Question: agr kisi ka shohar bar baar usay ye kahay k main tera falan k sath nikha kra don falan k sath nikha kra don to kia sorat main us k apni biwi k sath nikha qaim rahta hay?
Answer: Is terah se talaq nahi hoti, or nikah qaaim rehta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera nikah hua hy ruksati nhe aur mere husband jb b jhagra hota hai mujhe ghusse ke halat main talak dete hain kya is tarha talak hojate hai?
Answer: Jee nahi, is tarah talaq nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 17-09-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera nikah hua hy ruksati nhe aur mere husband jb b jhagra hota hai mujhe ghusse ke halat main talak dete hain direct kehte hain maine tumhe talak de aur ma tumhe talak deta hu kya is tarha talak hojate hai?
Answer: Jee nahi is tarah talaq nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar husband apni wife say kahay k agar tou nay flana kam kya tou tum mujh par talaaq hay, aor wife wo kam kray tou kya hoga? plz reply
Answer: Is tarah se talaq nahi hoti. (Ref: Ayatullah sistani d.b, tauzihul masael , maslah#2462 ) Update on dated 11-08-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Slam, mera sawal ye ha keh agar husband,wife apas me jagra karte hove wife ye kahe muje chor do, or os ka husband ye kahe thek ha me tume chor do ga, ya esa kahe ke me tume chor dyta ho to kaya es emal se talak ho jaie ge...........?
Answer: Aap ka nikah baaqi hay, is terah se nikah batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah sistani d.b, Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 09-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: hum ne apni wifi ko kaha k "tum apne jindagi apni tarikase gujaro hum or kuch nehi bolen ge" is batse kiya mera wife ke sath mera nikha tut gaua h ?
Answer: Is teah se talaq nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2507). Update on dated 14-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Talaq k bad bachon ko kis k sath rehna chahiye
Answer: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai, or olad jab tk 2 saal k na hojaen unka bap unko unki maa se juda nahi ker sakta is liye k bachon ki negehdasht man or baap dono k zimme hai or ahwat or aola(behtr) ye hai k bachon ko 7 sal tak unki man se juda nahi kiya jaye. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2422-2462). Update on dated 30-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Talq k bad bachon ko kis k sath rehna chahiye
Answer: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai, or olad jab tk 2 saal k na hojaen unka bap unko unki maa se juda nahi ker sakta is liye k bachon ki negehdasht man or baap dono k zimme hai or ahwat or aola(behtr) ye hai k bachon ko 7 sal tak unki man se juda nahi kiya jaye. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2422-2462). Update on dated 30-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mere husband ny during pregnancy 1 talaq d aur delivery k 40 days bad ruju kia to kia nikah baki hy ya talaq ho gai
Answer: Talaq e rije main iddat k doran ruju ker k bivi banaya jasakta hay or agar oski iddat khatam hone k baad ruju kia jaey tu os se nikah ker k os ko bivi banaya ja sakta hay. ker.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475). Update on dated 29-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).Update on dated 18-02-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: Aap ka nikah baaqi hay.
Question: Agr koi mard apni bivi k Sammy koi shart Rkhys or khy I sy pora kro warna tm meri try sy farigh or phir bv wo kam na kr pay to kya tlaq ho jay gi
Answer: Is terah se talaq nahi hogi. Talqa ki khuch sharaet hain is link http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/ per perh sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354-355). Update on dated 17-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).