Question: after divorce salsa of nikkah without rukhsati, they can re marry with each other or not? and if yes, then how?
Answer: Yes, they can marry without taken iddah. They should re-recite marriage formula. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2474,2486). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mei apni shadi se khush ni mjhe koi or pasand hai ab btae ke mei talaq kese lu r ye jaiz hai ya ni
Answer: Agar aap nikah k waqt is nikah k liay razi theen ya nikah baad razi ho gae theen tu aap ka nikah durust hay or talaq ka huq shohar k paas hay.is silsile main aap on se baat karain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335,2338,2462). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam alykum ,mujhy curt se acnak talaq mili or mehar bi or edat ki raqam bi ki talaq ho gye j
Answer: Ye talaq sahi nahi. talaq k liay seegha zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2472). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: shohar dhoka dyty hoay milta raha curt se talq bi dy di mgr milta raha jb tk talaq biwi ko mosul nae ho gye kia talaq ho gye mgr segha jari nae hoa hai.
Answer: Ye talaq sahi nahi. talaq k liay seegha zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2472). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam o alekum, main apni bive ko tallaq dena chatta hu uske liye kiya tareekay kaar huga, main bivi se or bivi mujh se khush nahi, donu ka faisla talaaq pe aya hua he guzishta 6 mah se. bivi talaaq ki demand kar rahi he,
Answer: Zarori hay k talaq ka seegha sahi arabi main lafaz taliq(طالق) k sath perha jaey or 2 adil gawah merd ose sunain. Maslan agar aurat saamne ho tu merd yo kahain anti taliq(انت طالق ). Talaq ki or bhi sharait hain jis k liay aap is link per click karain .(Ref: http://www.sistani.com/urdu/book/61/3650/ ) Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri Ammi mere husband ko pasand nahi kartin, aur humesha Kehtin Hain k chor do, jab k mera husband mujhy aisa kabhi nhi Mehta aur mai khush bhe hon... Maa ki dil dhukhana mana hy aur shohar ki ataat farz ... Islam is condition mai kia kehta hy
Answer: Is maamle main aap per apni waalda ka kehna manna wajib nahi hay.Laikin haan aap maan se bad kalami nahi ker sakti. (Ref: Mafhoom e http://www.sistani.com/urdu/qa/01842/). Update on dated 01-09-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mene guuse me apni bibi ko talaq de diya ab mujhe behad afsos h aur allah se is gunah ki toba karta hu aur apse ye poochhna chahta hun kiya mera uske saath dobara nikah jaiz h. meri umar 70 saal h. aur 9 bachhe h.
Answer: Ye talaq sahi nahi hai Q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472). Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam mera sawal ye hai dosri shadi karny k liye mujh se shartan talaq nama lekwaya gaya mai apni biwi ko talaq nahi dena chahta or talaq nama mai lafz talaq leka kiya ye talaq aik howi hai ya nahi
Answer: Ye talaq sahi nahi hai Q k talaaq ki chand shartain hain jin jin main se aik ye hay k talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق”k saath perha jaay. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472). Update on dated 20-05-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Talaq tahrerey tor per aik marta count hoge ya aik he talaq 3 k barabar hoge. Agar talaq k seegay bhe phone par parh leye gae hon?????
Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti ( yani nikah baqi rahta hai). 1.talaaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) na kia ho. 2.talaaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay maslan agar kise ki biwi ka naam Fatima ho to shoar yu kehe :zojati ( ------- ) طالق . brakit (----- ) me zoja ka naam le 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.,7) talaaq mualaq nahe hone chaie yaani kise chease per moukoof na ho (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,pg # 152) . Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agr lrka lrki mazak mazak main 3 dafa qabool hai qabool hai bol dain to nikkah ho jata hai
Answer: Nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2333-2335). Update on dated 16-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).