Question: Assalamuallaikum operation s baby hone k bad kb kb tk pregnancy k chance n hoty or periods kb rk aty hai
Answer: Is hawale se doctor se maloom karen [Updated on 23-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o Alaikum.agr during sex condom phat jae ar pregnancy na chahty Hun kiun k phly bchy bhhhhht choty Hain. to fori kiya krna chaiye... Plzz guide kr den....
Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). [Updated on 31-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Period 1st ko aye Hun to kitny din bd to tk pregnancy ky chance HoTy Hain?
Answer: Taqreeban 5 se 6 din tak pregnancy ke chance hote hain. (Ref: https://www.webmd.com/baby/charting-your-fertility-cycle ). [Updated on 22-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aap ne mera questions ( sawal) samjha nahi mujhe mere shoher bachcha girane ko keh rahe hain main ye bachcha girana nahi chahti main kya karun shoher ki baat Manu ya nahi
Answer: Ibteda main aulaad na honay ki khuwaish karna sahi hai lekin agar aik martaba hamal theher gaya ho to ab use girana jaiz nahin hai, Q ke khaaliq ko naraaz kar k makhlooq ko khush nahin kia jaa sakta. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed Masail, Edition #42, Maslah #72). [Updated on 05-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can a girl get pregnant after periods without intercourse?
Answer: 1: Yes, although it is not very likely. If you have sex without using contraception, you can conceive (get pregnant) at any time during your menstrual cycle, even during or just after your period. 2: Pregnancy happens when a sperm fertilises an egg, which can happen even if you have not had sexual intercourse (penetration). (Ref: link https://www.nhs.uk/common-health-questions/pregnancy/can-i-get-pregnant-just-after-my-period-has-finished/ + link https://www.nhs.uk/common-health-questions/pregnancy/can-i-get-pregnant-if-i-have-sex-without-penetration/ ). [Updated on 10-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya ek hi bar ma pregnancy ajati ha?
Answer: Mard jima say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laity rahe, or apni rano ko milaey takeh hamal theherne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg #151). (Note: Is aitebar se khawateen mukhtalif hoti hain. mumkin hai koi aurat aik baar hambistri ke baad pregnant ho jati ho, or koi do teen baar ke baad pregnant hoti ho, yahan tak ke kuch khawateen aisi hoti hain ke kaei baar hambistri ke baad bhi saalon tak un ke han aulad nahin hoti). [Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam alikum, Agar delivery k bad, orat ko period na aay takrebn 4 maah tk, to keya us doran sex krny sy hamal ho saqta hai??
Answer: Jee haan, paidaiesh ke taqreeban teen haftay guzrne ke baad, (agar jima kiya jaye) to aurat ka kisi bhi waqt haamila hona mumkin hai. yahan tak ke agar aurat doodh pila rahi ho aur abhi tak koi periods na aaye hon Q k bohat saari khawateen doodh pilanay ke douran kam zarkhaiz(less fertile) hoti hain, khaas tor par ibtidayi hafton aur mahino mein. (Ref: https://www.babycentre.co.uk/x1013979/could-i-be-pregnant-even-though-im-breastfeeding ). [Updated on 26-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alikum agr humy pragrancy k month ka nae pata chal raha ho k knsa hai,tou hum kiq krey?
Answer: Doctor ki taraf ruju karen. [Updated on 22-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alikum mje yeh pochna tha kay pregnant aurat gender maloom kr skti hai larka hai ya larki aqa sistani sahab kay nazdeek iska kia hukum hai yeh jaiz hai ya nai ???
Answer: Jee han, bazat e khud pregnancy ke dauran gender maloom karna jaiz hai. (Ref: istiftaat a sistani i 17). [Updated on 26-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kys back sy sex krny sy pregnancy ho sakti
Answer: Peechay(back) se jima(sex) karne se( aam tour pe) hamal(pregnancy) nahin hota. Albatta aap ko aik sharaei masale ki taraf mutawajeh kiya jata hai ke Biwi ke peechay ke maqam(maqam e pakhana) main hambistari karna agar biwi raazi nah ho to is sorat main ethiyaat e wajib ki bina par haram hay, aur agar biwi raazi ho to jaiz hai lekin shadeed makrooh hai. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg #151,152. + Ayatullah Sistani(D.B), Al-masail e muntakhaba, maslah #67). [Updated on 14-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]