Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15184
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum Kia devar ka beta Mera mahram ho gha ma adopt kerna chahiti hun?

Answer: Dewar na-mehram hai lehaza us ka beta bhi na-mehram hi rahe ga aur us bache ke balig hone ki soorat me aurat ko us se parda karna bhi wajib hai aur Adoption(Goud lene) men koi haraj nahin hai albatta agar bachay ki adoption ki jaay to is baat ka khayaal rakha jaye k bachay ka os k sagay waaldain se rishta mehfoooz rahay. or is bache ko apna baita khelana jaiz nahin hai .is ko wirasat bhi nahin mile gi or ya bacha adoption karne wali aurat or is ki betiyon ka na-mehram hoga or ise haqiqat se aagha karen albatta is tarah se ke is per zehni dabaao na parhe or is ka naam apne farzand ke tour per aai card sabt na karen. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki waja se aisa karna mumkin na ho tu sabt kare or ghawa banaaen.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397, Mafhoom e E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010), (sistani.org, urdu ,topic: goud lena, sawaal #1, english, topic :adoption, que #1). [Updated on 04-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15213
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera Ristha pkka ho gya ji kya nikaha se phle usse ke sath sex kr skte H kiss le skte H

Answer: Jee nahin, nikah se pehle sex jaiz nahin hai kyun k faqat rishta paka hone se larka aur larki miyan biwi nahin bante ke sex karna jaiz ho jaye, balkeh nikah karne k baad larka aur larki miyan biwi ho jate hain aur miyan biwi aik doosray k liye halaal ho jaate hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Before Maslah #2328, Pg #357). [Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15222
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is surrogacy is permited according to fiqh e jaferia? And if yes what are the conditions?

Answer: agar aurat or mard k nutfay ko mila kar phr kisi aurat k reham mai dakhil kia jaaye taakay wo in k bachay ko paida kar dey tou yeh durust hojaye ga koi harj nahi hai siwaye yeh k koi or haram kaam na hone paaye jese agar aik mard na mehram aurat ka operation karay wagaira.......Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 67 page 465). [Updated on 26-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15316
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Mari shadi ko 12 sal ho Gy Hy ma ak larky sy Pyar Karti hu kuch dino pahly Mari larai hoi Hy jis k bad sy woh mujh sy bat nahi Kar raha mujhy batay ma kiya karo please

Answer: Shohar daar aurat sai muraad wo aurat hay jo kisi k nikah main ho chahe humbistri na bhi hoi ho aur Shohar daar aurat ka kisi ajnabi mard ke sath taluqat rakhna (jima ke bager) jaiz nahin hai. isi tarah Na-mehram larkay or larki ka apas main doosti kerna or piyaar o muhabbat jaiz nahin hai. (Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Masalah #30. + Mujtahid Sai Poochay Gay Sawalaat, Part #4, Sawaal# 125). [Updated on 17-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15318
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Kya baap ka Bhai or maa ka Bhai yani mamu or chachu na mehram hain?

Answer: baap ka Bhai yani kise larki ka chacha or maa ka Bhai yani kise larki ka mamu larki ke lie mehram hain.( orlarki ko apne mehram rishtedaar se pardah karna wajib nahe hay) (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2349,2353,2354). [Updated on 04-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15359
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia larrki or larrka ek pakeeza dost ni ban sakte? Esi dosti jis m koi Lalach na ho ?

Answer: Na Mehram mard or aurat ka Dosti karna "HARAM" hai Q ke is se haram mai parhnay ka khauf hota maujood hai. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani). [Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15386
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera ye question hai k agar kisi say mhbt hai lekin us shakhs ko mohabbat nhi hai to kya hm ALLAH say Dua kr saktay hain k k uskay Dil me Meray liye mohbbt dal day?

Answer: Na-mehram larkay or larki ka apas main doosti karna or piyaar o muhabbat jaiz nahin hai. Aur aik larki ka kisi no-jawan larke se is etebar se dosti karna ke shadi to ek dam nahin hoti balke shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nahin hai. Albatta Islam pasand ki shadi se mana nahin karta. or shadi ke liye jaiz khoshish kar sakti hain or dua kar sakti hain laikin haram kam karne ke ijazat nahe hai. Aap Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay (box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hasb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #125,127, pg #65,66. + Naway e Saleheen, pg #352). [Updated on 27-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15413
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kisi gair mahram se whatsapp pr baat krne ka gunah zina ke barabar hai?aur hamari sonch saaf ho to kisi gair mahram se baat krne pr kiya gunah hai?

Answer: 1: Jins e mukhalif se dosti karna aur baat cheet karna jaiz nahin Q k gunah me mubtila hone ka khaof majood hai.(Ref: kitab nigah aur libas, ques #106, pg #69). 2: Na-mehram se aisi baatain ki jaa sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab k koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahin hota. Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart k sath keh ye k lazzat aur shehwat ki neyat say nah suni jaey aur haram mai mubtila honay ka bhi khof na ho aurat k liye ye jaiz hai k wo apni awaz na mehram mardo ko sunaey magar ye keh haram kaam mai mubtila honay ka khoof ho tu is soorat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #125,127, pg #65,66).+ Nigah aur libas, Edition #1, pg #31. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). [Updated on 29-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15419
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa orat k mehram mrd knsy ha khala,chachu,ya Mamu k baity?

Answer: Aik aurat ke mehram afrad hain:- 1: Baap, dada aur jis qadar ye silsila upar chala jaye. Bhai, Beta, Chachu, Mamu, Bhatija, bhanja, Susar. 2: Aurat ka Chachu, or Mamu or isi tarah maan, baap, dada dadi or nana nani ke Chachu, or Mamu aur jis qadar ye silsila upar chala jaye, ye sab aurat ke mehram hote hain. 3: Shohar ka baap, dada isi tarah nana aur jis qadar ye silsila upar chala jaye, aur shohar ka beta, pota, nawasa aur jis qadar ye silsila niche chala jaye, chahe wo nikah ke waqt dunia men maujood hon ya baad men paida hon ye sab biwi ke mehram hain. yani in tamam mehram afrad se nikah kerna haram hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2349,2353,2354.+ Minhaj us Saleheen, part #3, maslah #90). [Updated on 30-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15517
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum Agar aap kisi na mehram se bat nhi krtay ,, sirf Allah se usy mangtay ho k wo mera mehram bn jaye aur rasta Allah bna dy maa baap k zariye ,, yi jaiz hai ya nahi ...?

Answer: Jee han, ye jaiz hai Q ke Na-mehram larkay or larki ka apas main doosti kerna or piyaar o muhabbat ya mamool se hat kar baten karna jaiz nahin hay. or aap ka us ke ghar nikah ka paighaam bhejna or dua karna jaiz hai. Aur Islam bhi pasand ki shadi se mana nahin karta. (Ref: Mujtahid Sai Poochay Gaye Sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Mafhoom e Sawaal #125). [Updated on 28-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!