Question: aurton ka kinse parda karn lazmi hai or parda kese kre
Answer: 1: Zail me bayan kiye gaye mehram afrad ke alawa tamam na mehram mardon se parda karna zaroori hai. Aik aurat ke mehram afrad hain:- 1. Baap, dada aur jis qadar ye silsila upar chala jaye. Bhai, Beta, Chachu, Mamu, Bhatija, bhanja, Susar. 2. Aurat ka Chachu, or Mamu or isi tarah maan, baap, dada dadi or nana nani ke Chachu, or Mamu aur jis qadar ye silsila upar chala jaye, ye sab aurat ke mehram hote hain. 3. Shohar ka baap, dada isi tarah nana aur jis qadar ye silsila upar chala jaye, aur shohar ka beta, pota, nawasa aur jis qadar ye silsila niche chala jaye, chahe wo nikah ke waqt dunia men maujood hon ya baad men paida hon ye sab biwi ke mehram hain. 2: Aurat ko chahiye ke woh, chehre aur hathon ke ilawa sar ke baal aur apna badan na mehram mard se chupaye aur ahtiyat e lazim yeh hai keh apna badan aur sar ke baal us larky se bhi chupaye jo abhi baligh to na hua ho lekin itna samajhdar ho keh achay aur buray ko samajhta ho aur ahtimal ho keh aurat ke badan par us ki nazar parne se uski jinsi khuwahish bedar ho jayegi, lekin aurat na mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat mein keh haram mein mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko hath aur chehra dikhana haram mein mubtala karne ke iraday se ho to un dono surton mein un ko chupana wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2349,2353,2354,2399.+ Minhaj us Saleheen, part #3, maslah #90). [Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namehram ke samne bal khol kar jana kaisa h ,
Answer: Jaiz nahin hai, Q ke Aurat ke liye zaroori hai ke wo apne chehre aur hathon ke ilawa sar ke baal aur apna badan na mehram mard se chupaye aur ahtiyat e lazim yeh hai keh apna badan aur sar ke baal us larky se bhi chupaye jo abhi baligh to na hua ho lekin itna samajhdar ho keh achay aur buray ko samajhta ho aur ahtimal ho keh aurat ke badan par us ki nazar parne se uski jinsi khuwahish bedar ho jayegi, lekin aurat na mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat mein keh haram mein mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko hath aur chehra dikhana haram mein mubtala karne ke iraday se ho to un dono surton mein un ko chupana wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2397,2399). [Updated on 23-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 1)Is it permissible for a lady to do job for her bright future or not? 2)As I'm getting opportunity to move abroad so can I go for my career? 3)If professional life doesn't allow you to do pardah or hijab what should I do in that situation?
Answer: In tamam soorton me Agar aurat mukammal sharaei parda kare or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai. Q ke Aurat par har hal men pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye ke sar ke baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo main chehray aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai. (Ref: Nigah or libaas, sawal #97, pg #65. Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399). [Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum qari sahab mera naam isra hai or main graduation kr rahi hon main chahti hon study k saath main koi achi job bhi karo jis say main apni gher ki halat bhi thek kr sako kindly koi solution bata dain
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Agar sharaei parde ka khayal rakha jaey aur lazzat ka irada ya gunah mai mubtila hone ka khoaf nah ho to aurat ke job karne main koi haraj nahin hai, Q ke Aurat par har hal men pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye ke sar ke baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo surton main chehray aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Nigah or libaas, sawal #97, pg #65). [Updated on 14-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: islam mai mard ke parde ke huqooq?
Answer: Islam me mardon ke parde (yani jins e mukhalif se irtibaat ki hudood) ke silsile me Surah Noor ayat #30 me bayan hua hai ke: "Aap momin mardon se keh dijiye ke wo apni nigaahen neechi rakha karen aur apni sharamghahon ko bacha kar rakhen, ye un ke liye paakizagi ka baais hai, Allah ko un ke amaal ka yaqinan khoob ilm hai". Mard or aurat ke darmiyan fitri taur par aik kashish hoti hai jo noye insani ki baqa ke liye zaroori hai or khatarnak bhi hai. islam ne is khuwahish ko fitri or pur aman tariqe se poora karne ki takeed ki hai, jabke is se phelne wali kharbiyon ki raah rokne ki bhi chara jouei ki hai. chunache qudrati taur par ye khuwahish insan me rakhi or qanooni taur par is ko lagaam di. ye lagaam nigah se shuru hoti hai, Q ke fasad ki ibtida bhi nigah se hoti hai. aik nigah, aik tabassum phir bahami guftagu, phir be takallufi. wagera wagera..... (Ref: https://www.balaghulquran.com/quran-mozooati-ayaat.php?sno=1699&tid=1703&frm= ). [Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alaikum Kya islam mai prda krny mai muh kø chupana ka bhi hukam hai?
