Question: aoa jab m pregnant thi to mery shohar ny mugy aik dafa talaq di thi. mera sawal ye h k rajoo krny ka sahi tariqa kia h? kia rajoo k ly intercourse krna zarori h?
Answer: Agar talaq tamam shariat k sath sahi di thi to 2 tareeqay sai insan aurat ki taraf roju kar sakta hai. 1)aisi baat karay jis sai pata chalay k is nai osay dubara apni biwi bana lia hai. 2)koi kaam karay aur os sai roju ka irada karay aur jima karnay sai roju sabit ho jata hai. Is k alawa mard k lie lazim nahi hai k kisi ko gawah banay ya apni biwi ko roju ki khabar dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2488-89)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: a/w hajrat mera sawal yeh ai ke gosse me meayne kha jaw tmko may aak 1 tlaq deya keya wo tlaq pure hogae
Answer: Talaq ki shart mai sai hai mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mene apni biwi ko 3 data talaq kaha aur mje pasta nai tha k us ki mahwari chal rahi hai to kya ye talaq hogai Aur agar nai hui to is Ka kafara kya hoga Pls. Jaldi reply kareye ga.
Answer: Zaroori hay k talaq ka alfazaat arabi men parhe jaen or 2 Aadil afraad wahan mojood hon jo un talaq k alfazat ko sunen , chahe mard khud talaq de raha ho ya wo kisi apna wakeel banaye talaq dene k liye, or agr mard arabi men talaq ka seegha nah parh sakta ho or wakeel bhi nah bana sake to wo jis zaban men chahe us lafz k zariye talaq de sakta hai jo talaq k arabi lafz ki hi matlab rakhta hay. agar koi shakhs oaraat ko mahwari se paak samjhte hue talaq dede to or baad men pata chale k wo mahwari ki halat men thi to uski talaq sahi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33st edition, maslah #2471-2465)
Question: Assalam alaikum maine ak talak diya hai . wapis mai apni biwi ko apne haq me rakhna chahta hu . kya rujoo wajib hai ? ye rujoo kya hota ? iska matlab kya hota our rujoo kaise kiya jata hai ?
Answer: Talaq ki khuch sharait hen, agar aap 1 talaq de chuke hen apni biwi ko to teesray haiz aanay se pehlay aap apni biwi se agar ruju kerna chahtay hain tu ker sakte hen bagher nikah k albatta agar tesray haiz aa jay tu phir ap dubara nikah ker saktay hain. Note: Ruju ka matlab hai dubara biwi ko apnana or us se dubara relationship rakhna or ruju 2 tareekon se kiya ja sakta hai 1)shohor aysi batain kare k jin se pata chale k usne usay dubara apni biwi bana liya hai. 2) koe kam kare or us kaam se ruju kerne ka irada kare or jimaa(humbistary) kerne se ruju sabit hojata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 33rd edition,msla#2488). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam mujhe btaiye msg me talak hoti hai agar aik sath 3 br boli jaye mai pregnet hu or ye ke bacha hone pe ye implimnt ho gi
Answer: Ye talaq sahi hi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e
Question: Asalm o halikom sir agar bv samny na ho to ksi k samny apni bv ko talaq dy di to kia talaq ho jate hy.bv ko pata hi na ho
Answer: wssalam o alykum, ager talaaq ki tamaam sharaait ke sath talaaq k sighe parh diay jaain(in sharaait main se hai k talaaq ke sighe sahi arabi main talaaq ki niyat se do aadil gawahoon ki mojoodgi main bivi k haiz o nifaas k ayaam se khali hone ki haalat main pharhe jaae) to talaaq hojaati hai chahe bivi samne mojood ho ya na ho. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: As-salam-o-alaikum. mujhe ye maloom karna tha k agar husband apni wife ko ek divorce de dey.(aaj main tumko 1 talaq deta hun) phir 4,5 din baad rojo kar le to kiya 3 talaq main se 1 talaq ho jati he?
Answer: Wssalam o alykum, Agr apne wo talaq talaq ki sharait k mutabiq di hai to phir wo pehli talaq shumar hojayegi lekin sharait talaq ka khyal nahi kiya to phir wo pehli talaq shumar nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Salam mera sawal hai kiya fone per talak ho sakti hoo aur biwi ne speaker on kia jo sary sun rahy ho tu kiya talak ho jati hai plz jaldi reply kare am waiting
Answer: Ager talaaq ki sharaait mojood hoon to phone per bhi talaaq ho gaae gi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: i want to divorce my husband he beats me give bad words galiya ! i want to divorce n.maary my lover !! whom i like soo much !! help mee
Answer: Fiqhe jafira me talaq dene ka haq aurat ko haasil nahe hai balke mard ko haasil hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2503 ) Agar shohar apne biwi ko iziyat de aur beghair kise sharai jawaz k is per tashadud kare to biwi apna muaamla le kar hakim shara (mujtahid) ki taraf ruju kar sakte hai ta ke hakim shraa( mujtahid) is k shoar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka kohe faida na ho to apne sawabdeed k mutabiq ise sarzanish kare aur agar is se bhi kohe faida na ho to biwi talaq ka mutalba karsakte hai . agar shoar talaq dene se inkal karde au rise talaq per majboor na kiya jaske to hakime shara( mujtahid) ( apne ikhteyaraat istemal karke is ka sigha talaq jari karsakta hai. (Ref : aqa sistani ,Jadeed faqhi masail , masla # 413 , pg # 237, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: 1aik bar talaaq denay se kia talaaq ho jati hai gussay ki halat me?
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) Agar sahe talaq de ho to phir aurat k lie iddat rakhna zarori hai. : Aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye hay jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).