Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 11011
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager shohar bv ko bar bar gysa may talak bolye talak talak talak or bv k sath na rhy us ko chur k chala jye kise or k lye or bv k sath koi rishta na rakhy or 1saal bad wapis aye k sath rhna hai to kiya talak ho jati hai k ni?

Answer: 1) Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11117
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AGAR MALE TEEN BAR TALAK BOL KAR TALAK HO JATA HAI TO AURAT KO TALAK KI JAGAH KONSA LAFZ BOLNA CHAHIYE JISSE TALAK HO JAYE?

Answer: Is tariqay se Fiqhe Jaffaria me talaq nahi hoti, talaq dene ka haq sirf mard ke paas hai aurat ke pas nahi, Talaq ki sharait: Is terah talaq nahi hoti hai talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11175
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mjhe ap se ye pouchna ha k agar aik aurat ka us k shohar se 2 saal se koe hambistri na howe ho or woh usko talak de dai to us pr edat frz h?

Answer: Jis aurat ki umar no saal ho chuki ho aur yaaisah na ho aur uska shohar us se mujamiat (humbistri) kare to agar woh use talaq de to us aurat ko chaiye keh talaq ke baad iddat rakhe aur azad aurat ka iddat yeh hai keh jab us ka shohar use paki ki halat me talaq de to uske baad woh itni muddat sabar kare keh do dafa haiz ka khoon ane ke baad paak ho jaye aur jonhi use tisri dafa haiz aye us ka iddat khatam ho jata hai aur woh shohar kar sakti hai lekin agar shohar aurat se mujamiat (humbistri) karne se pehle use talaq de de to us ke liay koi iddat nahi yaani woh talaq ke foran baad shohar kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sayyid Abul Qasim e Khoie R.A ,7th edition, maslah no : 2520) Note: is bayan karda maslah k mutabiq os aurat ko iddat rakhni hogi. [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11194
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar shohar biwi se gusse ma kahy mai aesa hn aesa hi rahunga tmhe koe masla ha to apne baap k ghar chali jao.. isse talaq hojati kia.. Ya ma alag kar dnga.. isse talaq hojati?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11206
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Alikom Ager biwi gusey men apne shohar ko keh de k beta tumhey dekh lo gi to kia us se nikkah toot jata hey? Ager toot jaye to uska kia hall hey?

Answer: wsalam.is sai nikah baatil nahi hota.(Ref: Minhajus saliheen, part#3,ayatullah seestani, maslah#635). [Updated on 01-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11257
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir agar kisi ke bivi ka kisi or ke sath chakar chal raha ho or wo apis me video sex b karin to kia ye un ka nikkah rahy ga ke khatam ho jay ga

Answer: Jee nahi aise talaq nahi hoti hai , Talaq ki chand sharait hain, jin me 1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay. 2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay. 3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay. 4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. 5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11276
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere husband mje 3 months se mere ami abu k ghr chor k gye hain or kehte hain k na choro ga na sath rkhna chahta hn to mje kya krna chahye. Is se mera nikkah jaiz rhe ga? Ap se suggestion chahye mein kya krn.

Answer: Jee nahi aise talaq nahi hoti hai , Talaq ki chand sharait hain, jin me 1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jay. 2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay. 3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay. 4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. 5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) . [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11396
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr bv ko b NA btai court mai talaq dain to kia talak hojati hai ??

Answer: Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath fiqhe jaferia ke mutabiq talaaq na day talaaq nahi hoti chahe biwi ko maloom ho ya na ho or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahi hoti. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2492). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11464
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talaq ke waqt mard aurat dono ka Court me hona Lazmi hai kya

Answer: Mazhab e jafferia mai court sai talaak durust nahi hai balke mard do aadil gawaahon ki moujoodgi mai talaq k chand sharaet k sath talaaq k seeghay jaari kar sakta hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2472). [Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11477
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar wife sub se chup kr apny shoure ko khula k notice bhj day.or kise ko b pata na ho.even k shoure ko b pata na ho.or na he shoure ko notice mila ho.is sorat main khula waqe ho jye ge?

Answer: Mazhab e shia mai court sai khulaa ya talaq nahi li jaa sakti, us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahi wo aurat apne shohar k nikah mai rahay gi. Talaq ki chand sharait hain, jin me 1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jay. 2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay. 3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay. 4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. 5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani ,Tauzeeh Ul Masail, Maslah No 2492, 2462-72). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!