Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5761
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir, mara question ya ha kia aurat pregnancy main apnay pahlay bachay ko dood pila sakti ha ya nahin as per Islam

Answer: Mustahab hai k bachay ko puray 21 mahinay doodh pilaya jae aur 2 saal sai ziada pilana munasib nahi hai. chahay pregnancy ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 379)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6648
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya islam main mansoba bandi jayez ha is ke bare main shariat kiya kehti ha

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. aurat k liay hamal nah hone ki aysi dawaen istmal kerna jaai`z hai jo nuqsanda nah hon agarcheh uska shohar nah ho magar ye k unka istemal merd k sharia huqooq k khilaf nah hoon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,jaded masaail,msal#69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7094
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o Alikum Mera question yeh ha k mrey aunti ko olaad nahi un k 7 operation huay wo test tube k zriye olaad ki koshiah kr ri hn kia kisi aur orat k zriye test tube baby jaiz ha

Answer: Wssalam o alykum, ager test tube men mojoda mani us dosri orat ke shohar ki ho or koi dosra haram kam bhi na ho maslan shohar ke ilawa kisi ka uski sharam gaah ko dekhna ya chona to is surat men jaiz hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , hissa # jaded masail , topic # test tube bebe , edition # 31 , maslah # 68 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae)

Id: 7420
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir hamal kia hota hai?

Answer: Hamal jis ko English main pregnancy kaha jata hay. Yani jab shohar apni zoja se hambistari karta hai to ager ye hambistari sabab bane k zoja k rehem main shohar ki mani theher jay or bachay ki paidaish shuru ho jay.(Ref : Al-Qamoos , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7719
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maira hamal sirf 2 haftay ka hai kiya main zaya ker sakti hun islam ke roshni may btain plz.maira 9 month ka baby already hai.main pehlay ous ke ache perwarish kerna chati hun

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray.agar hamal gherane wala doctor ho to diat is doctor per wajib hai albaat wareseen is doctor se diat maaf karsakte hai (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 72). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7988
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: pregnance zaya kraerna gunha to nhi ha jab tak us ki dill ki dherkan nhi ho hum zaya ker sakty hen this is my wife problem

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat(gheraana ) hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat (gheraana ) jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray agar gheraane wala doctor ho to diyat doctor per wajib ho ghe agarche doctor mah aur baab ki darkhaas per isqaat kyu na karaay magar ye k waris ise diyat maaf karde .( Ref: ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,hissa jaded fiqhe masaail , maslah #72 ,pg:466). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8002
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Islam me hmbistari kyse kare ki bacha paida na ho Or agr ho jaye to kya krna chahiye kyse roka jai kya Thik hoga plz bataye

Answer: Bivi ko esi dawaiyaan khilana jaiz hai jis se hamal na ho, lekin ager hamal qaraar pa jaae to is ke liye is ko girana jaiz nahi hai, or phir bache ko janam dena zarori hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 415 , 417 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8620
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ye kese pta chly ga k pregnancy mai bachy me kb jan agai hai.. ktne hafty k hml me bchy me jan ajati hai?

Answer: Taqriban 4 mahine main hamal main rooh phoonk di jati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Risalah e Amaliyah part#9,moallif syed mujtabah husseni,Mafhoom e jawab #462, pg#253). Update on dated 25-04-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8910
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar galti sy hamal andar thehar jaye,, or zaya krna drkaar hoto kya kiya jayejaye,, ya kon c medicine khae jaye, jb k hamal thehray huwy abi srf 3 sy 4 din huwy hon

Answer: Hamal girana(Abortion) jaiz nahi hay, agar hamal k baqi rehne se aurat ki zindagi ko khatra ho ya na-qabil e berdaasth zehmat hogi tu agar hamal main rooh nah aae ho tu hamal girana jaiz hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #72). Update on dated 23-09-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9020
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hum kis waqt apne BV k sat ham bistarge nahe karsakte Mare BV pregnency checkup k bad daika tho wo pregnent the tho mai abe ose k sat ham bistarge kar sakta hu wo 20 din ke pregnent hai

Answer: Hamal theher janay k baad mustahabb hai k intercourse krnay sai pehlay wazoo kar lia jae. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 5) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!