Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13080
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ky bina shadi larka larki me touches kissing vagaira jaez hai jabki ham shadi nh karne wale

Answer: Jee nahi nikah sai pehle wo aap ki na mehram hai lehaaza ye tamaam cheezein jaiz nahi hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 pg no 357). [Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13119
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Alaikum Sir me ne pochna hai ik larki ka nikkah ho gya me uay ALLAH se dua se mang skta wo mera naseeb ban jae kisi se alag ho ke

Answer: Agar koe aadmi kisi aurat ko warghalaay k wo apne shohor se muta,alliq azdawazi zimmedariyaan pori nah karay takeh is terah shohor ose talaq daine per majbor hojaay or wo khud os aurat k saath shadi ker sakay tu talqa or nikah sahi hay.Laikin dono ne bohot berha gunah kia.(yani aurat or os ko behkane walay ne).(Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2502). Note: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69 [Updated on 01-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13163
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mene puchna tha k mjhy ek larky my kiss kardia that jab k main ye nhi chahti thi tu uskk bad s ab menu usse kabhi contact nhi kia aur bht sunayi bhi lekin ab main kia karun..

Answer: 1)Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya kiss kena haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397). 2)Jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 3) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13212
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar larka kisi larki ko shadi ka jhansa dy Kar us sy video sex karta hy or chorh deta hy to larka gunahgar ziada hy larki sy ya dono ka gunah ek jesa hy?

Answer: Na mehram Mard ne shadi ka kaha ho ya na kaha ho, Mard ke liye Na mehram aurat ka jism dekhna aur isi terah in k baloo ko dekhna chahay lazzat k iraday sai ho ya is k baghair, aur chahay haram mai mubtila honay ka khof ho ya na ho haram hai. aur in k chehre per nigah daalna aur hatho ko kalayo tak dekhena agar lazat k irade se ho ya haram me mubtela hone ka khof ho to haram hai balke ehteyaate mustahab(is ehteyaat per amal karna wajib nahe hai) ye hai k lazzat k irade k beghair aur haram me mubtila hone ka khof nah ho tab bhi na dekhe. isi tarh aurat k liay na mehram mard k jism per nazar daalna lazzat k irade se aur haram me mubtila hone k sath haram hai balke ehtiyaat e wajib ki bina per lazzat ka irada aur haram me mubtila hone ka khof nah bhi ho tab bhi mard k badan per nigah nahi daalne chahiay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397). [Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13266
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa larki kzn se hath milana jaiz hai?

Answer: Aurat k liay na mehram se hath milana jaiz nahi siwaay ye k dermiyaan main kaprha ya koe aur rukawat ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # , Pg #271 , Eidition# 5). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13279
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya gair mehram se baat karne se wazu toot jata hai?

Answer: Nahin, Na mehram ko dekhne sy wuzu baatil nahin hota.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatollah seestani edition 39 maslah no 322). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13280
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it Haram to make friendship with opposite gender? I mean simple friends ?

Answer: It is not permissible. Because there is a fear of falling into sin.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13343
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alikum, Ma na suna ha ka kisi ka sath Mohabt Allah ki tarf sa hoti ha to Islam ma ya haram ku ha? Jazak Allah

Answer: islaam me Na-mehram say dosti ( ya muhabbat ka izhaar ) jaiz nahi hay ( hah us larki ke ghar shadi ke lie pegaam bage sakta hay). (ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125. [Updated on 14-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13344
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alikum, Islam ma Psand ki shadi jaiz ha magr jab hum kisi ko pasnd krta hain to us sa mohabt ho jati ha to ya ku haram ha? Jazak Allah

Answer: kisi bhi ghair ekhteri amal per shariat koi hukum nahi lagati laikin yaad rahey k shariat kisi bhi aisay irtebat ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo in’hain haram ki taraf le janey wala ho.(insaan apne pasand ki shadi kar sakta hai): Na-mehram say dosti jaiz nahi hay. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65,Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125. [Updated on 14-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13345
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alikum, Islam ma kisi muslim larki sa doati ki kia hadood hain Please detail ma byan krna please. Jazak Allah

Answer: Na-mehram say dosti jaiz nahi hay.Aik mard kisi khatoon say aisi batain kar sakta hay jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jab kay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni jasakti hain jab kay haram main na parnay ka itmeenan ho albatta is soorat main aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur baqreek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho.Ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125. [Updated on 14-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!