Question: Mery husband ny Kaha mugy Tumhari zarorat Nahi jao chaly jao tu kia talak ho gy
Answer: Jee nahi, Fiqh e jafferiya main is tareeqe sai talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2462-2472). [Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar gusse me kisi shaqs ne talaq dedi to uska koi kaffara hoga kya
Answer: Fiqh e jafferiyah main shadeed ghussay main talaq nai hoti. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2462). [Updated on 26-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gusse me behas ki haalat me 3 bar talaak bol diya or wife k phone me recording ho gya, us recording ko wife k ghar walon ne suni to kya talaak ho gya?
Answer: Je nahi ye talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462). [Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu wa alaikum hazrat agar hadse zyada gusse me matlab samajh hi nai sakta k kya kar raha ho aisi halat me 3 talaq bolnese talaq hojati hai kya
Answer: Jee nahi shadeed ghusse ki halat mai talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462). [Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Hi baar 3 talaq kehne se Talaq Ho jata hai??
Answer: Fiqh e jafferia main is tarah ki talaq durust nahi balkeh deegar sharaet k saath zaroori hai k talaq k seeghay arbi zabaan mai ada kiye jaayen.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2472). [Updated on 30-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alaikum mufti sahab mera swal hai k mere husband ne mujhe zuban se 3 br talaq di hai lekin abhi tk papers nhi bheje aur na hi ruju kia hai 2 mah guzar chuke hain. Aise mei kia talaq ho jati hai aur meri 1 saal ki beti b hai.
Answer: wsalam. Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain: Talaq ki kuch sharaet hai jese talaq k seeghay arbi mai parhay jaain do aadil mardo ki moujoodgi mai parhay jaain wagerah..... agar tamam sharaet mukammal thi tu talaq ho jaay gi warna talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472) [Updated on 16-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alaikum mufti sahab mere husband ne 2 mah pehle mujhe zuban se talaq di thi lekin paper nhi bheje aur na hi ruju kia wapis.meri 1 beti b hai 1 saal ki. Aise mei islam kia kehta hai?
Answer: Is website per fiqh e jafferiya(shia mazhab) k mutabiq jawabaat diay jaatay hain: Agar talaq ki mukammal sharait moujood theen tu talaq hojaye gi, likh kar daina zaroori nahi hai. talaq chand sharaet ye hain: 1) Talaq k seeghay arabi main adaa kiay jaey. 2) 2 aadil gawahmoujood hoon. 3) aurta haiz o nis=faas se paak ho. waghaira waghaira. (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani editon 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A girl can have engagement during the period of idat
Answer: Agar talaq rajee ki iddat hai tu us mai shadi k liye paighaam nahi bheja sakta or nah hi nikah ho sakta hai. Lekin agar iddat talaq baain hay ya iddat e wafaat hai tu phir faqat baat pakki ki jaasakti hai ya paigham bheja jaa sakta hai lekin nikah, iddat k baad hi durust hoga.(Ref: Minhajus saliheen ayatullah seestani, part 3, maslah#199). [Updated on 24-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar shohar nay 3 talaqen day di hon or 3 talaq dainy k agly din jab bv idat me ho or usi ki chat k nechy ho to WO apni bv say ruju kar lay to talaq khatam hoi ya kia hoga plz bata dain.
Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق†k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 29-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bewi na khula li hai, par miya na sirf papers sign kiya ha khula ka mui se talak nhi dee hai kia dubara nikkah jaiz ha bgair halala ka?
Answer: Talaq ki sharaet main sai hai keh talaq ka seegha sahi arabi main 2 aadil mard gawaho ki moujoodgi main adaa kiey jaey. (Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2462, 2472). Talaq ki chand sharaet hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahi hoti 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi ref ayat ullah seestani d b tauzee hul masail maslah 2462 to 2464 amp pg#460). [Updated on 25-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]