Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 19583
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aurat ghr sy bahir mtlb university main normal kapry kameez aur shalwar pehn kar ja sakti hai?

Answer: Maslah #27. Aurat ka hijaab aur parda - jo ke Quran kareem aur Ahadees ahlbait (a.s) mein bayan hua hai - musallamaat-e-shariat mein se hai aur zarooriyaat-e-deen mein se hai, aur is ki riayat nah karna gunah aur maasiyat samjha jata hai. Maslah #28. Aurton ke liye behtareen chadar aur hijaab, kaali chadar hai. aur aurton ke liye munasib hai ke woh usay na-mehram ke samnay mukammal aur behtar hijaab ke taur par istemaal karen, agarchay wajib miqdaar chadar ke baghair hi Q nah chhupi huei ho. Maslah #29. Aurton ke liye sar ke baal aur apne pooray jism (siwaye chehray aur kalayeion se unglion ke suron tak hathon ke) na-mehram mard se chhupana wajib hai. Albata is baat ka yaqeen karne ke liye ke is ne wajib aaza ko chhupa liya hai, zaroori hai ke woh chehray ke ird gird ka kuch hissa aur kalayeion se kuch neechay tak na-mehram se chupaye. lehaza sar ke balon, kaan, gala, thhorhi ke neechay ka hissa, hathon (bazuon aur kalayeion) aur peeron hatta ke takhnay se neechay ke pooray hissay ko na-mehram mard se chhupana wajib hai. aur aisa libaas jo sar ke baal ya jism ke mazkoorah aaza ko wajib miqdaar mein nah chupayen, (to aisa libaas) na-mehram ke samnay kaafi nahin hai. Maslah #30. Aurat ke liye apne chehray aur hathon ko kalayi se le kar unglion ke siron tak chhupana zaroori nahin hai, siwaye teen sooraton mein ke jin mein inhen mehram mardon se bhi chhupana wajib hai: 1. Yeh dar ho ke un hisson ko nah chhupana ghunah mein mubtala honay ka baais banay ga. 2. Un hisson ko nah chhupanay se is ka maqsad, dekhnay walay ko haraam nigah mein mubtala karna ho. 3. Un hisson ko aam taur par aur mamool ke mutabiq nah chhupana, is cheez ka sabab banta ho ke doosron ki tawajah apni taraf ho aur lazzat amaiz nigah parre". Maslah #31. Na-mehram mardon ke samnay aurton ke hijaab aur parday mein, is cheez ke sath sath ke wajib miqdaar ko dhanpe - jo ke maslah 29 aur 30 mein bayan huei hai. darj zail khususiyaat ka haamil hona zaroori hai: 1. "Patla aur jism numa" nah ho. lehaza aisay kapray pehnana kaafi nahin hai maslan aisa scarf ya bareek mozay jo jism ke baal ya jild ko nah chupatay hon aur inhen numaya karte hon, na-mehram ki samnay kaafi nahin hai. 2. "Tang aur chipka" hua nahin hona chahiye, is tarah se ke aam taur par doosron ki tawajah ko apni taraf mutwajjah karne aur lazzat amaiz nigah ka sabab banta ho. lehaza aisa libaas pehnana jaaiz nahin hai jis se aurat ke jism ke ubhray hue hisse zaahir hotay hon. 3. "Zeenat wala" nahin hona chahiye. lehaza na-mehram ke samnay kisi bhi qism ke libaas bashmool chadar, coat, shalwaar, scarf, mozay waghera jo riwayati taur par rang ya silai ke aitbaar se ya deegar khususiyaat ke lehaaz se "zeenat" walay hon, pehnana jaaiz nahin hain. Maslah #32. Aurton par wajib hai ke woh apne makeup aur zeenat ko na-mehram se chupayen. lehaza masnoi baal aur whigs, nail polish, haath ki mehndi, aankhon ke rangeen lens, kuch qism ke tattoos ya palken ya masnoi naakhun jaisi cheezen agar mamolan zeenat samjhi jati hon to na-mehram se chhupana lazim hain. Yeh baat qaabil-e-zikar hai ke zeenat mein se surma lagana, bhanwain banana, chehra ke baal saaf karna, chhalla aur anghutiyaan, choorian aur kangan" mustasna hain, maslah 30 mein mazkoor teen sharait ki riayat ke sath inhen chhupana wajib nahin hai, Albata ehthyat-e-mustahab hai ke yeh zeenat bhi na-mehram se chupayen. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #27 to 32). [Updated on 18-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19688
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam islam main orat ko balo ke sath chehre ko bhi chopana chahiye

Answer:

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 19692
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Kya girls jeans(skin tite nahi) pahansakti hai?

Answer:

Id: 19693
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Is it permisible to wear Hijab with long coat till knee and lover jeans(not skin tite) with scarf? and how is it to cover chin with scarf?

Answer:

Id: 19696
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: 64 years khatoon ko parda karna wajib hoga

Answer:

Id: 20355
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam.mera sawal ye he k agar kici ka face naturally attractive ho tu kia usko cover krna wajib he jab k cover karne se usko yaqeen ho k isko bura samjha jata he aur loog deen se door horahe hn aur usko pata ho k face cover karne se wo logo ki nazron me ziada ayegi yani shurat ka sabab he tu kia kare,ya bhi bata dije k seestani sahab k yaha face cover krna ahtiat wajib he agar han tu phir me sistani sahab k baad kis marje ki taraf rujo kar sakti hn means yani kece pata chale ga k sistani sahab k baad kon aalum he jis ki taraf hum ruju karen?plz mujhe is sawal ka jawab zaror chahye

Answer:

Id: 21633
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mje ye question puchna hy k islam me naqab must hy ya hijab? agar koi larhki sirf hijab kare or naqab na kare to is bare me islam kya kehta hy? humein kya karna chahye? sirf hijab ya naqab? q k ek taraf islam me ye b hy k sir se pair tak female k liye parda must hy...

Answer:

Id: 22588
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: assalam o aalikum sir g agr insan k c sy bepana pyar kary bat kary pyar ka kahy k ma tum sy bht lobe karti ho to kya larka yaqen na kary wo kahay k agr tm muj sy love karti ho to apny kapry uatar do to kya pyar ma ya sb khuc jaize hai pyar ma insan ko qurbaniya day dani chyea?

Answer:

Id: 23113
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: assalam o alaikum....me ne 3 sawal puchne hai k 1. ager hum bahir jate hue niqab kren lekin acdamey me naqab utar den to kia ye sehi hai q k chand din hi hue hai niqab krna shuru hue? 2. kia eye liner lgana sehi hai jb k hum apne lie lga rhe hon..? 3. kia assalam 0 alaikum ki jga salam khna sehi hai..?

Answer:

Id: 23234
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Asalam o alaikum.kia koi larki hijab mai bahir ja sakte hai jis k baal nai sirf chehra nazar aye?kia female baghair chat k nimaz ada kr sakti hai?aur kia ek baligh larki na mehram se hath mila sakte hai baghair kise najaiz khwahish k? Mola e kainat a.s aap ko khush raky.

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!