to isqat e jaiz hai, lekin hamal men jaan parne k bad bachhe ka zaya krna hargiz jaaiz nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 72 (Jadeed Masaail) ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 5557
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: After having intercourse with husband can a wamen take pill ,tablet etc. for not getting pragnent because Islam gives the rights of children to have milk for two yrs

Answer: Abortion is not allowed after the implantation of the [fertilized] ovum [on the lining of the womb], except if the mother’s life is in danger or the continuation of pregnancy will cause difficulty for her that is not normally bearable and there is no other solution but abortion. In this case, it would be permissible to abort the foetus as long as the soul has not entered into it; after the entering of the soul, it is not permissible at all.(Ref: http://www.sistani.org/english/qa/01121/ ). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5577
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam walekum wo rahematullahi wo barkatahu, meri biwi 4 mahine pet se hey hamela hey kya mein use dilevery tak kabhi bhi bistar kar sakta hon yani 5 se 9 mahine tak, kuch log 5 mahine se nahi karna kahete hain islam iski ijazat nahi deta kahete hain.

Answer: Mustahab hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!