Question: Asalamualikum main nay ap say pouchna tha Kay agar larki 1saal apnay ma bap Kay ghar ho phr us doran wo adalat say talaq lay ly kaya us ki idaat ho gi kaya kaya wo shadi kar sakti ha.
Answer: ye talaaq sahi nahi hai kun ke Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e
Question: Aslalamwalekum Court se talak hua hai aur wahi talak 3 bar bolne lagaye hai talak hoke 2 saal hua ab husband fir milna chahte to kya fir se nikha karna chahiye ya hum mil nahi sakte plz madat kariye
Answer: Wssalam o alykum, Ager talaaq ki tamaam sharait hone ki waja se talaaq sahi thi or ap dobara un ke sath zindagi guzaarna chahti hain to nikah ho sakta hai, lekin agr faqt court ki talaq hui thi to phir us wqt se abhi tak apka nikah baqi hai ap ko dubara nikah krne ki zarurt nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2486 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: shohar agar apni biwi ko bole ke aaj se tera naam mere naam se alag ho gaya uske baad 1 and half year na hi sex kare aur na baat biwi se toh kya unka rishta khatam ho gaya
Answer: G nahi jab tk sahi talaq na ho tb tk rishta khatam nahi hota.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Court se talak hua hai aur wahi 3 bar talak bolwayta hai to kya hamara talak hua hai ya nahi .kya hum fir se ek ho sakte aur kaiae plz bataiye mere email pe jawab dijiye .plz bahut try kari hu jawab jarur dena
Answer: Court k talaq ka shareeat men koi aytbaar or hesiat nahi hai, albatta agr court k sath sath islami talaq bhi apni tmam sharaait k sath hui hai to talaq sahi hogi, is surat men agr Ager iddat ki muddat guzar chuki hai to dubara nikah kar lain, or ager iddat ki muddat baqi hai to ap un ko apni bivi qabool kar ke bageer nikah ke ruju kr sakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2486 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: aik talaq k baad iddat ki mudat kya hai?? shohar kitny dino ander apni biwi sy ruju kar sakta hai???
Answer: Jis larki ki umar puray 9 saal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho (yani aisi aurat jis ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki umeed bhi nah ho), us ka sohar us se mujameat(hambistari) karey to agar wo usay talaq de to zarori he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye he jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ). Is surat mai dekhna paray ga k talaq kon si di hai talaq e bayen di hai ya talaq e rijei di hai. agar talaq e bayan di hai to mard apni aurat ki taraf roju karnay ka haq nahi rakhta yani ye k baghair nikah dubara osay apni biwi nahi bna sakta. Aur agar talaq e rijei di hai to aurat jab tak iddat mai hoti hai shohar is sai baghair nikah k roju kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2486) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalam o allaykun hajart ap se mera sawal ye he ke agar bivi 3 bar talak talak bolde to kya vo rista tut jata he? Ya fir gunah hota he???
Answer: Wssalam o alykum, is se talaaq nahi hoti.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: salam,,, mufti saheb zabardasti talaaq dany sy mutaliq kya ehkaam hain or agr ohrat hamal sy ho tu talaq ho jati ha,,,or ain sbka kya hal ha agr miyan bevi alag na hona chaen plese guide
Answer: Talaaq ki chand sharten hain jin ki pabandi na ki jaye to talaq nahi hoti. 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima (intercourse) na kiya ho. 2. Talaq zabani di jaye yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e
Question: ager housband gussay may 3 talakay day day to ager vo 3 month kay ander ander hambistari kar lay to kia talaq nahi hogi
Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1- Shaded ghusse ki halat main talaq nahi hoti. 2) Agar aik sath 3 talaq di jain tu bhi aik talaq shumaar hogi. Or is talaq main ruju bhi kia jasakta hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#475,511 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam. me ne apni bivi ko sirf aik talak di he.. ab me wapis rajoo krna chahta hon. uska tareeka kya he. tafseel se bataye k rajoo k lye mje kya karna hoga or meri wife ko ye rajoo k alfaz zaruri hen ya nah ???
Answer: Ye talaq sahi nahi hai q k talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Biwi pe koi shart rakhi jae k misal k tor pe tum ne ye kerna ha agar na kia tu samjho talaq ho gai kia biwi wo ne kerti to talaq ho jae ge ya ne, main apni biwi ko guse main aisa keh gia hu please help me, Waiting your response
Answer: Talaq muallaq(conditional) nahi honi chahiay yani kise cheas per moukoof nah ho. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,pg # 152) . - Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e ''طالق'' k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)