Question: kya larki sharai talaq le skti hai
Answer: Bivi shohar se talaq k mutalba karne ka huq rakhti hay, lakin shohar per ye wajib nahi hay k bivi k mutaalba kerne per os ko talaq day. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 40 maslah no 2492). Update on dated 27-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mery husbnd ny mjhy cl py ek sth 3 talaq di hyn bs ye e kaha k m ny tmhy talaq di tou kiya is trha talaq hu jati hy???? Quran ki ayat ka hwala dy k plz answer dy dyn
Answer: Nahi is tarah ki talaaq durust nahi hai talaq ki kuch sharait hain jese talaaq k seeghay wazeh arqbi mai parhna,do aadil ki moujoodgi mai un ko gawah bana kar talaaq daina wagerah wagerah.............(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2462,2472). [Updated on 23-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Talaq k bd sohbat ho jy agr to tlq rehti h ya nhi
Answer: Talaq ne rajee k baad hambistari kerne se ruju ho jata hay or talaq nahi rahay balke dobara is main ruju hogaya.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2488 point 2). [Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ruju karne se iddat khatam ho jati hai talaq ke masle main ya wo 3 mahine ki hee rehti hai chahe ruju karein ya nahi
Answer: Iddat k time men ruju karnay say wapas wo biwi ban jaati hay talaq ka asar khatam ho jata hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah # 530). [Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mian Biwi Ka Jhagrhay Ka Doran Sohar Ka Mun See Talaq Lafz Nikal Istemal Hoto Kya Talaq Hojati Hai
Answer: Jee nahi is tarah sai talaq nahi hoti q k talaq ki sharaet main sai hai k seeghay do aadil mard gawaho ki moujoodgi main adaa kiey jaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2462,2472) [Updated on 12-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mere cousin hai us ka nikah huwa tha 2 saal pehle magar rukhsti nahi huwi aur ab larki ke dada dadi talaq lena chahte hai aur mera cousin nahi dena chahta is bare mien kya hukum hai
Answer: Us k liay apni biwi ko talaq daina wajib nahi hay islam ne talaq ka haq merd ko dia hay. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part 3 question 105 pg 53 ref: ayatullah sistani d b tauzihul masail maslah#2462). [Updated on 09-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam main apni bv ko talaq dena chahta masla ye h k woh kisi surat b ghr walo ko accept nhi kr rhi aur is wqt woh pregnent h kya is situation m talaq hoskhti h
Answer: Was Salam. Jee hamila ko talaq di ja sakti hai balkeh agar haamla hai or haiz ki haalat mai hai tu bhi talaq hoj aey gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#2464). [Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-o-Alaikum: Sir mera sawal ye hai k. kiya kisi ko Majboor kr k, our Dra Dhamka k talaq lainy sa talaq ho jati hai? Sir please mere swal ka jwab mujhy email kr den
Answer: Was Salam. Jee nahi is tareekay ki talaq durust nahi hai q k talaq main ye shart hai k apne ikhtiyaar sai sahi arabi main 2 adil gawaho ki maujoodgi main di jaey. (Ref :Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2462). [Updated on 21-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meray Bhai nay 2 bar asay alfaaz bolay k agr meri Behan ghr aey ge tu meri bv ko Talaaq ho jay ge.tu jub Behan ghr aa gai tu Kia Talaaq ho jay ge
Answer: Mard k liye zaroori hai k talaq ka seegha arbi mai adaa karay or do aadil mardo ki moujoodgi mai ada karay is k alawa talaq durust nahi hogi. lehaza ye talaq batil hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2472). [Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager biwi hamal se hai Aur Sohar talak de to Kya man liya jayega
Answer: Jee halat e hamal main agar mukammal sharaet k sath talaq di jaey tu talaq ho jaati hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah Khoe(r.a), maslah #2510). [Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]