Question: Assalam-o-Alaikum sir mera aap se sawal ye hai meri bivi ke sat jhagta hova o us ke ma bap ke pas hai ham lane gyaye the jhagta karri or talk mang ri hai maye kya karo
Answer: Aap k liay talaq daina wajib nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: i want to know about talaq mere shohar ne mujhe 3 dafa talaq di ek sath me hez se thi tou kia talaq wakia hogaee me sunni hoon
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. 1-Ye talaq sahi nahi hai Q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 2- Agar koe shaks aurat ko haiz se paak samjhay or osay talaq day day or baad ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #) pata chalay k wo haiz ki halat main thi tu oski talaq batil hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2465). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam o aalikum. Sir eak Larki sa ma 5 6 Bar zina kar chuka hon uss ki baad ma Shadi ho gaye aur uss ka Shohar na talaaq da di kia main uss sa Shadi kar sakta hon.
Answer: Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat diye jatay hain. Talaq ki iddat khatam honay k baad aap shadi ker sakte hain magr ehtiyate wajib ki bina par toba se pehlay shadi nahi ho sakti. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364,2365). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: 13 saal shadi rahi , akhri 2 saal biwi se hambistari nahi ki pher 3 talak aik baar de di aourat 2 shadi ktni mudat k baad kar sakti hai
Answer: 4 mahine se ziyada hambistry na krne ki waja se shohar gunahgar hoga magr nikah nahi toota, or ye talaq bhi sahi nahi hai q k talaq is tarah nahi hoti balke talaq ki sharait hen jab tak won a pai jaen tab tak talaq nahi hoti.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 2462 to 2382 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kya pregnancy k dauran talaq ho jata hai?
Answer: Agar aurat pregnant ho to talaq ho jati hai laikin is ki iddat bacha paida honay ya zaya honay tk hoti hai. maslan agar talaq k aik ghantay baad bacha paida ho jae to is aurat ki iddat khatam ho jati hai aur agar bacha 5 mahinay k bad paida ho to jab iddat khatam ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2478)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASALAM U ALIKUM SIR MAIN JANNA CHAH RAHI HOON K AGAR SHOHAR 1 talak dede aur 3mahinay tak Fuji na KARE to talak ho jati hy
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq 2(do) adil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: MERI BAHEN NE APNE SHOHAR SE KISI DUSRE ADMI K BEHKAWE ME AAKE KHULA LIYA HAI R AB US ABMI KA FAREB SAB K SAMNE AYA HAR R AB MERI BAHEN APNE PEHLE SHOHAR K SATH NIKAH KARNA CHAHTI HAI TO KYA TARIKA HAI
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.
Question: mera sawal yi hai ki kiya phone per talaq ho jati hi,,iss ki limititions kiya hain,please muji jaldi iss sawal ka javab chaiyi kisi ki ghar ki bait hai
Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat phone par talaq denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mere husband ne mobile pr ye kaha k tum hamesha talaq talaq krti rehti ho to kya hmara talaq ho gaya?
Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat phone par talaq denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia nashy ki halat main taalak ho jati hai?
Answer: Agar koi shakhs nashay ki halat mai talaq kahay to talaq sahi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).