Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13673
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mene apne dost se msg pe Larai hui or kaha k me Quran Ki qasam kha k kehti hu kbhi msg nhi krungy ..lekin me us se bat Karna chahti hu... Ab iska kufara btaen kia hoga...

Answer: 1: Qasam ki sharait mai sai hai k kaha jaaye allah k liye ye kaam karoo ga ya nahi karoo ga is k ilawa quran ki qasam nahin khaee jati. lehaza ye qasam durust nahin hai. aur Qasam sahi na hone ki waja se koi kaffar nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2633,2634) 2: kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 ). 3: Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota. or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. .(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). [Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13728
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya aik lardki gher sa bahr ja sakti hy

Answer: Ager mukammal share parda karen or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65) & ( https://www.sistani.org/urdu/qa/01746/ ) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13737
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a .. bchpan me meri phopho ny mjhy dhudh pilaya tha .us wqt mera hmumer czn tha jo is lehaz sy mera razai bhai hua.Swal ye h k kia mera razai bhai k bhai sy nikah jaiz h?

Answer: Rizaai bhai ka bhai aap ka na mehram hai, lihaza aap ka us se nikah jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, ayatullah seestani, edition 41, maslah #2438,2438 ) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13765
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa allama shab mari aik dost hai uski aik saal se apna shoher se aladaqi hai wo na to apni biwi ko sath rakhta na talq dayta .na koi kharcha .larki ko aik larky se dosti hoi or zana ho giya ab wo shadi kerna chaty khula k bad kiya ya shafi ho sakti

Answer: 1: Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69). 2: kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahin hai. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 ). 3: Court se li gayi talaq khula saheeh nahin, aur jab tak shohar mukamal sharait ke sath talaq na dede tak talaq saheeh nahin hogi. aur agar koi aurat kisi ke nikah men ho to us ke liye kisi aur se shadi karna hai. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayatullah Sistani(d.b.) Masla # 2492) (Note: Aap apne shohar ko talaq daine par razi karen k wo aap ko talaq day chahay wo kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay bakhsh dain taakeh wo aap ko talaq day day. yehi iska qanoni or sharae hal hay. (Ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg #148) [Updated on 11-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13766
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya khawateen mimbar par baith k mjlis prh skti h?

Answer: Agar Sharaei parda mukammal ho or is ki awaaz lazzat ko ubhaarne wali nah ho or ghunah main mubtila hone ka koof bhi na ho to taqreer o bayaan karna jaiz hai. (Ref: nigaah o lebaas, baab # 3, Question # 89, pg # 61). Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart k sath keh ye k lazzat aur shehwat ki neyat say nah suni jaey aur haram mai mubtila honay ka bhi khof na ho aurat k leye ye jaiz hai k wo apni awaz na mehram mardo ko sunaey mgar ye keh haram kaam mai mubtila honay ka khoof ho tu is surat mai jaiz nahi hai (Ref: Ayatullah sistani jadid fiqhi masail pg #266, masla #510). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13793
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa sir mera question yh hai k mein apna cooking chaneel banana chahti hn jis mein face nhj daikhao gen just awaz jaye gen tu kia yh sahi hai

Answer: Aurat k leye ye jaiz hai k wo apni awaz na mehram mardo ko sunaey magar ye keh haram kaam mai mubtila honay ka khoof ho tu is surat mai jaiz nahi hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko ubharne wali ho. (Ref: Ayatullah sistani jadid fiqhi masail pg #266, masla #510 ) & (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13802
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a .. bchpan me meri phopho ny mjhy dhudh pilaya tha .us wqt mera hmumer czn tha jo is lehaz sy mera razai bhai hua.Swal ye h k kia mera razai bhai k bhai sy nikah jaiz h?

