Question: agar koe orat apnay shohar se ye kahay k ap mujay apni maa behn ke tara samjo to kia en alfaz se talaq ho jae gi ya nikah pe koi asar paray ga kia shohar orat se hambistry kar skata hay ya koi fidya karna paray ga
Answer: Jee nahi, is tarah sai talaq nahi hoti, talaq k liay kuch seghay hain jo adaa kiay jaatey hain or kuch sharaet hai jin ka hona laazmi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah# 2462,2472). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya bivi k liye maa baap ko chodna sahi hai agar sahi hai to soluation btaw or agar maa baap ko bivi psnd nhi hai to kya us bivi ko choda jaa skta hai or wo dusri shaddi kr skti hai.
Answer: Maa baap kay kehny per bivi ko talaq dena zarori nahi hay or husband or wife men judae kerney walay tareeqo men aik tareeka talaq hay ,or talaq na pasndida kamon men say hay, or agar talaq ho jaey to agar shohar nay us say hambistari ki ho us kay liay iddat hogi or iddat kay bad orat kisi or say shadi ker sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2475 ). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar shohar biwi p shaq kare to kya biwi ka khula lena jayaz hai
Answer: Aap k liay on se talaq ka mutaalba kerna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, jild#3, maslah #616 ). Update on dated 10-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia Islam Men Husband & wife men Bina Humbistari(sex) ky Talaq ho sakta hai ? I mean un men kabi sex na huwa ho to kia talaq dia ja sakta hai ?
Answer: Jee haan, talaq ho sakti hay . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2463 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ye hai agr ksi larki sy nikah hu or wo dono sex ma sb kch kre sirf intercourse (khroj dakhol)na kren or bki sb kr k ek dsore ko dischrge kre agr bad ma talaq ki nobat ae tu larki k lye idat lazmi hugi ya nahi kiun ruksti nahi hui...
Answer: Is ki koe iddat nahi hogi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2475). Update on dated 16-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri biwi mujhe chord ke mayke baithi hui hai wapis nhi ana chahti, main Dusra nikah karna chahta hun, Main apni biwi ko talaq dena chahta hun Pls mujhe asan tariqa bataiye
Answer: Mard apni pehli biwi ko talaq diay baghair bhi doosra nikah kar sakta hai,doosray nikah k liay pehli biwi ko talaq daine ki shart nahi hay. Agar koe shaks apni biwi ko talaq daina chahta ho tu do aadil gawah ki moujoodgi main talaq k seeghay sharaet k saath ada kar day. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2462-2472). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 1 talaq k bad sex karana
Answer: Jaiz hay or is k zerye say rujoo ho jaey ga or talaq khatam ho jae gi . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2488). Update on dated 20-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr shohar 1 mah phle biwi ko 2 talk de or 1 mah bad b 2 talaken de to kia talak hojati h?
Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 19-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaikum mara sawala ya hain ager bivi ka sath ladiya krta karta har bar ma talak karta hu kha to talak hote plz jaldi jawab doo
Answer: Talaq ki kuch sharaet hain jin k baghair talaq nahi hoti, on sharaet main se ye bhi hay k talaq arabi zaban main di jae or bivi haiz o nifas k khoon se paak ho waghaira waghaira. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2462-3). Update on dated 29-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri shadi ko 2 saal hogy ha or mere shuhar ny mjhy phely 2 dafa talak bola phr saal bd phr 3 dafa talak bola phr 3 mahiny bd phr 2 dafa talak bola kia humra nikah toot gia ha
Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaey yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaey. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) Update on dated 10-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).