Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12790
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aorat aor mard sath me khana kha sakte hai

Answer: 1:namehram mard aur aurat ka tanhaai me aik aise jagha hona jaha ghuna me mubtela hone ahtemaal(chance) ho haraam hai. Chaie kise or ke aane ka imkaan bhe ho. 2: Larke aur larki ki dosti jaiz nahe hai kyu k haraam me mubtela hone ka khouf moujood hai. Laikin mulaazemat (job) ke duraain raabte me ,agar buraaie ka baais na bane or sharhe hudood ka khayaal rakha jaay tu koi haraj nahe hay . 3:Agar behuda alfaaz ka tabadula na ho or haraam nighaao se perheiz kia jaye or guna me mubtela hone ka khouf bhe na ho tu Aurat ka aik aise dasterkhaan per baitna jaaiz hay jaha namehram bhe moujood ho. (ref:nigha o libas, aqa sistani,pg:65,66,64) [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12792
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun alaikum. Ayatullha sistani ki nazar main mard ke parde ka hudood kitna hai means mard ko apna kitna jism chupana wajib hai.

Answer: Mard ka na-mehram k saamne Sharamgaah k alawa baqqi badan chupana wajib nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), minhajus saliheen, part#1, maslah # before 54). [Updated on 11-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12850
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر بیوی کو اُسکا بہنوئی گال پر چُوم لے تو احکامِ شریعت کیا ہے

Answer: Biwi k alawa kisi bhi na-mehram aurat ko chooma or os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna ghunah e kabira hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah # 30). [Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12851
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر بیوی کو اُسکا بہنوئی گال پر چُوم لے تو احکامِ شریعت کیا ہے

Answer: Biwi k alawa kisi bhi na-mehram aurat ko choomna or os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna ghunah e kabira hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah # 30). [Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12910
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kay mohabt m phisically attrection zrori hai.or agr kisi ko apsy pyar ho or phisaclly attrection na ho to kya wo pyar hai???

Answer: Jinse mukhalif se doosti ka is had tak izhaar karna k is se kehe k muje tum se muhabbat hai jaiz nahe hai. (ref: nighao libaas,aqa Behjat ,pg:69). [Updated on 13-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12917
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia apny mangetr k bary mn sochna halal ha?

Answer: Mangheter namehram hai. Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le or shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna kerna gunah e kabira hay .. sex k khiyalaat ka dimaagh main sochnay say agar mani niklnay ka sabab nahi banay to ethiat e mustahib he k is kaam ko tark kar dia jay. Aur agar mani nikl jay to jaiz nahi he. .(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2397,2407), (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30), (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 199, pg # 82) [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12965
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.o.a mere apni mumani se najaez taluq hain har kam kia hai but kabhi bhi soya nahi hn main unke sath or mani be kharij nahi ki

Answer: Mumaani Na-mehram hai aur Na-mehram k tamaam badan ko choona us ke baal or badan ki janib lazzat ke irade se daikhna aur un ka bosa lena jaz nahin hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #14+16 , Eidition 1427 hij) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) [Updated on 06-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12990
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Kya larka larki jinke aapas mai engagement ho gai ho but nikah nahi hua ho wo aapas mai ek dusre se apne life ki planing kr skte h jisme unke sex se related batein bhi ho plz rply.

Answer: wsalam.aap ki mangetar aap k liye na mehram hai or aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) [Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13045
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. Mangani ki rasam ki islam me kia haeseyat he?

Answer: ( islaam me magni ,nikah ki tarah nahe hay yani ) mangaiter apas main na mehram hain ( or na mehram se hijaab, perdah karna zarori hay).Mangni k baad aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat na ho koe haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur naa hi haram me perhnay ka dar ho. 2)Agar be’hijab tasveer he to Tasveer ko lazzat k sath dekhna jaiz nahi he bal’ke bagair lazzat k bhi ethiat ki bina per jaiz nahi he. (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115 , 116 pg # 57) . [Updated on 26-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13046
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. Mangani ki rasam ki islam me kia haeseyat he?

Answer: ( islaam me magni ,nikah ki tarah nhe hay yani ) mangaiter apas main na mehram hain ( or na mehram se hijaab, perdah karna zarori hay).Mangni k baad aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat na ho koe haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur naa hi haram me perhnay ka dar ho. 2)Agar be’hijab tasveer he to Tasveer ko lazzat k sath dekhna jaiz nahi he bal’ke bagair lazzat k bhi ethiat ki bina per jaiz nahi he. (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115 , 116 pg # 57) . [Updated on 26-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!