Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8949
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: QIBLA ORAT KA PARDA KESA HONA CHAHYE? KIYA ISLAM MN MON(FACE)KO KHOLNE KA HUKM HE?MTLAB SARE JISM KO DHAMPNA HE CHEHRE KO KHULA CHORNA HE?

Answer: Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupay lekin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaiyon tk hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 22-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9045
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo -alaikum , sir i am a nuse in burn ward where patients are in critical condition, means semi conscious, unconscious and in painful condition . can i touch male patients arms, lower legs ,hands or feet without wearing gloves?

Answer: It is unlawful. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Jadeed Fiqhi masael, Mafhoom e Maslah #529). Update on dated 30-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9289
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alaikum sir mera swal ye hai k kiya orat dosri orat ka jism dekh skti hai jesy cheast sometime bhny ek dosry k samny kapry chnge kr lti hai etc

Answer: Lazzat k baghair aik aurat doosri aurat ka poora badan daikh sakti hay siwaey sharam gaah (i.e vagina & anus)k. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #12). Update on dated 17-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9600
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is the rule about hijaab for the followrs of Agha e khuoi.

Answer: Aurat k liye zaroori hai chehre or haatho k ilawa apne poore badan ko is tarah dhaanpe k namehram ki nigah na parey balkey ahtiyat e wajib ki bina par zroori hai k apne chehre or haathon ko bhi dhaanpey. (Ref:Ayat Ullah khoe (r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2442). Update on dated 24-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9605
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Plx mera question show nhn na kia jayen r answer dia jaye just.intercourse karte howe kisi r kisi gair ki ghalti se nazar par jaye to gunah kis ko hoga

Answer: Orat k liay jaiz nahi hay k doosri orat ki sharmghah dekhy or mard k un aazaa ko dekhy jo aam halat say ziyada khule hoon, lekin agar galti say nazar parh jaey to foran nazar pherni chahiay warna daikhne wale ko ghunah mily ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #369 ). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9841
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I started ful face veil in pakistan but now my family is shifting to canada where veil is banned so what should i do there .. As i have to continue my study..

Answer: Chehre ka parda kerna wajib nahi hay yani chehra kholnay ki ijazat hay agar mekup nah kia howa ho to balky agar halka mekup kia howa ho tab bhi jaiz hay. (Ref: Touzehul masael, maslah#2399). Update on dated 06-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9852
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o Alaikum. Mera sawal yeh hai k agar larki shadi ho k join family mai jaye aur dewar, susar b sath ho to un sy kis tarah parda kiya jaye?

Answer: Susar sai parda karna wajib nahi hai lekin dewar sai parda karna zarori hay q k wo na- mehram hai. Aurat ko chahaiy k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupay lekin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10061
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: islam mai aurton par parde ka huqum kis year mai aaya hai?

Answer: Maah e ziqaad 4 hijri main parde ka hukm aaya.(Ref: http://hamariweb.com/articles/80577). [Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10241
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can I force my wife for hijab and what hijab should her do

Answer: Aurat par pardah karna wajib hai lehaaza aap ye baat apni zoja ko samjhaye, laikin aap on per jabar nahi kar sakte haan aap os ko baghair hijab k ghar se bahar janey ki ijazat nah dain. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399). [Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11083
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aasalamalikum,kiya ladki ku chahera ka parda karna wajib hai ya nai

Answer: aurat ko chahiye ke woh, ilawa chehre aur hathon ke sar ke baal aur apna badan na mehram mard se chupaye aur ahtiyat e lazim yeh hai keh apna badan aur sar ke baal us larky se bhi chupaye jo abhi baligh to na hua ho lekin itna samajhdar ho keh achay aur buray ko samajhta ho aur ahtimal ho keh aurat ke badan par us ki nazar parne se uski jinsi khuwahish bedar ho jayegi, lekin aurat na mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat mein keh haram mein mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko hath aur chehra dikhana haram mein mubtala karne ke iraday se ho to un dono surton mein un ko chupana wajib hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 2399). [Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!