Question: Meri biwi mujhe talaaq chati hai or mai nhi dena chats usne mujhe jhothe dahej mangne ke liye muqadme me phasa diya hai or WO court we talaaq maang rhi BT mai usko kisi bhi halaat me chodna nhi chats kya bina meri merzi ke WO mujhse talaaq me saktu hai
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. . (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (ref:Ayat Ullah kohi Tauzee hul masail, maslah# 2508,2517,2507) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mein ne apni bv ko 3 bar kaha k mein ba hosho hawaas tumhain tillaq deta hoon.mein ne lafz tillaq istemal kiya.lafz talaq istemal nahi kiya.aur mera irada apni wife ko darana tha.tho kiya hamari talaq ho gai hai?
Answer: G nahi ye talaq sahi nahi hai.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Assalawaleikum meri pareshaani hai ke meri biwi 6 mahine pahle mujhse jagdamba karke mayke chali gyi a bhi 1 month pahle mene apne bhai bhai fuffo ke samne bhai ke bhadkane par gusse me apni biwi ko talaq de diya meri talaak hui ya nahi
Answer: G nahi ye talaq nahi hui is liye k talaq k liye zaruri hai k insan apni biwi ko talaq dene ka qasad or irada rakhe, lehaza gusse or bger irade k ya phir kisi or k kehne k talaq waqe nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: salam, ager kisi ka shohar 5 saal se qaid / Jail main ho or ane ka koi pata na ho to os bivi ko kia kerna chahye. plz jald jawab den. thanks
Answer: Wssalam o alykum, Mujtahid ke wakeel se mil kar apna masala bayaan karen.(Ref : Aqa Sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 413 , eidition # 5). Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, her raat ko sone se pehle sura yaaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaati ul jinaan , topic # Fazilat e Sura e Yaseen , pg # 04 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: tanseekh e nikah ka kya matlab hai
Answer: Tanseekh e nikah ka luggwi matlab Nikah ko khatam kerna. Merd or aurat apne nikah ko chand aib ki sorat main nikah ko faskh ker sakte hain yani baghair talaq diay nikha ko batil ker sakte hain. (Ref: fairozul lughaat jaame new edition, pg#384 + Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2345-6) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mere suhar keh bhai ne unko ei baat boli ab wo keh rahe hai keh mein ne bhai ko koi baat nahi boli agar boli hogi to 3 talaq hogai ge ab bhai keh rahha hai keh mughe baat boli hai mere sohar ki talaq dene ki koi niyat nahi thi to kya talaq hogai???
Answer: Is terah se talaq nahi hoti.(Ref: Ayat ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalam-waalaikum mere papa ne meri mammy ko gusse me qura'an sharif utha kar 3 bar talaaq kaha h,, kya wo talaaq hua hai ya nhi.. fir baad me unhe ehsaas hua k unhone galat kiya h,,, aap bataye talaaq hua hai ya nhi
Answer: Aisi Talaq sahi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mare hasband ne mujy mara nam liye bagr talak de ha buth sadid guse ki halt ma. kia ye lalak ha? or mara 11 mah ka ak beta ha?
Answer: Ye talaq sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2507 to 2518). Update on dated 01-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia saas k khyal say mushzni krnay say nikah toot jata hay
Answer: Is se nikah nahi tote ga, lekin mushzani gunah e kabira hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2472+ Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 01-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam how r you may married hoo to parents agar talaq diwana chahtay hay to kiya karo islam kiya khata hay is baray may may talaq nh dena chahta?
Answer: Agar koi maan (ya baap) apne bete ko kahe k apni biwi ko talaq do to is masle me baite per apne maan (ya baap) ki baat maana wajib nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 350 , Pg # 214 , Eidition# 5). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).