Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14884
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hamse bahot badi galti ho gai he maine apne bf ko kiss kar liya aur usko apne jismo ko chute huye bhi nhi roka ham iski maafi kaise mange allah se

Answer: 1: Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. 2: Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya os ka bosa(kiss) laina ya gale lagana haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le. 3: Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.wo koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo us ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar wo khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (Ref: Nigah aur libas, sawal #106, pg #69, Mujthid se poushey gye sawalat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66,(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) , http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ , (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 15-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14919
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya kaafir orat se mardon ko parda karna laazmi ha?

Answer: Woh be parda aurtain jinhen agar koi parda karne ke liye kahe to us ko ehmiyat na deti hon, un ke badan ki taraf dekhne men agar lazzat ka qasd aur haram men mubtela hone ka khauf na ho to koi ishkaal nahin. Is hukm men kaafir aur ghair kaafir aurton men koi farq nahin hai. Isi tarah un ke hath, chehre aur jism ke deegar hisse jinhen chhupaane ki woh aadi nahin, koi farq nahin hai.mujtehideen is baat ki wazahat karte hay ke shak or lazzat ki niyat se aurato ko daikhna haraam hay or lazzat ki nigha ka matlab ye hay ke in ki taraf shewat ki nazar se daikha jaae or shak ki nigha ka matlab ye hay ke faile haraam me mubtela hone ka khouf ho . jo auratain behejabi se ruke jaane se nahe rokte in aurato ke chere ,hatheliyo or in ahzaa ( jisam ke hisso) ko daikhna jaiz hay jo aam tour per nahe chupate is shart ke sath ke jinnse lazzat ki nigha se na daikha jaae or daikhne wale ka faile haraam me mubtela hone ka khatra bhe na ho laikin in ahzaa ko daikhna jaaiz nahe jinhe ( wo auratain ) mamoole ke khelaaf sab khuch zaahir karte hain . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2398).(ref:jadeed fiqhe masail ,aqa sistani,masla no: 458,459) [Updated on 07-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14945
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia engagement k bd hone wali wife se mobile pe sab (har tra ki btain) btain kar sqth hai ??

Answer: Mangetar Na mehram hai aur na mehramn se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota. or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahin hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66, nigah aur libas, pg #31 edition 1 , http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). [Updated on 30-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14958
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Iddat my agar bhabi devar sy parda na kry to kia harj hy

Answer: Bhabhi or dewar aapas main na-mehram hain or na-mehram se parda karna wajib hai chahe iddat me ho ya na ho, Albatta aurat, na-mehram mard ke saamne chehra or kalaeyon tak hath khule rakh sakti hay laikin is soorat main keh haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi mard ko (hath or chehra) dikhana haram main mubtila karne k irade se ho tu in dono soorton main in ko chupana wajib hay. Aurat, mehram afraad jese (baap, dada, or susar) ke samne to wese hi (bager parde ke) ja sakti hai, lekin na mehram afrad jese (dewar or cousin wagera) ke samne Agar mukammal sharaei parda kiya howa ho or gunah men parhne ka khof bhi nah ho to ja sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399,2481,2482. [Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14959
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 2 bhai ho or aik bhai ka intekal ho jy or chota bhai pr ghar ki sab zumadari ajay or to bhabi ko us say iddat my parda krna zarori hy ya nahi b kary to gunah nai ho ga

Answer: 1: Agar koe aurat baywah ho jaaye to qamri (Chaand k lihaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakhay gi. 2: Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liye rang baranga libaas(colour full dress) pehenna, surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shumaar hotay hon, haram hain or dosray nikah say bhi roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahin hay. 3: Bhabhi or dewar aapas main na-mehram hain or aik na-mehram aurat, na-mehram mard ke saamne chehra or kalaeyon tak hath khule rakh sakti hay laikin is soorat main keh haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi mard ko (hath or chehra) dikhana haram main mubtila karne k irade se ho tu in dono soorton main in ko chupana wajib hay. 4: Mehram afraad jese (baap, dada, or susar) ke samne to wese hi (bager parde ke) ja sakti hai lekin na mehram afrad jese (dewar or cousin) ke samne Agar mukammal sharaei parda kiya howa ho or gunah men parhne ka khof bhi nah ho to ja sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2399,2481,2482. + Nigah o libaas, pg #57,61,65) [Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15035
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ek ladki se pyar karta hoon uss ladki ko mujhe pyar hai ya nhi maloom mujhe. main usse shadi karna chhata hoon aur mujhe uske aur apne liye koi dua h toh bta dijeye jisse meri usse shaadi ho jaaye

Answer: Kisi mard or aurat k liye na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat karna jaiz nahin hay. Haan aap faqat os k ghar nikah ka paighaam bhej sakte hain or dua ker sakte hain. Larkay ki shadi ka wazifa: agar koi shakhs surah e aale imran ki ayat #73,74 ko likh kar bazo par bandh lay or kisi aurat ko nikah ke liye paigham bheje tu Inshallah paigham manzoor ho jaey ga or qasid kamiyaabi k sath wapis aay ga. (Ref: Nigah aur libas, Mafhoom e sawal #106, pg #69. + Naeem ul Abraar, pg #326,327). [Updated on 23-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15043
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Mohabbat mei kisi se zina hojaye aur kisi galti k wajah se Mohabbat khatam hojaye tho kya unhe Nikah karna Zaroori hae ??

