Question: اسلام عليكم Mera Sawal Yeh ha k, men ik medical student hon oR Muje parhyai men kae chezin samj nhi atien toh kiya esy men kisi male student sy help liya jaa skata ha? Kiya male student sy parha jaa skta ha? Agar kisi haram me parny ka khoof B na hu!
Answer: 1: Agar lazzat ke irade aur haraam mein mubtala honay ke khauf ke bagher ho to koi haraj nahin hai. 2: Na-mehram se aisi baatain ki jaa sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab k koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi khatoon ya mard k saath kiya jana munasib nahin hota. Aurat k liye ye jaiz hai k wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye keh haram kaam mai mubtila honay ka khoof ho tu is soorat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahin hai. 3: Aurat ko chahiye ke woh, chehre aur hathon ke ilawa sar ke baal aur apna badan na mehram mard se chupaye aur ahtiyat e lazim yeh hai keh apna badan aur sar ke baal us larky se bhi chupaye jo abhi baligh to na hua ho lekin itna samajhdar ho keh achay aur buray ko samajhta ho aur ahtimal ho keh aurat ke badan par us ki nazar parne se uski jinsi khuwahish bedar ho jayegi, lekin aurat na mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat mein keh haram mein mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko hath aur chehra dikhana haram mein mubtala karne ke iraday se ho to un dono surton mein un ko chupana wajib hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #125,127, pg #65,66).+ Nigah aur libas, Edition #1, pg #31,57. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2399. (Note: Jins e mukhalif se ghuftago agar jaari rahe to aam taur par dosti or muhabat ka baais banti hai is wajah se control karna laazmi hai). [Updated on 22-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir main aik larki sy bht pyar karta hun pahly wo bhi karti thi phr achanak pata ni kya huwa k wo meri shakal bhi nhe daykhna chati par main us k bagair nhe rah sakta mairy ami Abu ki bhi death ho chuki hai maira aur koi Sahara nhe hai kindly kuch btayn
Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahin hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. Isi tarah kisi na mehram se doosti karna bhi Jaiz nahin hai. Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le. (Ref: Nigah aur Libas, sawal #106, pg #69. + Mujtahid se pouchey gaye sawalat, part #4, sawal #125, pg #65),(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) [Updated on 22-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mera sawal ye hai k agr ladki ki age 16 saal hai aur wo kisi ladke ko chahti ho aur usse pregnant hojaye to during pregnancy nikah ho skta agr larki ka aur larke ka baap na majood ho jb k ladke ke baap ko pta ho Plzz detail se btaaye ga
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain ). 1: Jins e mukhalif se dosti karna ya dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam hi jaiz nahin hai, chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q k gunah men mubtala hone ka khoaf maujud hai. 2: Agar koe shakhs aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main na ho to ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala) is aurat k tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti ehtiyaat e wajib ki bina par tab tak wo larka is larki se nikah nahin kar sakta, Han agar tauba kar le to nikah kar sakta hai. or dosri baat ye ke larki baap mojod hai to us se nikah ki ijazat leni hogi, lekin larki ka baap mojod nahin hai to phir is se tauba karne ke baad nikah sakti hai ). 3: Jo koi shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtela hota ho is par wajib hai ke wo shadi kar le. (Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58,69, Ques #79,106. Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #2364,2407). [Updated on 03-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mard yort ka milna
Answer: 1: Na-mehram mard aur aurat ka tanhaai me kisi aisi jagah sath hona jahan aur koi nah ho aur gunah me mubtela hone ka ahtemaal (chance) bhi ho, haraam hai. chahe wo jagah aisi ho jahan koi aur aa sakta ho, albatta agar gunah me mubtela hone ka ahtemaal (chance) nah ho to koi haraj nahin hai. 2: Aurat ka apna badan yahan tak ke apne baal kisi na mehram mard ko dikhana haram hai aur kisi na mehram mard ka badan dekhna bhi haram hai. Isi tarah na-mehram mard or aurat ka aik dosre ke badan ko choona ya chomna bhi haram hai. 3: Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho to baat karna jaiz nahin hay isi tarah gair akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. 4: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khof na ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khoof ho to is surat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. 5: Kisi mard or aurat ke liye na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat karna jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #2409,2397. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510. + Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). [Updated on 13-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualakum agar kise shadi shuda ko kise karna touch karna ya guna hai ya zina agar kardiya koi aise tho kya karna chaiya pher
