Question: Salam, mere husband ne mujy ye msg kya Mein tujy Talaq deta hun Mein tujy Talaq deta hun Mein tujhy Talaq deta matlb tisri bar nae likha kuch area bad ek bar yun kha Aj se tm meri tref se azad ho kya in en se Talaq ho gai
Answer: G nahi islami nuqta e nazar se ye talaq sahi nahi hai.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).
Question: thariri talq nama par larka ka three sine han r larki ki sine nahe ha to talaq ho gai kia ya bataio ap mujha
Answer: Sign ke hone ya na-hone se talaaq nahi hoti balke talaq k liye uski islami sharaait ka khyal rakhna zaruri hai.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: agar biwi 4 mahine se jyada apne mayeke chali jaye wo bhi ladai karke kya nikah toot jata hai
Answer: Shohar apni jawan biwi sai 4 mahinay sai ziada muddat(time period) k lie hambistari(intercourse) tark nahi kar sakta magar ye k(except) hambistari os k lie nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski biwi khud 4 mahinay sai ziada muddat k liay hambistari tark karnay par razi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382). jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram he k sohar ki ijazat k begair ghar se bahir nikle chahae is ka nikalna sohar k haq k manafi nab hi ho. Magar ye k koi aham zurarat pesh aye.Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar,e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. Biwi ki giza, libas, rehaish aur zandigi ki baqi zarooriat ka intezam sohar par wajib hai. lekin mard ko ye haq nhi k biwi ko gharelo khidmat par majboor kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376-78) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mari shadi ho choki ha love marg hoi ha mary susral ma koi razi nh tha mara sawal ye ha k mary susral walo ni mary shuhar sa zabardasti talak dilwai 6 br mo sa bola ha hum dono sat rahna chaty h ab ap batay k hamari talak ho gai k nh?
Answer: Talaaq ke waqt neche bayaan karda tamaam sharait ka hona zarori hai, pas ager talaaq ke waqt tamaam sharait thi to talaq sahi hai, or ager 1 shart bhi kam thi to ab tak ap un ki bivi hain, .1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k mard talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Wife ko gusse men Mobil pe teen baar talak dediya usne padh liya kya yeh jayej talak hogaya
Answer: G nahi is se talaq nahi hoti q k talaq ki kuch sharten jab tk wo mukamil nah on to talaq nahi hoti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aslam alikum,, ager sohar ne talaq ki niyat nai ki,na hi zaban se iqrar kiya,,,,,mager farig waqt mn sohor ke dimag mn seethani waswase aen,, tu is ke bare mn kiya hukam ha
Answer: Is ka koi asar nahi hai or ye talaaq nahi hai.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASSALAM O ALAYKUM IS THE FAMILY MEMBER OR PARENTS OF WIFE HAVE THE RIGHT TO FORBADE WIFE NOT TO TALK TO HER HUSBAND AND CAN WIFE TAKE DIVORCE WEATHER HUSBAND IS NOT WILLING TO GIVE ?
Answer: Wssalam o alykum, they do not have right, and without the permission of husband the divorce can not be given. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335 , 2341 , 2342 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: mai apni bibi ko battaji b badekhlaki ki bajah se mobile se sms kar diya k mai tumhe 3 talak deta hu kiya talak ho gaya
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar talak sing ki jaya ya gawha ka sing khud kiya jaya to kia talaq ho jati haaaa
Answer: Aise talaq durust nahi hay, balkeh talaq main niche di gaae sharaait ka hona zarori hai, 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k mard talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).
Question: Assalam alaikum main Dubai mein rehta hu main phone pe bat karte karte gusse mein. 3 Bar talaq boldiya. Kya mera talaq hogaya hai ya nahi.
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. . (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (ref:Ayat Ullah kohi Tauzee hul masail, maslah# 2508,2517,2507) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).