Question: Kia tasveer layna yani apni ya kisi dusre ki picture layna islam mai jaiz hai??kisi na mehram ko dikhane k liay ni aur na hi kisi ghlt irade se tsveer layna??
Answer: photograpy ke zarea photo lena apne ya kise or insaan ke jaaiz hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2 masla # 18),agar koi mard kise namehram aurat ko pehchaanta ho agar wo beperdah aurato me se na ho tu ehtiyaate wajib ki bina ise is ki tasveer (photo ) nahe daikhna chaaie sewaae chera or haathon k ke inhe daikhna begaire lazzat or haraam me mubtela hone ka khoof na ho tu jaaiz hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2403). [Updated on 15-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jab ap apnay ghar ky kaam kr rhy hon or hijab na kia hua ho or na chahty huy bh ap per kisi na mehram ke nazar perh jaye tw kia ap gunnah gar hngay?
Answer: Kisi bhi ghair ikhteyari amal amal per shariyat hukum nahi lagati, is liay gunah nahi hoga, (Ref: mujtahid se poche gaey sawalaat, jild#3, pg#65). [Updated on 04-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Humaray fiqh mai Naqab k lye kia hukum dia gaya hy?
Answer: Aurat ko chahiye ke woh, chehre aur hathon ke ilawa sar ke baal aur apna badan na mehram mard se chupaye aur ahtiyat e lazim yeh hai keh apna badan aur sar ke baal us larky se bhi chupaye jo abhi baligh to na hua ho lekin itna samajhdar ho keh achay aur buray ko samajhta ho aur ahtimal ho keh aurat ke badan par us ki nazar parne se uski jinsi khuwahish bedar ho jayegi, lekin aurat na mehram mard ke samne chehre aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai lekin is surat mein keh haram mein mubtala hone ka khauf ho ya kisi mard ko hath aur chehra dikhana haram mein mubtala karne ke iraday se ho to un dono surton mein un ko chupana wajib hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail,Edition 39th, Masla # 2399).(Note: Hijab ki mazeed tafseel k liay is link per click kaarain.(http://ur.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%AC%D8%A7%D8%A8) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pardy ka hukam kis hijri me nazil howa?
Answer: Parday ka hukm Maah e ziqaad 4 hijri main aaya.(Ref: http://hamariweb.com/articles/80577) [Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I m 17 year old r ma parda krna chahti hun r Parna be chahti hun ma abhi 11 ma hun r meri family r frnds r czn ky pass meri unky sath pix ha kia ma parda kr sakti hun?
Answer: 1) Aurat par pardah karna wajib hai, Na mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko dekhna haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair ya chahe haram me mubtila hone khof ho ya na ho. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai bhi agar haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 41, Mafhoom e Maslah #2397,2399). 2) University aur College me co.education: Agar gunnah aaloud nigahoo ka tabadla nah ho aur haram may mubtila honay ka khoof nah ho to koe haraj nahi laikin is k bawajood ye masla is laiq hay k islami mumalik k zimaydar afraad larkoo aur larkioon k liye alag alag taleemi idaray bananay k liye mansooba bandi karain. (Ref : nigah aur libaas ques # 92 pg # 63). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamun alaikum ghr me agar namahram h to kya ghar me bhi moza pahna wajib h
Answer: 1) Na-mehram mard ki moujoodghi me aurat k liye aam halaat me apne pairo (foot) ko na-mehram mard se chupana wajib hai. aur isi tarh namaz me bhi apne pairo (foot) ko namehram mard se chapaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #777,2399 ) 2) Aurat k lye zarori hai k wo (chehra aur kalahiyon tak hatho k elawa) sar k baal aur apna badan namehram mard se chupaye or ihtiyat lazim ye hai k apne badan or sar k bal us larke se bhi chupaye jo abhi baligh na ho klekin itna samjhdar ho k ache or bure ko samjhta ho or ehtamal ho k orat k badan pr uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedar hojayegi, laikin orat na-mehram mard k samne chehre or kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is surat men k haram men mubtala hone ka khoof ho ya kise mard ko(hath or chehra) dikhana haram me mubtela karne ke irade se ho to in dono suraton men inko chupana wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2399) [Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamun alaikum ghr me agar namahram h to kya ghar me bhi moza pahna wajib h
Answer: 1) Na-mehram mard ki moujoodghi me aurat ke liye aam halat me apne pairo (foot) ko namehram mard se chupana wajib hai. aur isi tarah namaz ki halat me bhi pne pairo (foot) ko namehram mard se chupaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 39th edition, maslah #777,2399 ). 2) Aurat k lye zarori hai k wo (chehra aur kalahiyon tak hatho k elawa) sar k baal aur apna badan namehram mard se chupaye or ihtiyat lazim ye hai k apne badan or sar k bal us larke se bhi chupaye jo abhi baligh na howa ho, lekin itna samjhdar ho k ache or bure ko samjhta ho or ehtamal ho k orat k badan pr uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedar hojayegi, laikin orat na-mehram mard k samne chehre or kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is surat men k haram men mubtala hone ka khoof ho ya kise mard ko(hath or chehra) dikhana haram me mubtela karne ke irade se ho to in dono suraton men inko chupana wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 2399) [Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: balig bacho ke samne maa ke hijab ka kia huqum hai jisam ke kis hisey ko chupana wajib hai , quran aur hadees aur sistani shab ke fatwa se jawab
Answer: Auraton k liay apne mehram mardo se perda karna wajib nahi hai, Jo mard aur aurat aapas mai mehram hon agar wo lazzat ki niyat na rakhtay hon aur haram mai parhnay ka khof na ho to sharmgah ke elawa aik dosre ka pora jism dekh sakte hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2401) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I'm from shia family but my parents are open minded i want to do hijab properly but my parents are getting upset and not talking to me for dping this what should i do
Answer: Aurat par har hal men pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na mehram mard k samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo main chehray aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Kia apnay say chotay cousin say baal chupuna wajib hai jabkay wo baligh bhi ho lkn aap say kafi chota ho ??
Answer: Aihtiyaat e lazim ki bina par apna badan aur aar k Baal us larkay say bhi chupaey jain jo abhi baligh to na hoa ho laikin achay aur buray ko samajhta ho aur aihtimaal ho k aurat kay badan par us ki nazar parhnay say us ki jinsi khwaahish baidaar ho jaey ge, Is k alawa main na-baligh say badan chupana wajib nahi hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 39, Mafhoom e Maslah #2399). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]