Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 9460
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai ny apni biwi sy kaha k mai aisa kam yani karobar ky lehaz sy auk b kaam timhari ejazat ky baghair nahi karoon ga kya aisa boalny sy talaq ho jati hai...

Answer: Is tarah talaq nahi hoti. Minhajus saliheen, part#3, maslah#498). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9468
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera aj biwi se jaghra hua jis par maine usse 3 dafa talaaq kaha ab mera tallaq hua hai ya mjhy kia krna chahiye B qoitrat

Answer: Talaq mai zaroori hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, laihaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya shaded gussay ki halat main talaq day tu, talaq sahi nahi hogi.is k alawa bhi is talaq main degar sharet e talaq majood nahi, maslan talqa k waqt do aadli hazraat ka hona zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Mafhoom e Maslah #475) . Update on dated 26-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9494
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum, mene apni wife se divorce lene k lie phone pr do logo se gawah ke tour par bol diya ki m apni wife ko talaq deta hu (3 baar). pr wife se kuch nhi bola. usko kuch pata v nhi hai. Kya mera talak ho gya ?

Answer: Talaq ki kuch sharaet hain, sirif yeh bolna k main apni biwi ko talaq deta hu( 3 bar ), es say talaq nahi hoti, wo apki biwi hi hay. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, maslah#498). Update on dated 10-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9614
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya AGR mard aurat ko paper py talak likh k dy k \"WO ab us per harm hy aur usy talak deta hy\"" two kiya asy my talak jaiz hy? Jb k Dino shia fiqa sy hon?"

Answer: Yeh talaq nhi hoi, Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 09-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9615
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AGR KO SHAKS APNI BVI KO GUSY M KAHY KY TM MERY UPAR HRAM HO TO ISTRAHA TALAK HO JATI HY . YA IK TALK DY TO TLAK HO JAE GI

Answer: Aisi talaq batil hay or aap ka nikah baaqi hay.Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 08-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9693
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kagaz par talaq likhi lekin biwi ko diya nai zaya ker diya tu kya talaq ho gei?

Answer: Likh ker talaq daina durust nahi hai. or aisi talaq batil hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 01-06-17 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9713
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talak kaisy hoti hai 4 bandon k bech me beth k bolny se hojati hai?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti ( yani nikah baqi rahta hai). 1.talaaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) na kia ho. 2.talaaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay maslan agar kise ki biwi ka naam Fatima ho to shoar yu kehe :zojati ( ------- ) طالق . brakit (----- ) me zoja ka naam le 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.,7) talaaq mualaq nahe hone chaie yaani kise chease per moukoof na ho (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,pg # 152) . Update on dated 13-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9717
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr mard boly k tm muje chor do tw is sy talaq ho jati ya nai?

Answer: Jee nahi ye talaaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2462). Update on dated 11-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9730
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr shor bv ko khy k tm is shrt ko pa mary pas ana warna ni or agr bv wo shrt pori na kry to kia talak ho jati ha

Answer: Jee nahi, aise talaq nahi hoti is ki kuch sharaet hain jin ka hona laazmi hai.(Tauzeeh ul masael ayatollah seestani edition 39 maslah#2462). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9733
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya text msg par talaq kehne se waqai me talaq hojati hai?

Answer: Jee nahi text msg par talaq dena sahi nahi hai Q k zaroori hai k talaq ka seegha arabi main parha jaey or do aadil mard isey sunain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2472). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!