Answer: 1: Kisi mard or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat karna jaiz nahin hai. 2: Nikah ke baghair kisi bhi mard or aurat ka sex (jinsi lazzat hasil) karna zina kehlata hai aur zina gunah e kabira hai lehaza us ke liye zaroori hai ke pichlay gunah k liay tauba karey aur aenda gunah na karne ka ehad karey. 3: Agar koe shakhs aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala) is aurat k tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. Laikin zaani k alawa koe doosra shakhs us aurat ke tauba karne se pehle us k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahin hai.( laikin jis ke sath zina kia hay use ke sath he shadi karna zarori nahe hay kide or ke sath nhi shadi ki jasakte hay) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le. (Ref: Nigah aur libas, Mafhoom e sawal #106, pg #69. + Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30.+ Tauzeeh ul masail, edition #42, Maslah #2364, 2407). [Updated on 18-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15051
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: شادی شدہ لڑکی کے کون کون محرم ہوس ہیں ?

Answer: Aurat ki shadi se pehle 7 qisim ke nasabi Afraad mehram hote hain: 1. Baab, Daada, Naana, aur Maan, Baab ke Ajdaad, Agarche silsila jitna upar chala jaye. 2. Beta, Pota, Par Pota, Nawasa, Par Nawasa aur in ki Aulad, Agarche silsila jitna neeche chala jaye. 3. Bhai (chahe faqat Baap ya Maan ki janib se ho ya Maan, Baap Dono ki janib se ho). 4. Bhatija (yani Bhai ke Beta), Agarche silsila jitna neeche chala jaye. 5. Bhanja (yani Behen ka Beta), Agarche silsila jitna neeche chala jaye. 6. Chacha, aur Maan, Baap aur Ajdaad ke Chacha, Agarche silsila jitna upar chala jaye. 7. Mamon, aur Maan, Baap aur Ajdaad ke Mamon, Agarche silsila jitna upar chala jaye. Yeh Afraad shadi se pehle hi Auart ke mehram hote hain, In ke sath sath aurat ki shadi ke baad mazeed 2 qisim ke Afraad ka izafa ho jata hai jo is Aurat ke mehram ban jate hain. 1. Susar (yani Shohar ka sagha Baap) aur Shohar ke Ajdaad (yani Daada, Naana), Agarche Shohar aur Biwi ke darmiyan Hambistri anjaam na paaei ho. 2. Shohar ke Bete, Pote aur Namase, Agarche silsila jitna neeche chala jaye. aur Agarche Shohar aur Biwi ke darmiyan Hambistri anjaam na paaei ho. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #90,157,158). [Updated on 12-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15136
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo Alykum...maray bhai nay ayk beta goud liya hai to agar us ki biwi dude pilayay to kya main mahrum ban jaongi??

Answer: Bache ko doodh pilana jo mehram banne ka sabab banta hai us ki aath(8) sharten hain. 1. Bacha zinda aurat se doodh piye. 2. Aurat ka doodh fail e haram ka natija na ho. 3. Bacha pistan se doodh piye. 4. Doosd khaalis ho aur kisi doosri cheez se mila howa na ho. 5. Doodh aik hi shohar ka ho. 6. Bacha kisi beemari ki wajah se doodh ki qay(vomit) na kar day. 7. Bache ko is qadar doodh pilaya jaye ke bache ki hadiyan is doodh se mazboot hon or badan ka ghost bhi bane. 8. Bache ki umr(age) ke do saal mukammal na howe hon. In tamam sharait ki taseelaat maloom ke liye hum aap ko aik link provide(faraham) kar rahe hen aap us link ko visit karen to aap ko sharait ki tafseelaat maloom ho jayen gi. Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25323/ Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1. Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay. 2. 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho. 3. 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho. Agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye bache ko doodh pilaya jaye to aap dono mehram ho jaye gay warna nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2428,2438,2439). [Updated on 03-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15155
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aurat khushboo lagakar kisi gair mard ke samne aa sakti hai

Answer: Agar na mehram ki tawajjuh jazab karne ka baais(sabab) bane to jaiz nahin hai laikin aurato ke lie ghar se bhar khushboo ka istemaal karna agar mardo ko gumrah karne ka sabab na ban raha ho or ise lagane ka maqsad mardo ko haraam me mubtela karna bhi na ho tu jaiz hay.(Ref: Nigah aur Libas, sawal #157, pg #95,deen ke ahkaam,aqa sistani ke fatawa ke mutabiq ,pg no: 241,sawaal no:241) [Updated on 17-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!