Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4249
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kisi b ladki ko hijab kis had tak wajib hai.jaise wo apne sister ke husband k samne bina parde ke ja sakti hai ke nahi.

Answer: Sister ka shohar na-mehram hai aur aurat ko chahiay k sar k baal aur apna badan na-mehram mard sai chupaey laikin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyoo tak hath khulay rakh saklti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4517
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia meri biwi ko maray bayo aur bahno kay baito say parda karna zaroori ha?

Answer: Sohar k bhetijay aur bhanjay os ki biwi k lie na mehram hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4720
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o alikum Mufti sahab ... mera apse ye sawal hai k kya behnoi Se b Parda lazim hain? tafseel Se Bata dijiye.. Please

Answer: Behnoi na mehram hai aur aurat ko chaheay k chehray aur hatho ki kalahiyo k alawa sar k baal aur apna badan na mehram mard sai chupay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5274
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya me net pe ladkiyo ke tasweer deksakta hun

Answer: Agar mard be-hijab na-waqif aurat ki tasweer lazzat k iraday aur gunah aur kisi bhi fasad mai mubtila honay k khof k baghair dekhay to koi haraj nahi.warna haram he. (Ref : Kitab Nigah aur libas pg # 41). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5506
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam. Kya zasa he jab girl apni body kisi ladke ko dihaje (no sex only body)? Kesi muaafi mangni chahye ?

Answer: 1)Kisi mard k samnay aurat apnay body parts zahir nahi kar sakti hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 501, pg # 265) 2)Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada kia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 ) Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5817
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia ek larki dosri larki k sath lip kissing ker sakti haiaur os k opar lait sakti hai? muj sai ye galti ho gae hai aur mai bht sharminda ho ab kia karoo

Answer: Shehwat(Lazzat) ki niyat se aurat ka aurat ko galay lagana, oska bosa lina or os se cherh charh kerna haram hay agarchah in k darajaat mukhtalif hain.(Ref:Jadid fiqhi masail,maslah#515, edition#2003). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5818
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aurat k zahiri parday ka kia hukam hay?? hijab kafi hay ya niqaab karna zaruri hay?

Answer: Zarori hai k aurat apnay sir k baal aur apna badan na-mehram merd say chupaey laikin chehra aur hathon ko kalaiyo tak khula rakha jasakta hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5952
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya BURKHA pahanna Compulsary hai According to ISLAM ???

Answer: Burqa pehanna wajib nahi hai faqat aurat ko caheay k sar k baal aur apna badan na-mehram mard sai chupay laikin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaion tk hath khulay rakh saklti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khof ho ya is mard ko hath aur chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8305
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: QUESTION. ISLAM MEIN AURAT KA BAYAN YA NAMAZ KE LIYE ANA JAYEZ HAI YA NAHI TAFSIL SE BATAYEYE?

Answer: 1)Behter hai k aurat esi jagah namaz pharay jahan na-mehram nah hoon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #881). 2)Ager Sharai (Islamic) parda mukammal ho or is ki awaaz lazzat ko ubhaarne wali nah ho or guhnah main mubtila hone ka koof bhi na ho to taqreer o bayaan jaiz hai. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 3 , Question # 89 , pg # 61). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8659
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aorat ko apny bhaio r walid k samny sir dhapna zroori he

Answer: Wajib nahi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #13 , Eidition 1427 hij). Update on dated 17-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!