Question: maine gusse me apni bibi ko tintalak bol dia tha to ye tin mahine me tin bar bolne s hota hai please sort me iska samadhan kar dijie
Answer: Ye talaq shi nhi hai q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,laihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalamu allaikum kya orat iddat mai phone par baat karsakti hai...??
Answer: Talaq ki iddat k doran sirf nikah krna haram hai. Aur wafat ki iddat k doran rang ba-ranga libaas pehnna,surma lagana aur isi tarha k dusray aisay kaam kerna jo zenat mai shumaar hotay hoon haram hain, Laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hai. Lihaza iddat mai phone par baat krna jaiz hai. (ref:tauzeeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33 th edition,masla#2475,2481). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kaya Mami se shadi jaz ha mami ke talaq k bad
Answer: Je mami ki talaaq ke bad or in ki iddat rakhne k baad
Question: Kya aik baar me teen mertaba talaq kahne se ho jati ha ??? Or phir wapsi ka rasta ha???
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e
Question: asalam o alaikum,janab mene gar me jagra kia aor kaha ke agar me is gadi(motor)me ainda betgaya to mujh pe biwi talaq hogi,to ab kya hukam he,me us gadi ko change bhi nahi karsakta nai gadi b nahi kharid sakta,aor mujhe bohot zarurat he gadi ki
Answer: Wssalam o alykum, aap us gaarhi main beth sakte hain or bech bhi sakte hain or is se talaaq bhi nahi ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen,part#3 maslah #498-504) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: sirf nikah hoa ho r larki larkay say phone per bat krti ho.larka gusay main mukhtalif moqun per keh day k ja main nay tjhay talaq di .aik time main 2 dafa r khuch dinu bad 3ri dafa tu kya talaq ogai??
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) Agar sahe talaq de ho to phir aurat k lie iddat rakhna zarori hai. : Aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye hay jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mary bevi nay NIC sy mera nam khatam karwa kar apy pap ka nam lakhwaya hy baj ka main nay na tu us to talaq di ur nahi us nay khula lia
Answer: ap ki bivi ka apne NIC se ap ke naam ko hatana apki or unke talluq e zogiyat main koi farq peda nahi karta, yani ap or wo sharaai tor husband or wife hi hain.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: salam, 1 kahatoon nay khula lee khula say pehle hbhi usakay husband nay usay nai phocha khula kay bad unhone iddat bhi pori ki lehaza unko seegha parahnay ki zaroorat hai kay nai ??
Answer: 1) us orat ki talaq k jon apne shohar ki tarf mail na ho or us se nafrat krti ho, apna mehr ya koi or maal use bakhsh de take uska shohr usko talaq dede, is talaq ko talaq-e-khula kehte hen,talaq-e-khula men motbar hai k orat apne shohar se is qadr shaded nafrat krti ho use wazeefa zojiat ada na krne ki dhamki de, 2) Talaq-e-khula men seeghe ada krna zaruri, or ehtiyat-e-mutahib ye hai k is k bad talaq k seeghe jari kre.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2492 , 2493 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Mujhe ye poochna hai ki mera talaq ho chuka hai lakin jb bhi maine apni biwi se humbistari ki to kya talaq toot gaya
Answer: Ager ap ne apni bivi ko talaaq rijii di thi or iddat ke doraan ap ne us se humbistari kar li to ab wo ap ki bivi hai na ke talaaq shuda orat, or ager ap ne us ke sath iddat ke baad hambistari ki hai ya ap ne us ko talaaq e bain di hai to wo hambistari zina shumaar hogi or ager ap us ko dubara bivi banana chate hain to ap ko nikha karna phare ga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2486 , 2488 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: KYA MOBILE PHONE SE TALAK HO SAKTI HAI.
Answer: jis jagha talaq di jay os jagha 2 aadli ghawahoon ka aik sath hona bhi zarori hay jo talaq k seegho ko sunain. Jis aurat ko talaq di jay os ko talaq seeghay sunana zarori nahi hay. Laihaza agar talaq mobile per is terah di jay k 2 aadil ghawah kisi or jagha hoon tu aisi talaq sahi nahi hay.(Ref: email rcvd).