Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 4393
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar nikah hua ho aur mard apnmi biwi ko yeh alfaz boly k 3 bartalaq deta hu to kia asi talaq ho jati hai jb k woh baqaida 3 dafa talaq nhi deta blky aik hi jumly ma bol deta hai k ma 3 bar tmha talaq deta hu to kia ac soorat ma talaq ho jati hai

Answer: Ye talaq shin hi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4394
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: admi ager 3bar telaq lekhay laken us ki biwi nay na pari ho to kia talaq ho jati hai thank

Answer: Ye talaq shin hi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4425
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nakli paper hon talaak k 3barr sign sa talaak ho jaye ge wo b maa bap kerwe zeberdasti

Answer: Jee ye talaq batil hai q k tqlaq ki chand shrait hain, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay likhi hui talaq batil hai, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. Is k alawa jab aurat ko talaq di jae to wo haiz ya nifas ki halat main a ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4434
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mulana sahib mere shohar na telephone per muji three times talaq di and us pehli intercouse bi kiya tha, ma na do dafa sunna jub ki third time telephone disconnect ho gaya, kaya ustara talaq ho jati ha please reply me

Answer: Talaq ki shri,at hain k talaq mard apnay ikhtiar sai talaq deta hai na k aurat, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) Note: zirk kerda fatway k mutabiq aap ko talaq nahi hoe aap ab tak apnay shohar ki zaojiyat main hi hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4440
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujey mere shohar ne court k zzariye paper banwa kar talaq nama pe signature kar diye to kia meri law k lihas se talaq hogai hai? aur sharai tour pe bhi huie hai k nahi?

Answer: Ye talaq batil hai Q k tqlaq ki chand shrait hain, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay likhi hui talaq batil hai, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. Is k alawa jab aurat ko talaq di jae to wo haiz ya nifas ki halat main a ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4488
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: my cousins husband want to give divorce to her but she wants to be with him. if he still gives divorce is this valid

Answer: 1)A man who divorces his wife must be adult and sane Similarly, a man should divorce of his own free will, therefore, if someone compels him to divorce his wife, that divorce will be void. It is also necessary that a man seriously intends to divorce; therefore, if he pronounces the formula of divorce jokingly, the divorce will not be valid. 2)If a man want to give divorce to his wife must follow the rules which are applied before divorce then divorce becomes valid. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4494
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i am 9 years old my question is ham taqlid kis liay karte ha

Answer: 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka nam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) 2)Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or mamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). 3)Zaroori hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr slahiat rakhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4656
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa?sir kia talaqe bain k bad wapsi k lie halala zarori hai?

Answer: 1-Talaaq e baain ka matlab ye hay k talaq k baad merd ye haq nahi rakhta k apni aurat ki taraf ruju karay yani baghair nikah k dobara osay apni bivi bnalay or is ki 5 aqsaam hain.(Ref : TauzeehulMasail Ayatullah Basher Najafi masla # 2524) 2-Agar koe shaks apni biwi ko mukammal shara’it k mutabiq 2 mertabah talaq day ker in 2 talaqo main her aik talaq k baad oski taraf ruju kerlay ya osay 2 mertabah talaq day or her aik talaq k baad os say nikah karay ya aik talaq k baad ruju karay or dosri talaq k baad nikah karay tu teesri talaq k baad wo aurat os merd per haram hojaay gi.liakin agar aurat teesri talaaq k baad kisi dosray merd say nikah karay tu wo 5 shara’it k saath pehlay merd per halaal hogi yani wo merd os aurat say dobara nikah kersakay ga.(yani halalay k baad shadi ker sakay ga).( Ref : TauzeehulMasail Ayatullah Basher Najafi d.b. masla # 2529) Note: Talaq e baain ki 5 aqsaam ki hain jin main se faqat aik qisim ki talaq e baain aisi hoti hay jis main halala kerna perhta hay.jaisa k hum ne 2 maslay main biyaan kia hay.

Id: 4790
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar ladki bazid ho k main talaq khula laina chahti hoon aur woh court se lana chahti ha jab ka khwand nahain dena chahta ha tu kia court tanseekh e nikah ker sakti ha

Answer: Gee Nahi talaq ka ikhtiyar Mard k Hath men hai, talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti un men se ek ye b hai k zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay or ye b zaruri hai k Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahi hogi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472)

Id: 4792
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mene apni biwi se kaha ke ajj se tum meray liye haram ho meri taraf se aazad ho magar talaq ka lafz istimall nhn kiya..Kiya iss mein talaq hogi ya nhain

Answer: Gee nahi ye talaq shumar nahi hogi q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jay to talaaq nahi hoti, un men se ye b hai k Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!