Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 4794
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: maira aik dost kehta ha ko wo apni bivi ko piar sy maan bi kehta rehta ha bivi ko piar sy maan kehna jaiz ha k nai aor agar jaiz nai tu us ka kafara kia hota ha

Answer: agar koe shohar bolan manzilat, taazeem, bare umar ki waje se ya kise aur jaiz irade se apne biwi ko mah kahe to ye haram nahe hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 637,634,4theidition ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4961
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamo u alikum mera swaal hai ke mere shohe dafr apni doosri wife ko ghuse mein 2 dafa 3 bar talaq de ke hain aur us ke bad b woh us ke pass pakistan jatay hain aur shadi walay rilation hain . ab kaya hoga.aur iss ka kaya mutlub hai.

Answer: Ye talaq sahi nahi hai q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5015
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamalecum,kya esi koi surat hai jisme biwi apne showhar ko talaq de sakti hai

Answer: Talaq ka haq sohar ka hota hai aur biwi osay talaq nahi dai sakti hai albetta agar sohar apni biwi ko apna vakil bna lai to wo talaq k sigay jari kar sakti hai magar phir bhi talaq ki tamam shrait ka khayl rakhna ho ga. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 503)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5076
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamu alaikum main apni biwi ko phone par ek saans main talaq talaq talaq kha kar phone band kar diya tha kiya ye talaq ho gai hai.baat karte karte 3se 4 martba sirf talaq ka lafz use kiya aur phone band kar diya.

Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat 3 bar talaq kh denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5087
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam o alekum janab mujhe ye maloom karna tha kay ek sath 3 talaq khene se talaq waqy ho jati hain agar biwi pregnet ho jab bhi talaq ho jaegi please jald az jald jawab de

Answer: Ye talaq shi nhi hai q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,laihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5157
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 3 talqen aur hilala roju means t

Answer: Ager shohar apni bivi ko talaaq ki tamaam sharait ke sath talaaq de phir iddat main ruju kar le ya iddat ke baad nikah kar le, or phir dubara talaaq dene ke baad iddat main ya iddat ke baad ruju ya nikah kar ke us ko le aae, ab ager wo us ko 3rd talaaq de ga to orat us ke uper haraam ho gaae gi or wo na iddat main ruju kar sakta hai or na hi iddat ke baad nikah kar sakta hai. Lekin ager orat 3rd talaaq ke baad ager kisi balig shaks se nikah e daaemi kare, or wo us ke sath aage wali sharamgaah main jima kare, or phir wo shakhs ya to mar jaae ya us ko talaaq de de to jab orat is dosre shohar ki talaaq ki iddat ya wafaat ki iddat mukammal kare gi to us waqt ye 1st shohar se shadi kar sakti hai. or is amal ko

Id: 5164
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asallam o Alaikum mufti sahab! mujhy ap se ye pochna tha k talaq dene waly or qula lene waly ka kya gunah hay

Answer: Wssalam o alykum, koi guhnaah nahi hai. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , 2367, 2492 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Id: 5166
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri biwi ko mene ek dosre bande se baat karti hy,aur woh mili bhi hai us se,akele mein,aur usne yeh kabool bhi kia hai ,,mera beta bhi hai ,,,ager mein tallaq don apni biwi ko to kia mera beta mere paas rahega ?? kun k yeh ek sharam naak harkat hy

Answer: Ager wo toba karain or apne is amal ko dubara na duhraain to ap un ko muaaf kar dian. Or ager is amal per baqi rehain to behtar hai ke un ko talaaq de dain, or ager ap ke bete ki umar 2 saal ho chuki hai to ap us ko apne paas rakh sakte hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2367 , 2422 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 5171
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri biwi ne zabardasti court se khulla liya hai.mere sign k bagair ab mein kiya karon kiya shariat ke hisab se bhi talaq hogai

Answer: Talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai deta hai na k aurat talaq court se le, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5172
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: merey apse 2 sawal hen.pehla ye k agr shohar apni biwi ko paper divorce dede accept his sign or us k bad upni biwi ko ruju(sex) bhi karle again to kia talaq hojaegi.?or dusra sawal k agr talaq hojae to usko sudharne k leay kia tareka karna chaye...?

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay likh kar talaq nahi hoti hai. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!