Answer: Aytullah sistani sahab ke mutabiq Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai bhi agar haram mai mubtila honay ka khouf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay ke iraday sai ho to in dono surton main in ko chupana wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399) [Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Urat parda nh kre to os ki saza kia he
Answer: 1: Aurat par pardah karna wajib hai. (Or wajib per Amal na karne per Aurat gunagaar hoghe),Aurat ko chahye ke sar ke baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai bhi agar haram mai mubtila honay ka khouf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay ke iraday se ho to in dono surton main in ko chupana wajib hai. 2: Paighambar Akram(s.a.w.w) ne farmaya: ya Ali(a.s) jis raat mujhe mairaaj par le jaya gaya mein ne buhat si cheezen dekhi jo aap ke liye bayan karta hon. mein ne apni ummat ki khawateen ko mamooli azaab mein nahin balkay sakht azaab mein mubtila dekha. meri ummat par honay wala azaab mere liye takleef ka sabab bana aur shiddat azaab ki wajah se mein giryaa karne laga. Aap(s.a.w.w) ne farmaya ke mein ne aik aurat ko dekha ke jisay is ke balon ke zariye jahannum ki deewar se latka rakha tha aur is ka bheja ubal raha tha. Hazrat Zahra(s.a) {wahan maujood thein aur us} ne arz kya aye mere Habib mere meharban Baba jaan us aurat ne konsa gunah kya tha, un ka tareeqa e zindagi kya tha, jis ki wajah se parwardigaar e mutaal ne un par is tarah ke azaab ko musallat kiya, Paighambar e Islaam(s.a.w.w) ne farmaya: Beti woh aurat apne sar ke balon ko logon se nahin chupati thi aur woh kisi tarah ka parda nahin karti thi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Bihar al anwaar jild #45, pg #218, baab #40, hadees #44. Al-amaali, Sheikh sadooq #115 hadees #3, majlis #24). [Updated on 11-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia be pardah khawateen k badan ko dekhna jaiz hay?
Answer: Woh be pardah aurtain jinhen agar koi pardah karne ke liye kahe to us ko ahmiyat na deti hon, un ke badan ki taraf dekhne men agar lazzat ka qasd aur haram men mubtila hone ka khauf na ho to koi ishkaal nahin. Is hukm men kaafir aur ghair kaafir aurton men koi farq nahin hai. Isi tarah un ke hath, chehre aur jism ke deegar hisse jinhen chhupaane ki woh aadi nahin, koi farq nahin hai. Mujtehideen is baat ki wazahat karte hay ke shak or lazzat ki niyat se aurton ko daikhna haraam hay or lazzat ki nigah ka matlab ye hay ke in ki taraf shehwat ki nazar se daikha jaaye or shak ki nigah ka matlab ye hay ke fail e haraam me mubtila hone ka khouf ho. Jo aurtain be hijabi se ruke jaane se nahin ruktien in aurton ke chehre, hatheliyon or un aazaa (jisam ke hisso) ko daikhna jaiz hay jo aam tour par nahin chhupatien is shart ke sath ke jinsi lazzat ki nigah se na daikha jaaye or daikhne wale ka fail e haraam me mubtila hone ka khatra bhi na ho lekin un aazaa ko daikhna jaaiz nahin jinhen (wo aurtain) mamool ke khilaaf sirf kuch aurtain zaahir karti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2398.+ Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #458,459). [Updated on 19-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo alaikum sir agar shalwar ke puhcho pe design ESA bna ho jis se tangein nazar aein to kya esy kapry pehanna islam me jayaz hai ya nhi?
Answer: Aisa libaas pehenna to jaiz hai lekin na mehram se chupana wajib hai yahan tak ke pairon ka chupana bhi wajib hai is tarah se ke maslan paon me mauze (Socks) pehenne se chupaya jaa sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399). [Updated on 04-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aurat par kis Omar mai parda lazim hai
Answer: Larki 9 qamari (chand waly) saal poore karne ke baad balig hoti hai. aur jab baliq aur aaqil ho jaaye to is par namaz, roza, parda aur dosray sharaei ahkaam wajib ho jate hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2215,2397). [Updated on 18-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]