Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13941
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Na mehram ko dua mein mang skty hain ya nahi?

Answer: Na-mehram say dosti ka is had tak izhaar kerna k us say kehna k mujhay tum say muhabbat hai,jaiz nahi hai aur gunnah hai.lekin agar allah sai dua mai manga jaaye tou koi harj nahi hai.(Ref:book nigah aur libaas masla#106,pg#69). [Updated on 20-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13954
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum! Me ny suna ha k aurat k sir k ek baal pr b namehram ki nzar pr jaay to pury jism pr nzar prny k brabar ha. Is me kitni haqeeqat ha?

Answer: Mard ke liye Na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna aur isi tarh un ke balon ko dekhna haram hai, chahe lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair ya chahe haram me mubtila hone khof ho ya na ho. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaye lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai bhi agar haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donon suraton mai in ko chupana wajib hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Maslah #2397,2399). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13966
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia aik na mahrum larkey ko dekhne se gunnah milta hai

Answer: Aurat k liye na mehram mard k jism per nazar daalna lazzat k irade se aur haram me mubtila hone k sath haram hai balke ehtiyaat e wajib ki bina per lazzat ka irada aur haram me mubtila hone ka khof nah bhi ho tab bhi mard k badan per nigah nahi daalne chahiye laikin agar aurat mard k jism k in hisso maslan sar,dono hath aur dono pindliyo per jinhe umoman mard nahi chupate ,lazzat k irade k beghair nazar daale aur haram me mubtila hone ka khof na ho to koe haraj nahi hay.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #2397) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14018
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr gf bf ek dusre ko husband wife mane suchhe dil se tho humbistar hona galt hai ya sahi

Answer: Husband or wife aik doosre ko tasleem karna meyaar nahi hai balke tamaam shrait k saath nikah ka hona zaroori hai or nikah sai pehle ye haraam taaluq hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341,2335). [Updated on 01-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14077
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi say phely hum bistari karna ghunna hai nah ??? apne mangetar say

Answer: Nikah sai pehle mard aur aurat aik doosre k liye na mehram hai lehaza na mehram ko choona bhi jaaiz nahi hai or hambistari karna zina hoga.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masail, masalah # 259,239). [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14079
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Kissi larki ko Ilaj ka lia hath lgana jaiz ha jasa doctors wagara krta ya Pir hazrat krta hain Kissi larki ka hath pakr ka ya Sir pa hath rakh ka dam krta Kia ya jaiz ha ??

Answer: Agar aurat na-mehram mard se apni kisi aisi bemari ka ilaj karane per majboor ho jis ka ilaj wo bheter tour per kar sakta ho to wo aurat is na-mehram mard se apna ilaj karasakti hai. chunache wo mard ilaj k silsele me is ko dhekhne ya is k badan ko hath laghane per majboor ho to mard k liay aisa kerna jaiz hai. Laikin agar wo sirf dekh kar ilaj kar sakta ho to zaroori hai k is aurat k badan ko hath na laghaye aur agar sirf hath laghane se ilaj kar sakta ho to phir zaroori hai k is aurat per nigah nah dale. Agar insaan kisi shaks ka ilaj karne k silsile me is ki sharamgha per nigah dalne per majboor ho to ehtiyaat e wajib ki bina per osay chahiay k aeina saamne rakhay aur is me dhekhay. Laikin agar sharamgha per nigha dalne k ilawa koe chaarah nah ho to phir koe haraj nahi. agar sharamgha per nigah dalne ki muddat aeine me dhekne ki muddat se kam ho nazar karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail edition #42, maslah #2405,2406 ) [Updated on 10-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14093
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: سلام نو سال کی عمر میں لڑکیاں بالیغ ہو جاتی ہیں تو کیا وہ منقبت،قصیدہ،وغیرہ یوٹیوب پر ےا واٹس اپ پر نا محرم کو شیئر کر سکتی ہیں۔۔۔؟ آیت اللہ سیستانی کے مطابق جواب دیجےگا ریفرینس کے ساتھ جازاک اللہ

Answer: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart k sath keh ye k lazzat aur shehwat ki neyat say nah suni jaey aur haram mai mubtila honay ka bhi khof na ho aurat k leye ye jaiz hai k wo apni awaz na mehram mardo ko sunaey mgar ye keh haram kaam mai mubtila honay ka khoof ho tu is surat mai jaiz nahi hai. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref: Ayatullah sistani jadid fiqhi masail pg #266, masla #510). (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref: nigha aur libas pg: 31 eidition 1) [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14113
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Engagement k bad fiance se bat krskta hn?

Answer: Mangetar Na mehram hai aur na mehramn se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota. or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14122
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya islam mei ak aurat kisi gair mehram se messeg text par deen ki batai kar sakti hai ya kisi ko deen ka mashwara dai sakti hai misaal k toor par facebook pe kya aurat islamic post pe reply dai sakti hai plz batai

Answer: Na mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota. or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66) (Ref: nigah aur libas edition #1, pg #31) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14148
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Kisi female student ka ustaad Sai chatting krna jaiz hai

Answer: Na-mehram se jinsi baatain (sex talks) karna jaiz nahin hai, Na-mehram (mard,aurat) se aisi baatain ki jasakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jab k koi aisi baat bhi na ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi (mard,aurat) k saath kiya jana munasib nahin hota. or agar gunah mai parhne ka khof ho agarche ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahin ha, isi tarah gair akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!