Answer: 1: Na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko choona (touch) ya bosa (kiss karna) dena ya zina karna ye tamam haram or gunah e kabira hai, chahae lazzat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ho. 2: Jis se is tarah ka gunah sarzad hua hai is ke liye Lazim hai ke tauba kare. aur zaroori hai ke apne aap ko is gunah se bachaye. sub se pehlay shermindagi ka ehsaas kare or Allah se maghfirat talab kare or khud se ehed or wada kare ke is gunah ko dobara anjaam nahi de ga, or hameshah yaad rakha jaye ke Allah daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan raha hai or Allah ki na-fermani kar raha hai. koshish ki jaye ke khud ko khuch mufeed kamon main masroof ker le jaisay sport, parhai duniyawi kaam kaj waghaira, or har os cheez se bache jo us ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar kare. Agar aap khud par qabo nah paa sakta ho to roza rakhe Q ke roza ghunahon ke muqabilay main dhaal ka kaam karta hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 15-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Talaq ky bad susrali rishry daro sy milna kesa hy
Answer: Jaiz hai, Albatta agar wahan jane se mehram or na mehram sab se milna ho to na mehram se milte waqt sharaei parde ka khayal rakhna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399). [Updated on 06-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: SALAM.... AUSTAD AGAR MAI APNI GIRLFRIEND KO NANGA DEKHUNG TOH KYA MAI OUSKE BAAT OUSSE SHADI KAR SAGTA HU JAWAB PLZ
Answer: 1: Jee han, us se shadi kar sakte hain, albatta chand sharaei masail ki taraf aap ko mutawajjah kiya jata hai: ke 1: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna ke mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahin hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khof maujod hay. Isi tarah kisi na mehram se doosti karna hi Jaiz nahin hai. 2: Na mehram mard or aurat ka aik dosre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya bosa dena(kiss karna) ye tamam kaam haram or gunah e kabira hai, chahae lazzat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair. 3: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), mafhoom e maslah #2364. + Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein aik larkay se help le rhi thi Army k test ki.. or us ne kaha mujy aap axhi lagti hain.. kia mein usay block kar doon to ye theek hai.. kiun k mein aise baat ni karna chahti
Answer: (Use block karna ya na karna aap ki marzi pe mauqoof hai han) albatta aap ke liye ye baat waazih ho ke Kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahin hai. (Ref: Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Mujtahid se pouchey gaye sawalat, part #4, sawal #125, pg #65). [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اگر کوئی نامحرم تحفہ دے تو کیا وہ حرام ہوگا
Answer: Jee nahin, balkeh Jaiz hai, le sakte hain.Na-mehram say dosti jaiz nahi hay.Aik mard kisi khatoon say aisi batain kar sakta hay jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jab kay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni jasakti hain jab kay haram main na parnay ka itmeenan ho albatta is soorat main aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur baqreek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho.Ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125. (Ref: Minhaaj us Saliheen Part #2, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #1310,1312,1314 Edition #1417 hij. link: https://www.sistani.org/arabic/book/15/4183/ ). [Updated on 10-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia muhabat k lie(agr koi apse bewafai kre) qatal jaiz hai
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna ke mohabbat ki had tak puhnch jaye, ye shareat men jaiz hi nahin hai Q ke ghunnah mai mubtila honay ka khauf maujood hay. Isi tarah kisi na mehram se doosti karna hi Jaiz nahin hai. (muhabat to buhut door ki baat hai). 2: Musalman aur Har nafs e muhtarama ko Qatal karna, na sirf Qatal karna balke inhen zakhmi karna, marna, aur dosere aise kaam karna Haram aur Gunah e kabira hai. (Ref: Nigah aur libas, sawal #106, pg #69. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/. + Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1439 hijri, Maslah #30). [Updated on 11-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]