Question: Ma aik prouse aurat ko maa ka draja data houn kia ya jahaz ha hmra koi parda ha ya ni islam kia hukam data h
Answer: Na-mehram se aam mamool ki baat cheet karney me jis k under koi shehwat angaiz baat nah ho tu koi haraj nahi hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil nah ho aur nah hi haraam me pernay ka khoof ho. Warna haram hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57). [Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya pyar ko pane ki wazife karne se gunah hota hai
Answer: Wazifa karne me koi haraj nahin hai lekin aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam me ek larky ko 15 sal sy pyar krti hun .wi bhi mje chahta he mgr uski kahyn or shadi hgai hy ham ab bhi ik dusry s shadi krna chahty hyn mgr mry ghr m koe razi nhi hrha
Answer: Na-mehram say izhar-e-muhabbat kerna haram hai or is k muqadimaat(starting step) haram hain. Update on dated 11-11-16. (Ref: book nigah aur libaas,pg#69,mafhoom e maslah#106). [Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr ayk larka kisi larki sy sirf mobile par sex ki batyn karyn tu kya ye gunnah hy ? Agr gunnah hy tu is ka azala kya hy maffi kya hy is ki?
Answer: Na-mehram sai is tareeqay ki baatein karna haram hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57). Parwardigaar sai sachay dil sai tauba karein or waada karein k aaina ye gunah anjaam nahi dein gay. [Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum! Sir kya Mai apni Girlfriend K sath sex kar sakta Hun Us ki sharamgah mai bhi na dalun sirf kaitna or kiss karna ?
Answer: 1) Jee nahi ye fail e haraam hai kyun k wo aap ki na mehram hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2397). 2) kisi na mehram se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). [Updated on 28-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya magater say phone per baat Kar saktay Hain agar wo czn ho hus ko dakh saktay Hain Kya hus k saath akilay mein mil baat saktay Hain ??
Answer: 1) Mangeter mard k liay namehram hoti hai aur mard apni mageter se jinsi lazzat k irade k beghair aur haram me mubtila hone k khouf k baghair saaf sutri phone per ya aam halat me baat cheet kar sakta hai or aap ka os se hath milana ya os ko chuna jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2429) 2) Na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair ya chahe haram me mubtila hone khof ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2397). 3) Aurat , na-mehram k saamne chehra or kalaeyo tak hath khule rakh sakti hay laikin is sorat main keh haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi mard ko (hath or chehra) dikhana haram main mubtila karne k irade se ho tu in dono soorto main in ko chupana wajib hay. (Ref: Touzehul masael, maslah#2399) [Updated on 17-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera swal hai k kya shadi se phly apny fiance yan apny love partner k sth sex k baray me bat kr skty hain... sincere hon tb b kya kr skry discuss?
Answer: wsalam.jee nahi fiancee aap ka na-mehram hai lehaza un sai is tarah ki baatein nahi ki jaa sakti.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57). [Updated on 14-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: rishta hony k bd bat krna jaiz ha?
Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Nikkah se pehle larka larki hadood me reh kr baat kr skte hain?
Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu Alaikum meri mrs.govt.hospital me job Karti h anm.nurse h kya wo bina dupatte k reh Sakti h mard k samne...
Answer: Aurat par pardah karna wajib hai lehaaza aap ye baat apni zoja ko samjhaye, laikin aap on per jabar nahi kar sakte, haan aap os ko baghair hijab k ghar se bahar janey ki ijazat nah dain. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399). Ager mukammal share parda karen or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65) [Updated on 09-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]