Question: kia koi aurat agar ladies perfume laga kar bahar jati hay aur us orat ki k jism se mehakne wali khusbo koi na mehram soongh le to kya us orat pe ghusal wajib hota he ya nahi.
Answer: Agar ye mardoon ko ghumra karnay ka sabab na ban reha ho aur usi laganay ka maqsad mardoon ko haram me mubtila karna bhi na ho to jaiz he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 135, pg # 65)
Question: SIR MUJHY YE BTAIN K HAND PRACTICE KIA THEEK HAI? APNI MAGATER KO CHOOM SAKTY HAIN?
Answer: 1)Hand practice karna kisi bhi zarie se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 2) Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
Question: kya devar = bhabhi aapas me romontic batey aur ched chad karsakte hain....? aur limit kitni honi chahiye...?
Answer: Bhabhi devar apas main na-mehram hain. Devar ka bhabhi say romantic batey or chiarh charh kerna jaiz nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), ),nigah or libaas,part#1,pg#57-61).
Question: Assalamo Alaikum Main ye janna chahta hun ki mangetar k sath phone pe sex ki batein ki ja sakti hai jo agey shadi shuda zindagi me zaruri hai
Answer: Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat na ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamoalykum ! 1)Ya Ek ladka or ek Ladke Shadi ke Pehle Ek Baar Apas main Baat Kar Sakte Hai ? 2) Or kya ek ladka ek ladke se shadi ke pehle mil sakta hai?
Answer: 1)jee haan,agar lazzat k iraday or haram main mubtila honay k khoof k baghair ho or kisi burae ka sabab nah banay tu koe maslah nahi.(Ayat Ullah Seestani(d.b),sawalaat or jawabaat,part#1,niggah or libaas,maslah #77). 2) agar gunah or burae main nubtila honay ka khoof maujood ho tu milnay jaiz nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), sawalaat or jawabaat,part#1,niggah or libaas,maslah #102).
Question: salam ,mera quest hai ki i have a boyfriend and we live far away from each other, and its not possible to meet him . so while on phone at night we try to seduce eachother, is it haram?
Answer: Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hain kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. (Ref . Isteftat Aqai Sistani)
Question: Assalam-o-alikum, mera sawal yeh hai k islam aurat ko pyar krne ky ijzat deta hai ya nh
Answer: Ghair ikhtari kaam par koi hokum nahi lagaya ja sakhta. Agarchah is ka muqaddima ikhtiari hay.agar haram ho to is ka murtakib na hoon. Lakin har surat may shawat aur lazzat wala kaam nikah say pehlay haram hay. (Ref : Ayatullah Sistani d.b. official website http://sistani.org/index.php?p=827020&id=972 Q#1) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr ik larki ka chractar kharab ho tu agr koi larka us larki ko thek karne ke liye us se dosti kare tu kia ye jaiz ha
Answer: Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam per mushtamil ho, jab k haram me waqae honey ka khof bhi na ho to koe haraj nahi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia aurt key sath aslam hath mila ker le ja sakti hai. ager nehien to hadees key metabiq is ke waga
Answer: Na-mehram aurat say haath milana jaiz nahi hay, haan agar darmiyaan main koe perdah maslan dastaney wagaira hoon to koe haraj nahi. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 131, pg #64 )
Question: kya facebook use karna haram hai?
Answer: Agar is ki wajah se fassad ka khof ho to jaiz nahi. Aur agar bat cheet hidayat aur salah kam per mustimal ho, jab k haram me waqae honay ka khof bhi na ho to koi haraj nahi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66)