Answer: Bachche ko dhodh pilaana jo mahram banne ka sabab banta hai, oski 8 shartein hain: (1) Bachcha zinda aurat ka dhodh peeye. Pas agar wo mard aurat ke pistaan se dhodh ki kuchh miqdaar peeye jo razaat mein motabar hai to os ka koe faida nahin. (2) Aurat ko dhodh sharee (jayez) zachki ki wajah se ho, agarcheh wati shuba ki bina par ho. Pas agar farzan dhodh baghair zachki ke utara ho ya aise bachche ka dhodh ho jo waladul zina ho kisi dusre bachche ko diya jaay to os dhodh ke tawssut se wo dosra bachcha kisi ka mahram nahin banegaa. (3) Bachcha pistaan se dhodh peeye. Pas agar dhodh os ke halq mein uondela jaay to bekaar hai. (4) Dhoodh khaalis ho aur kisi dusri cheez se mila hua na ho. (5) Dhoodh ki jo miqdaar mujib e hurmat hai wo dhodh ek shohar ka ho. Pas dhodh pilaane waali aurat ko agar talaaq ho jaay aur wo aqd saani kar le aur dusre shohar se haamla ho jaay aur bachcha janne tak os ke pahle shohar ka dhodh os mein baaqi ho maslan agar os bachche ko khud bachcha janne se qabl pahle shohar ka dhodh aath dafa aur waza hamal ke baad dusre shohar ka dhodh saat dafa pilaay to wo bachcha kisi ka bhi mahram nahin banta. (6) Bachcha kisi beemari ki wajah se dhodh ki qay (ulti) na kar de aur agar qay (ulti) kar de to bachcha mahram nahin banta. (7) Bachche ko is qadr dhodh pilaaya jaay keh os ki haddiyaan os dhodh se mazboot hoon aur badan ka gosht bhi usi se bane aur agar is baat ka ilkm na ho keh iis qadr dhodh peeya hai ya nahin to agar os ne ek din aur ek raat ya 15 dafa pait bhar kar dhodh peeya ho tab bhi (mahram banne ke liay) kaafi hai jaisa keh os ka (tafseeli) zikr aane waale masale mein kiya jaay ga. Leikin agar is baat ka ilm ho keh os ki haddiyaan os dhodh se mazboot nahin huye aur os ka gosht bhi os se nahin bana halankeh bachche ne ek din aur ek raat ya 15 dafa dhodh peeya ho to is jaisi surat mein ehtayaat-e-waajib ka khayaal karna zaruri hai. Pas mazkura mawarid mein shaadi na ki jaay aur mahramana nazar bhi na daali jaay. (8) Bachche ki umr do saal mukammal na huye ho aur agar os ki umr do saal hone ke baad ose dhodh pilaaya jaay to wo kisi ka mahram nahin hota balkeh agar misaal ke taur par wo umr ke do saal mikammal hone se pahle aath dafa aur os ke baad saat dafa dhodh peeye tab bhi wo kisi ka mahram nahin banta. laikin agar dhodh peelane waali aurat ko bachcha jane huye do saal se ziyadah muddat guzar chuki ho aur us ka dhodh abhi baaqi ho aur wo kisi bachche ko dhodh pilaay to wo bachcha mahram ban jata hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2438) Bachche ko dhodh pilaana jo mahram banne ka sabab banta hai us ke teen mayyar hain: (1) Bachcha dhodh is had tak peeye keh urfan wo gosht banne aur haddiyaan mazboot hone ka sabab ho. Is ke liye shart yeh hai keh os ka daaromadaar sirf dhodh par ho, dhodh ke sath koe aur ghiza na ho. laikin agar mamooli miqdaar mein ghiza khaay to koe haraj nahin. Agar bachcha do auraton ka dhodh peeye aur baaz gosht aur haddiyaan ek se ban kar mustehkam ho jaayn aur baaz dusri ke dhodh se to dono mehram hongi aur os ki razaee maan ban jaygaeegi. Agar dono ke dhodh se mil kar bane hoon to hurmat saabit nahin hogi. (2) Waqt ka hisaab: Is ki shart yeh hai keh bachcha 24 Ghante ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye laikin agar paani peeye, dawayee de jaay ya itnii kam ghiza khaay keh yeh na kaha sa sake keh 24 Ghanton ke dauraan ghiza khayee hai to koe ishkaal nahin. Aur zaruri hai keh poore din raat mein jab bhi bachche ko ghiza ki zarurat pade to dhodh peeye jis se ose na rokaa jaay balkeh ehtayaat-e-waajib ki bina par zaruri hai keh 24 Ghante ka hisaab os waqt se shuru kiya jaay jab bachcha bhooka ho aur os ka aakhir wo waqt shumaar kiya jaay keh bachcha ser ho. (3) Tadaad ka hisaab: Is ke liye shart yeh hai keh 15 martaba musalsal osi aurat ka dhodh peeye aur os 15 dafa ke dauraan aur kisi ka dhodh na peeye. laikin os dauraan ghiza khana zarar ka baais nahin aur 15 dafa ke dauraan waqt ka faasla ho jaay to bhi koe zarar nahin laikin zaruri hai keh har dafa mein bachcha ser ho kar dhodh peeye. Wo is tarah keh bachche ko bhook lagi ho aur wo mukaamal ser hone tak baghair waqfe ke dhodh peeye. laikin agar dhodh pene ke dauraan zara ruk jaay ya sabr kare keh chhatti monh mein laine se seer hone tak ko ek dafa shuumaar kiya ja sake to koe ishkaal nahin. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2428,2438,2439) (Note: Agar is tamam sharait ke sath doodh piya tha to nikah jaiz nahin hai. warna jaiz hai.) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13881
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kisi na mehram ko chumna ka kuffara.

Answer: Bivi k alawa kisi bhi na mehram aurat ke jism ko dekhna, os ko bosa(kising), choma(touching), or os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil karna ghunah e kabira hai. or isi terah kisi bhi mehram ko lazzat k iraday se chomna ya os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna haram hay. (Ref: Ayatullah Khoie(q.s), Tauzeeh ul masail edition, maslah #2442,2446) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13908
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia larka or larki dost ho sekta ha ya islam ma jiaz ha?

Answer: Kisi mard or aurat k liay na mehram mard or aurat se doosti karna Jaiz nahin hai. (Mujthid se poushey gye sawalat part #4, ques #125, pg #65) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13934
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam u alikum. Mera question ye hai kai kia aik lrka kisi lrki saii baat karskta hai agr wo uskee classmate hou ya na hou ?

Answer: kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahin hai. larkay aur larki ka baat karnay me agar lazat aur haram me parhnay k khof ho to haram hai. (Ref:Mujtahid se pouchay gaye sawalat part #4, ques #125, pg #65) &( Ref: kitab nigah aur libas Sawal # 84 Pg # 59) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!