Question: agar kisi shadi suda mard ne zina kiya,uske baad usne apni biwi se hambistri ki aur biwi pregnant ho gayi to shariat me us hamal ke liye kya hukam he woh hamal gira de?
Answer: Hamal ko girana jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #72 jadeed masael). Update on dated 16-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalmo alaikum hazrat meri wife 6 hafto k hamle se hai aur meri ek beti hai 7 mahine ki jo ki bade opretion se hui hai kya hum isko zaya kar sakte hai meri wife zaya karna chahti hai aur meri mali halat bhi thik ni hai madad farmaye
Answer: Hamal girana(Abortion) jaiz nahi hay, agar hamal k baqi rehne se aurat ki zindagi ko khatra ho ya na-qabil e berdaasth zehmat hogi tu agar hamal main rooh nah aae ho tu hamal girana jaiz hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #72). Update on dated 17-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Shaadi k 1 month baad periods hoty hain ya nahi ? Agar nahi hoty hain to q is ki kia waja hai? Kindly answer
Answer: Aam taur per khawateen ko hamal thehrny ki wajah ki wajah se periods nahi hoty hen. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 435) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Respected sir mujy yeah janna hy ki nikah ky baad ager biwi foran olad na chahti hu tu aysy injections use ker lyn jis sa pregnancy concivr na hu tu yeah olad huny sa rokna jaiz hy ya nahi iska quran o sunat sa kya hukam hy
Answer: Aurat k liay maane hamal aisi adwiyaat ka istemaal jaiz hay jo ziyada nuqsandah nah hoon, agarcheh os ka shohar raazi nah ho magar ye keh on ka istemal mard k kisi share huq k manafi ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, Jadded masel, maslah #69). Update on dated 15-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia kc ki kushi ki khatir hamal zaya krna gunah h Kia 1 month r 5 days ka
Answer: Agar hamal thher gaya hai tu usay girana jaaiz nahi hai.khaaliq ko naraaz kar k makhlooq ko khush nahi kia jaa sakta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #72). [Updated on 23-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mera sawal ye hai k meri aik beti hai ab hum dosry bachy k liye try kar rhy hain lekin hamal nahin tehr raha hum ne 2 saal ka wqfa rkha tha aur ab hamal nai tehr raha iski kia wajah hain please inform me
Answer: 1)Sheikh bihae farmatay hein k mandarjah zail nuskhah main ne 900 aurtoon k liay tajweez kia or sab ki sab sahib e aulaad hogaen or wo ye nuskha ye hay : Surah e ra’ead, surah# 13, ayat # 31 ko khool ker likhay. وَلَوْ أَنَّ Ù‚ÙÂرْآنًا سÙÂيّÙÂرَتْ بÙÂه٠الْجÙÂبَال٠أَوْ Ù‚ÙÂطّÙÂعَتْ بÙÂه٠الْأَرْض٠أَوْ ÙƒÙÂلّÙÂÙ…ÙŽ بÙÂه٠الْمَوْتَىٰ بَل لّÙÂلَّه٠الْأَمْر٠جَمÙÂيعًا Ø£ÙŽÙÂَلَمْ يَيْأَس٠الَّذÙÂينَ آمَنÙÂوا أَنلَّوْ يَشَاء٠اللَّه٠لَهَدَى النَّاسَ جَمÙÂيعًا وَلَا يَزَال٠الَّذÙÂينَ ÙƒÙŽÙÂَرÙÂوا تÙÂصÙÂيبÙÂÙ‡ÙÂÙ… بÙÂمَا صَنَعÙÂوا قَارÙÂعَةٌ أَوْ تَØÂÙÂلّ٠قَرÙÂيبًا مّÙÂندَارÙÂÙ‡ÙÂمْ ØÂَتَّىٰ يَأْتÙÂÙŠÙŽ وَعْد٠اللَّه٠إÙÂنَّ اللَّهَ لَا ÙŠÙÂخْلÙÂÙÂ٠الْمÙÂيعَادَ Is ayat ko maqta yani torh torh ker likain maslan(Ùˆ Ù„ Ùˆ ا نق ر Ø¢ Ù†) phir is ko lifafay main band ker k aurat apnay pehlo k sath bandh lay , insha allah jald sahib e aulad ho jaey gi. (Ref : Dunya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#94). Rasool e khuda s.a.w. irshad farmatay hain k agar koi surah e aal e imran(sorah#3) ko zafraan say likh kar biwi k galay may latkate jis ka hamal gir jata ho to khuda hamal ko zaya honay say mahfooz rehay ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 100). 2. Sorah e bayyanah(sorah#98) ko likh ker paani se dhoya jaay or is paani ko hamilah aurat piay tu oska hamal saqit nahi hoga or tamaam aafato se mehfooz rahay ga.(Ref: tohfatul awaam, pg#275). [Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya hamal sirf ovulotion k time e therta ha ya aam dino ma b ther jata hai ?
Answer: Biology k mutabiq ovulation k time hamal therne ka chance hota hay, or in dino k alawa ko savedays kaha jaata hay hay, or in dino hamal nahi ther sakta.(Ref: https://www.yourfertility.org.au/everyone/timing) [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Madisan Laina Jaoz Hain Hamal Thrany k laiy
Answer: Hamal ko girane k liay dawaeen istemaal kerna jaiz nahi hay baqi hamal ko theranay k liay dawae istemaal karna jaiz hay. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,jaded masail,maslah #70) [Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aw Hazrat.....ktne Dino ki pregnancy me bacche me Jaan pdti h.
Answer: Taqriban 4 mahine main hamal main rooh phoonk di jati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Risalah e Amaliyah part#9,moallif syed mujtabah husseni,Mafhoom e jawab #462, pg#253) [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hamal me jaan kitne din k baad aati hai
Answer: Taqriban 4 mahine main hamal main rooh phoonk di jati hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Risalah e Amaliyah part#9,moallif syed mujtabah husseni,Mafhoom e jawab #462, pg#253) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]