Question: kia talak ky bad koi time hota ha or aik bad mjy preshaan bht rhta pta nae glt kea ya sae likn iska koi hal ha
Answer: agar talaq tamam shariat k sath sahi di thi to 2 tareeqay sai insan iddat k doran aurat ki taraf roju kar sakta hai 1 aisi baat karay jis sai pata chalay k is nai osay dubara apni biwi bana lia hai 2 koi kaam karay aur os sai roju ka irada karay aur jima karnay sai roju sabit ho jata hai is k alawa mard k lie lazim nahi hai k kisi ko gawah banay ya apni biwi ko roju ki khabar dai (Ref ayatullah sistani d b tauzeehul masail 31st edition maslah#2488 89). [Updated on 23-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr aik aurat ka nikah ho chuka ho or us ka shuhar khin chala jay or wpis naay to us ka nikah kisi arsa ma khtm hota hai ya nhi?
Answer: Nikah usi soorat mai khatam hoga jub shohar talaq day or agar shohar laapata hai tou aisi soorat mai mujtahid ya us k wakeel sai raabta karein.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2504). [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager husband ghuse mei kahe k tum azad ho jo b decision logi osmei mei tmhre sath hoon kya yeh talak hei?
Answer: Je nahi is sai talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition#41, maslah#2462). [Updated on 24-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alikum Mn apny shohr sy 3 sal ssy dor hoon or ab talak hoi hai adalat sy tou ab mere liye kitni idat hogi
Answer: shia mazhab main talaq court say nahi li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2492, 2397). [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mulana sahab mera sawal ye hy agar bivi ko sohar ghusy ki halat mae ye kahe k aj k bad mera tumhara jisam ka reshta khatm tu kia es se nikha toota hy ? plzzz es ka jawab zaror dy
Answer: Is tarah se talaq nahi hoti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2474-2491). Update on dated 30-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: اگر دل میں اپنی بیوی کو طلاق دینے کا خیال آۓ جب کے میرا ایسا کوئی ارادہ نہیں ہے اس سے طلاق تو نہیں ہو گی؟
Answer: Talaq ki khuch sharaet hain, is tarah talaq nahi hoti . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462) Update on dated 03-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mai ahly hadees firqy se hun or paper per 3 dafa keh kr sign kr dia. bivi umeed se h kia taqlaq ho jae gi.
Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatey hain.
Question: agar shohar gussay main bivi ko yae keh dy k tm mairi taraf sy tm azaad ho magar dil main talaq ki neeyat na ho tou kia talaq ho jati hy?
Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 05-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mjy bewi ny gusa delaya main ny gussy main kha ap mari tarf sy farg ho ap sy myra koi talaq nhi or es gher sy jeena merna khetem ha saman utahoo . mjy apni wife ko wapes lana ha mjy gher bechana ha please mjy betaya es ka solution
Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 17-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam o Aliekum mje poshna tha k mera divorce ho gya court k throw. Mere husband ko divorce pprs mile jis pe srf mera sign h . Kia ese divorce ho skta h according to islam ?ya ab b hum husband wife hen ? Plz ans. Thnks
Answer: Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day talaaq nahi hoti or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2492). [Updated on 20-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]