Question: AoA kya shohar kay kahana pay bivi ka hijab utarna jaiz hay ager nai to majbori may ager bivi hijab utaray shohar kay kahana pay to iska kya mamla hoga shariat may.
Answer: Jee nahin, jaiz nahin hai. Biwi ko is lihaz se apne shohar ki itaat karna zaroori nahin hai. Aurat par har hal men pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na mehram mard k samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo main chehray aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2399). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia chehre ka parda karna ma mehram k samne jaiz hai? Aur gown nahi pehnti ma lkn kaprey shalwar kameez pehnti hoon aur sar per scarf krti hoon kia yeh theek hai ya mujhe gown hi pehna chaiye?
Answer: Chehre ka parda karna wajib nahin hay yani agar mekup nah kia howa ho to chehra kholnay ki ijazat hay balky agar halka mekup kia howa ho tab bhi jaiz hay. Aurat k lye zaroori hai k wo (chehra aur kalahiyon tak hatho k elawa) sar k baal aur apna badan namehram mard se chupaye or ihtiyat lazim ye hai k apne badan or sar k bal us larke se bhi chupaye jo abhi baligh na ho klekin itna samjhdar ho k ache or bure ko samjhta ho or ehtamal ho k orat k badan pr uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedar hojayegi, laikin orat na-mehram mard k samne chehre or kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is surat men k haram men mubtala hone ka khoof ho ya kise mard ko(hath or chehra) dikhana haram me mubtela karne ke irade se ho to in dono suraton men inko chupana wajib hai. Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2399). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bhai ka apni behn ko hath lagana aur uske shohar k saamne bosa dena jaiz hai ya nahi?! Shariyat k aitebar se barah-e-karam rehnumai farmayen.
Answer: Jawan mard ke liye jaiz hai ke wo piyar o muhabbat ke tour par apni jawan behan ko bosa dai, hath lagaye. aur agar yehi bosa, hath lagana shewat ka bais banay to jaiz nahin ho ga. (Ref : Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #468, pg #254). [Updated on 17-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya husband ki death ke baad iddat ke dauran, sasur, jeth aur devar ke samne ja sakte hain?
Answer: Agar koe aurat baywah ho jaay to qamri (Chaand k lihaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakhay. Chahe uske shohar ne us se Jima(Intercourse) kiya ho ya nah kiya ho dono sorton men Iddat e wafat rakhay gi. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liye rang baranga libaas(colour full dress) pehenna, surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zeenat main shumaar hotay hon, haram hain or dosray nikah say bhi roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahin hay. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2481,2482). (Note: Mehram afraad jese (baap, dada, or susar) ke samne to wese hi (bager parde ke) ja sakti hai lekin ne mehram afrad jese (jeth, dewar or cousin) ke samne ke liye Agar mukammal sharaei parda kiya howa ho or gunah men parhne ka khof bhi nah ho to ja sakti hai. aur Ghar se bahir jana bhi mana nahin hai. (Ref: Nigah o libaas, sawal #97, pg #65). [Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it permissible for a young woman to travel with her (milk) brother to Umrah as her Mahram?. Can they both stay and sleep in the same room of the hotel there?. What is the awrah of a woman in front of her foster (milk) Mahram?
Answer: razaai bhai aap ka mehram hai or mehram se pardah karna zarori nahe hai .or agar behaikne (ghumra hone ) ka khouf na ho tu aik sath aise jagha rehsakte hai jaha koi na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2427,2398,2408) [Updated on 02-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia larki ka sutaile baap se parda ka kia hukm hai jb k wo bachpan se hi sutaile baap k sath ho.
Answer: agar larki ke sutaila baap ne larki ki mah ke sath shadi karne ke baad us se jima bhi kia hai tu larki ka sutaila baap larki ka mehram hojaata hai aur mehram se pardah karna zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2351,https://www.sistani.org/urdu/qa/01746/ , ques #3). [Updated on 07-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: namahram ko kiss krna or uska mere jism pr hath lgana zina ha? or kia saza ha?
Answer: Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya os ka bosa(kiss) laina ya gale lagana haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho or bas shachay dilsay khuda kay hozoor toba karan. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397). [Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr ma apny chehry yani chin py bht chota sa til tattoo krwaoun to kya phr mujhy is til ko na mehram sy chupnana hoga?
Answer: Tattoo banana jaiz hai magar: 1) wuzoo ya ghusl k liye pani puhnchnay main rukawat na ho. 2) gunah main parhnay ka khof na ho. 3) tattoo sai galat aqaid ki tarweej na ho. 4) Allah ka nam ya quran ki koi ayat na ho. 5) Aurat k liye agar zeenat shumar ho to na mehram sai chupana wajib hai. (Ref : email rec from ayatollah sistani d.b. dated July 9, 2012). [Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi iddat mein shohar ki photo dekhna chahe
Answer: talaaq rejhe yani wo talaaq jis me mard iddat ke duraan ruju kar ke aurat ko dobara apne biwi bana sakta hai ki iddat me aurat iddat khatam hone se phele tak us mard ki biwi hai ( or miah biwi aik dosere ki tasveer deikh sakte hai) ( hah iddat khatam ho jane wo aurat mard aapas me namehram hojaate hai ) or talaaq baain yani wo talaaq jis me mard ko ruju ka haqq nahe hota (is me talaaq ke baad aurat or mard aapas me namehram ho jaate hai )or agar lazzat ke irade or haram me mubtela hone ke khouf ke beghair ho or kise fasaad ka bais bhi na ho or tasveer me namehram mard ne apne jisam ke wo hisse zaahir na kie ho jinhr aam tour se mard chupate hain tu namehram aurat ke lie aise mard ki tasveer daikhna upper bataai ghe sharaait ke sath jaiz hai .(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah # 2486,2508,2397,nigaa or libaas jild :1,pg:38,45). [Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya 2 larkiyan 1 dosry k sath akaily mai lait skti hai?
Answer: Agar do larkion ka khalwat (tanahai) men hone se haraam (ghunah) men mubtela hone ka khauf mojud ho to jaiz nahin hai. lekin Agar Haram (ghunah) men mubtela hone ka khauf nah ho to jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2402,2409. + Nigah Aur Libas, mafhoom e sawal #25, pg #33). [Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]