Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 10866
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri sister 5 saal sy naraz ho kr meky aai hoi hai, os k husband ny osy divorce nai di abhi, to kiya bin kahy osy divorce ho gai hai?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Update on dated 03-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: Is amal se talaq nahi hoti.

Id: 10867
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri sister 5 saal sy naraz ho kr meky aai hoi hai os k husband ny osy divorce nai di abhi to kiya bin kahy osy divorce ho gai hai shari lehaaz sy.

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). Note: aap ki sister ko talaq nahi hoe. [Updated on 05-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10872
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr shohar apni bv ko kahay tum mere haq mea nahi ho to kya talaq ho jaayegi

Answer: jee nahi is tarah sai mazhab e jafferia mai talaaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 masail no 2462-2472) [Updated on 05-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10878
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera nikha howa ruksati nai howi thi wo mental ill nikla . or 1 month bad us larky ny msg pay muje likh dia k 3 bar k main tumhe divorse deta hun . kia is sy talq hojayegi ?

Answer: is sorat me ap nikah faskh ( cancel )kar sakti hain albatta Is tariqay se Fiqhe Jaffaria me talaq nahi hoti, talaq dene ka haq sirf mard ke paas hai aurat ke pas nahi, Talaq ki sharait: Is terah talaq nahi hoti hai talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) [Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10883
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa sir, kya ourat divorce lainy ka bad apny jeth sa nikah kar skti ??

Answer: Talaq ki iddat guzarnay k baad jaiz hay. (Ref: tozi ul masahil Aga Sistani edi:2019 masla # 2349) [Updated on 14-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10899
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: zaid ne apni biwi ko talaq de di fir iddat guzrne ke fir nikah karna chahata hai to is masala ka jawab kiya hoga

Answer: Talaq e rijee ki iddat k baad dobara nikah karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2491). Update on dated 09-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10987
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Apni biwi k sath kisi zhagde se wo uske ghar chali gai aur wapas manane k Baad wo ghar aaja jati h to to kya fir se nikah kar sakte h ?

Answer: jee nahi, Is terah talaq nahi hoti hai talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10997
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.o.a muja apna hasbnd sa khula chiya wo sharab b pita lkn 4 sal sa hm ps nahi ay mtlb hmbistry ni hoi wo mja talaq b mhi da rha muja us k st rhna b nhi plz batin k khula ksa hogi

Answer: Biwi k liay talaq lena jaiz hai wo shohar sai talaq ka mutaalba kar sakti hai lekin agar shohar talaq nah day tu aurat hakim e shara say ruju karay tu hakim e shara halaat ko madd e nazar rakhte hoe talaq k seeghay jaari kar day ga.(Ref:Jadeed fiqhi masail ayatollah seestani mafhoom e masla 428 page 214). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11004
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alikum agar koe aurat 5 month se shohar k sath na reh rahe ho khula k bad 1 haiz k bad nikha kar sakti h

Answer: jee nahi apko talaq ke baad 2 haiz tak intizar karna hoga.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail,Masla No:2475 ). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11007
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar shor apni biwi ko ki samajh lo talaq Ho Gaya to kya talak ho jata hai

Answer: Jee nahi is tariqay se talaq nahi hoti, Talaq ki chand sharait hain, jin me 1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق‚ k saath perha jay. 2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay. 3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay. 4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. 5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani ,Tauzeeh Ul Masail, Maslah No 2492, 2462-72). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!