Question: Ky kisi larki ka 7 pyaar krna or talk krna gunah ha
Answer: Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). [Updated on 25-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya islam main nikah sy phly ksi sy muhabbat krna harram hai?
Answer: Na-mehram larkay or larki ka apas main doosti kerna or piyaar o muhabbat jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid Sai Poochay Gay Sawalaat, Part #4, Sawaal# 125) [Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: الاسلام و علیکم، جنابِ عالی! میرا آپ سے یہ سوال ہے کہ ایک لڑکی جس کو میں پیار کرتا تھا بھی اور ہوں بھی شادی شُدہ ہے، اگر وہ مُجھ سے بات کرنا چاہتی ہے، صرف سلام دُعا، تو کیا اس صُورتِ حال میں ہمارا بات کرنا جائز ہے یا نہی۔ رہنمائی کیجئے۔ جزاک اللہ خیر
Answer: 1: Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahi hay. 2: Na-mehram sai baat krna agar lazzat aur haram mai mubtila honay k khof k bagair ho to koi haraj nahi. warna jaiz nain hai. (Ref: Nigah aur libas sawal #106,84, pg #69,59) [Updated on 13-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اسلام وعلیکم اگر کسی غیر محرم سے گلے لگایا جائے اور منی خارج ہو جائے کیا وہ ذنا میں آ جاتا کے نہیں
Answer: Ye zina ke zumre main to nahin aata, lekin Na-mehram aurat ka merd k badan ko haath lagana gale lagana jaiz nahi hay or isi tarah kisi bhi merd ka na mehram aurat ko choona jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, masla #259,239). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main puchna chahta hun k meri kuch dino pehly mangni hui hai aur meri mangetar ne mujhsy pyar maanga tha call pe mtlb k apny jism pe apny seeny pe back pe...kya uska ye pyar mangna thek hai?
Answer: Mangetar na mehram hai lehaaza nikah sai pehle ye cheezein halaal nahi hain.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masail, masalah # 259,239). [Updated on 14-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia us czn se dosti jaiz he jis ne aap ko bachpan se ek bare bhai ki trah pala aur treat kia ho
Answer: Cousin na mehram hai aur na mehram merd or aurat ka doosti kerna jaiz nahin hai. aap on se bhai hone k hawale se baat kar sakti hain. (Ref : Nigah aur libas, sawal #106, pg #69). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia us czn se dosti ya baat krna jaiz he jis ne bachpan se ek bare bhai ki ttah pala aur treat kia ho?
Answer: 1: Cousin na mehram hai aur na mehram merd or aurat ka doosti kerna jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas, Edition #1, sawal #106, pg #69). 2: Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahin hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66). (Ref: Nigah aur libas, Edition #1, pg #31) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). [Updated on 25-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mujhy ye poochna hai k kisi na mehram ko nanga dekhna or khud bhi us k samny bgher krpo k ana or sirf mobile phone p dekhny k bary mein Islam kia khta hai or iski kia sza hai
Answer: Aurat ka apna badan yahan tak ke apne baal kisi na mehram mard ko dikhana chahe mobile phone pe hi Q na ho haram hai aur kisi na mehram mard ka badan dekhna bhi haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2397,2400). [Updated on 22-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia lazzat ki niyat se dekhna ksi aurat k pairo ko ..haram hai?
Answer: Na-Mehram Aurat ke chehre par nigah dalna aur hathon ko kalaiyon tak dekhna lazzat ke irade ke sath ho ya haram me parne ka khaof ho to haram hai. balke Ehtiyat e mustahab (yani behtar) ye hai ke lazzat ke irade ke bager aur haram me parne ka khaof na ho tab bhi na dekhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 41, Mafhoom e Maslah #2397). [Updated on 25-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Allaikum me ak larki sy pyar krta hun wo mjhy bht yad ati hy har waqt yad ati hy uska intizar rehta hy me namaz b ni parh sakta q k mind udar e hota hy mjhy koi hal btain k me usy bhuul jaun
Answer: 1: Kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahin hai isi tarah Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye bhi jaiz nahin hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khauf mojoud hay. 2:Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) Koshish karain k khuch mufeed kamon main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, tanhai se ijtinab karen or ke sath ghul mil kar rahen or har us cheez se bachain jo aap ko is cheez kii taraf le jaye. 3: Jo shadi na hone ki waja se fail e haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le. (Ref: Mujthid se poushey gye sawalat part #4, sawaal #125, pg #65, Nigah aur libas sawal #106, pg #69, Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2407). 4:jaan bouje kar wajib namaz na perhna gunae kabera hay ( or jaiz nahe hay) (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #1 masla #30 ) 5:Jis shakhs ne apni rozana ki namazain un k waqt me na parhi hoon to zurari he k un ki qaza karain (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1356) [Updated on 22-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]