Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16442
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAM O ALAIKUM Mera Question ye hai ke kya bra(breezer) na pehny sy gunah milta hai ya ni??

Answer: Aurat k lie zaroori hai k chehray aur hathoo ki kalahiyon (palms) k alawa sar k baal aur badan na-mehram mard sai chupay. Laikin aurat na-mehram mard k samne chehra aur kalaiyo(wrist) tak hath khulay rakh sakte hai. Laikin is surat me k haram mai mubtila honay ka khof ho ya kisi mard ko dekhana haram me mubtila karne k irade sai ho to phir hath aur chehray ko chupana wajib hai. Hijab ke lie badan or baalo ka chupana aise ke zenat shumaar na ho kafi hay hay or badan ke nashaebo faraaz zahir na ho. Note: agar mukammal sharhe pardah horaha brezar ke bagaire tu is ke zarorat nahe . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399,Sistani. Org, Urdu, topic :pardah , sawaal no :19 [Updated on 04-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16559
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya khali kamre mein hijab kie bigar rehe sakte hai?Please tell me my answer

Answer: Na mehram se hijab aur parda karna wajib hai lekin agar wahan koi na mehram maujood nahin hai to hijab karna wajib nahin hai, aur hijab kiye bager bhi reh sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399). [Updated on 09-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16560
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ham apny male ustad k samny parda hata skty hain aur kia un sy hum free ho skty hain

Answer: 1: Aurat ke liye zaroori hai ke wo (chehra aur kalahiyon tak hathon ke alawa) sar ke baal aur apna poora badan na-mehram mard se chupaye aur ehtiyat e lazim ye hai ke apne badan aur sar ke baal us larke se bhi chupaye jo abhi baligh na hua ho, lekin itna samjhdar ho ke ache aur bure ko samjhta ho aur ehtamal ho ke aurat ke badan par uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedaar ho jaye gi, lekin aurat, na-mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is surat men ke haram men mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko (hath aur chehra) dikhana haram me mubtela karne ke irade se ho to in dono suraton men (hathon aur chehre) ko bhi chupana wajib hai. 2: Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. Isi tarah agar na-mehram mard aur aurat apas ke darmiyan men aisi batain bhi na ki kayen ke jo aik musalman ke shayan e shan nahin hain to koi haraj nahin. Isi tarah na-mehram ki awaz bhi sunni jaa sakti hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho. Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam men mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimme daari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq (free ho ke baat karna) me bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2399. + Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,12. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #124,127, pg #65,66). [Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16983
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: شیعہ مذہب میں چہرا چھپانا واجب ہے ؟

Answer: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) me aytullah sistani sahab ke mutabiq, sharaei parda ye hai aurat ke liye apne sar ke baal aur apna tamam badan na-mehram mard se chupana wajib hai lekin na mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat me ke haram me mubtila honay ka khauf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram me mubtila karne ke irade se ho to in dono surton main chehre aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai. Isi tarah waise to aurat ke liye makeup karna jaiz hai lekin makeup karne ke baad na-mehram mard se apna pura chehra chupana wajib hai, aur agar makeup buhat mamoli ho aur zahir na ho to phir makeup karne ke baad chehra chupana wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Nigah or libaas, sawal #97,160, pg #65,96. + website urdu, zeenat, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01817/ ). [Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17009
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: بہن کے شوہر سے پردہ کرنا فرض ہے یا نہیں ؟

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee, behen ka shohar na-mehram hai aur na-mehram se parda karna wajib aur farz hai. Sharaei parda ye hai aurat ke liye apne sar ke baal aur apna tamam badan na-mehram mard se chupana wajib hai lekin na-mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat me ke Haram me mubtila honay ka khauf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana Haram me mubtila karne ke irade se ho to in dono surton main chehre aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai. Isi tarah agar makeup kiya hua ho to na-mehram mard se apna poora chehra chupana wajib hai, aur agar makeup buhat mamoli ho aur zaahir nah ho to phir chehra chupana wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399. + Nigah or libaas, sawal #97,160, pg #65,96. + website urdu, zeenat, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01817/ ). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17194
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kitni umer Kay namehram say aurat ka.parda wajib hay

Answer: Aurat ke zaroori hai ke wo chehre aur hathon ke alawa sar ke baal aur apna badan na-mahram mard se chupaaye aur ehtayaat-e-laazim ye hai ke apna badan aur sar ke baal us larke se bhi chupaaye jo abhi baaligh to na hua ho lekin (itnaa samajhdaar ho ke) ache aur bure ko samajhta ho aur ehtemaal ho ke aurat ke badan par us ki nazr parne se us ki jinsi khawahish bedaar ho jaaye gi. Lekin aurat na-mahram mard ke saamne chehra aur kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is soorat mein ke Haraam mein mubtela hone ka khauf ho ya kisi mard ko (hath aur chehra) dikhana Haraam mein mubtela karne ke iraade se ho to in dono sootron mein chehra aur kalaiyon tak hath chupana bhi waajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2399). [Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17698
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager larki teacher ho naqab na ker sakte ho to phir woh ghair mehrum.Se perda kese kare jis se Allah naraz na ho or woh easily perha bhi sake

Answer: NULL

Id: 18111
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam agha sahb mera sawal h k kya aurat ka apny paoun na mehram sy chupana wajib h ya nhi?

Answer: NULL

Id: 19438
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum kia azan ka waqt aurton ko sir par dupata lana zaroori hn yah nhi?

Answer: Parda na-mehram se karna zaroori hota hai, is ke alawa kisi aur cheez ke liye zaroori nahin nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,2399). [Updated on 27-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19572
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya aurat ko apny chachy, taya yah mamu se parda krna lazim ha

Answer: Na-Mehram se parda karna zaroori hota hai, lekin mehram se parda karna zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,2399). [Updated on 16-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!