Question: ladka nikah ka wada karke mukar gya kyuki uske ghrwale nahi man rhe to uspe ky jaiz h
Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69). (Note: kisi ko shadi ke liye majboor nahin kya ja sakta.) [Updated on 04-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can I chat with my female fellows for study purposes and share my daily life experiences?
Answer: Ek khatoon se aysi batain ki ja sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasad ki soorat main na nikal raha ho jab k koi aysi bat bhi na ki ja rahi ho jis ka kisi ajanabi kahtoon k sath kiya jana munasib nahin hota. isi tarah bagair lazzat k erade k us ki batain bhi suni ja sakti hain jab k haram main na padne ka bhi etminan ho.(Ref: Ayatullah Seestani (d.b.) Book Mujthid se puchhe gaye sawalat part 4 Q # .127 pub. by quran-o-itrat academy) [Updated on 07-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya father ki doosri biwi mehram hain aur unse siblings ka kiya hukum hai? Mother k doosre husband mehram hain unse siblings ka kia hukum hai?
Answer: Jee haan, mehram hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #155 , Eidition 1427 hij). Ye bache apas main mehram hain. Sotele nahi kehlain gay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#90) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shaadi se pahle hone wali biwi se sex ki baat jayaz
Answer: Nikah say pehle donon mangetar apas main na mehram hain. aur na-mehram say lazzat wali baatain krna jaiz nahin hai. (Ref:book nigah aur libaas,masla#76,pg#57) [Updated on 09-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AssalamoAlikum , mera dost aj kal mujhse bat nhi kr rha baraye meharbani koi wazifa bta dijye k wo mjhse bat kry phly ki tarha.
Answer: kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65). [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar hum kisi larki se baat karnay se dartay haan toh us se baat kis tarah karain
Answer: Na Mehram se Dosti karna HARAM hai kyon ke is se haram mai parnay ka khauf hota hai. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota. or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Nigha aur libas pg: 31,57) & ( http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera swal ye hai k mere feoncy hain jin se meri shadi hogi ?? wo mujh se bat krte hain mgr hmaray drmiyan koi najyiz guftugu nhi hoti k kisi qisam ka koi discharge ho ?/ mera swal ye hai k mera unse bat krna kesa hai islami lihaz se?/?/
Answer: Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. Nikah say pehle donon mangetar apas main na mehram hain. aur na-mehram say lazzat wali baatain krna jaiz nahin hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref: nigha aur libas pg: 31,57 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Nikal sy Phly Gf sy Milna. Ya ussy Galy(Hug) krna. Ya Gf Ky Mathy ya Gal pr Kiss krna Kesa h?
Answer: 1: Nikah say pehle dono mangetar apas main na mehram hain. Lihaza mulaqat(milne) k waqt aurat ke liye parda karna zarori hai. (Ref:book nigah aur libaas, masla#76, pg#57). 2: Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya os ka bosa(kiss) laina ya gale lagana haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397). [Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ladki ko dost banana jayez he ? Ya ladki se baatain karna?
Answer: 1) Kisi na-mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65). 2) Ek khatoon se aysi batain ki ja sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasad ki soorat main na nikal raha ho jab k koi aysi bat bhi na ki ja rahi ho jis ka kisi ajanabi kahtoon k sath kiya jana munasib nahin hota. isi tarah bagair lazzat k erade k us ki batain bhi suni ja sakti hain jab k haram main na padne ka bhi etminan ho.(Ref: Ayatullah Seestani (d.b.) Book Mujthid se puchhe gaye sawalat part 4 Q # .127 pub. by quran-o-itrat academy) [Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alikum sir mujye pochna tha ager larka larki apass ma ak dosry ko mian bv tasleem karye lkn nikkah na ho lkn mian bv rasleem karye razamandi sy to kia wo mian bv khalaye gy
Answer: jee nahi .wo aik doosre k liye na mehram hi rahay gay. mian biwi usi wakt kehlaaye gay jub mukammal sharait k saath nikah hojaaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]