Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11815
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalaam walaikum. Mera sawaalon ye hai ki agar mein black burkha na pehenu aur gar mera libaas loose aur colourful rahe toh kya ye jayez hai??

Answer: Black Burqa pehanna wajib nahi hai faqat aurat ko caheay k sar k baal aur apna badan na-mehram mard sai chupay laikin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaion tk hath khulay rakh saklti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khof ho ya is mard ko hath aur chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11942
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aurat par parda wajib hai??

Answer: Na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair ya chahe haram me mubtila hone khof ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2397). Aurat , na-mehram k saamne chehra or kalaeyo tak hath khule rakh sakti hay laikin is sorat main keh haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi mard ko (hath or chehra) dikhana haram main mubtila karne k irade se ho tu in dono soorto main in ko chupana wajib hay. (Ref: Touzehul masael, maslah#2399) [Updated on 03-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12305
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mea sawal hay k aurat agar mehram logon kay sath hay tu jisam kay kitany hisay ka perdah hay ?

Answer: Auraton k liay apne mehram mardo se perda karna wajib nahi hai, Jo mard aur aurat aapas mai mehram hon agar wo lazzat ki niyat na rakhtay hon aur haram mai parhnay ka khof na ho to sharmgah ke elawa aik dosre ka pora jism dekh sakte hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2401) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12414
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA , kia orat par parda krna lazmi ha, or agr vo parda na kra to kia os ka Baap ya Bhai os pa zorzbrdasti kr skta ha ka vo parda kra

Answer: Jee bilkul aurat k liye parda karna laazmi hai or amar bil maroof or nahi anil munkir k tehat baap or bhai aap ko parde k liye keh sakte hai or aap ko bhi chahye k parda karein kyun k pardah na kar k aap khuda ki naraazgi ka sabab bun rahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01746/). [Updated on 17-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12780
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia mamo apni bhanji ko bhosa day sakta hai ya hathoo ko choom sakta hai?

Answer: Bhanji mehram hain or bagair shewat ky on ko choona ya onka boosa laina jaiz hay .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #12,16) [Updated on 08-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12810
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran majeed ki knsi surat me or ayat num knsi hai jaha ourat ko parde ka hukum diya gaya hai?

Answer: Aurtoon k liay perday ka hokum quran main Sorah e noor (sorah #24) ki ayat# 31 aur 60 main hay. (Ref: quran: Sorah e Noor ayat#31). [Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12839
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum sir main ye pochna chahthi hon ka jo aj kal mahol ho gaya hai Pakistan main i mean modern apko maloom ho ga tu kya hum agat chadar la kar bahir nikaltha hain tu kya hamain phir bhi gunnah hai?

Answer: 1)Aurat ko chahiye ke woh, chehre aur hathon ke ilawa sar ke baal aur apna badan na mehram mard se chupaye aur ahtiyat e lazim yeh hai keh apna badan aur sar ke baal us larky se bhi chupaye jo abhi baligh to na hua ho lekin itna samajhdar ho keh achay aur buray ko samajhta ho aur ahtimal ho keh aurat ke badan par us ki nazar parne se uski jinsi khuwahish bedar ho jayegi, lekin aurat na mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat mein keh haram mein mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko hath aur chehra dikhana haram mein mubtala karne ke iraday se ho to un dono surton mein un ko chupana wajib hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla # 2399). 2)Agar aap mukammal share parda karen or gunah men parhne ka khof nah ho to koi haraj nahin hai.(Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65) [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12854
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aurat apne pair ka takhna dikha skti hai?

Answer: Jaiz nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Niggah o libas, Q # 6). [Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12863
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir, me bohattt ziyada loose shirts pehenti hun knees Tak or sath loose trousers of dark colors or sath me duppata se ache cover bhi karti hun khud ko .. to Kia phir bhi mere liye gown pehenna lazim he ... kindly answer

Answer: Aurat k liay kaafi hay keh mukammal sharee parde ka, har munasib libas k zarye, na-mehram mard k saamne lehaz kare laikin bila shak chadar parde k umwan se(khas taur per mazhabi jagho par) ziyada qadr o manzilat ki hamil hay. ((Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Niggah o libas, Q # 135). [Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12928
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri bivi sir par dupata ni leti or khulay balon k saat shar main phirti hy, kia ussy na ruka to mujy gunah mily ga, or agar wo na ruky to phir mujy kia karna chaye, shariyat es bary main kia kheti hy

Answer: Aurat par pardah karna wajib hai lehaaza aap ye baat apni zoja ko samjhaye, laikin aap on per jabar nahi kar sakte, haan aap os ko baghair hijab k ghar se bahar janey ki ijazat nah dain. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399) [Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!