Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 11807
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir want the know that Agar shohar biwi ke sath zalimo Wala bartav Kare or use talaaq bhi na de to Kya biwi dusra nikah kar sakti hai

Answer: Doosra nikah durust nahi hoga q k shohar daar aurat ka dobara nikah karna durust nahi hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2341,2366). 1) Talaq ki chand sharaet hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahi hoti. un me se aik ye ke jab tak shohar khud apne irada or ikhtiyar se apni biwi ko talaq na de tab tk talaq nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462 to 2464 & pg#460) [Updated on 25-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11860
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya talaq ke baad baat ker sakta hain thori bohot

Answer: Talaq e rijee ki iddat k doran bivi zauja k liay mehram hoti hay or baat karna jaiz hoti hay, laikin Iddat kahtam hone k baad shohar, aurat k liay na-mehram ho jaata hay lehaaza,aik (namehram) se aise baatain ki jasakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota . Isi tarah baghair lazzat k irade k os ki batain bhi soni jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11941
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talaq k baad agar dono fard aik arsa k baad kisi mahfil mai amne samne aa jaien to jaiz hai

Answer: Talaq e rijee ki iddat k doran bivi zauja k liay mehram hoti hay or baat karna jaiz hoti hay, laikin Iddat kahtam hone k baad shohar, aurat k liay na-mehram ho jaata hay lehaaza,aik (namehram) se aise baatain ki jasakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota . Isi tarah baghair lazzat k irade k os ki batain bhi soni jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) [Updated on 03-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11959
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر کسی شخص نے بیوی کو طلاق دی اب یہ یاد نہیں آرہا اس نےطلاق ٢ بار کہا ہے یا ٣بار کہا ہے تو کیا وہ بیوی کے ساتھ ریہنا چاہتا ہو تو کیا رہ ساکتا ہے

Answer: Mazhab e shia Talaq ki Sharait :1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz اَنتِ طَالِق‚ k saath perha jay.2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11960
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia janabat ki halat main talaq ho jati hai?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11986
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam u alikum mery sohar ny mujhy phly 1 talaq bejhi osky 3 month ka bad 2osri aur 3sri b bejh di ha ek sth to kya mujhy talaq ho gai ha ya nai

Answer: Mazhab e jafferia mai is tareekay ki talaak durust nahi hai balke talaq ki kuch sharait hai jese k talaq k seeghay do aadil gawaahon ki moujoodgi mai arbi mai parhein jaey.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2472). [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12017
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Talaaq ka puchny sy bhi Talaaq hojati hy?

Answer: Jee nahi mazhab e jafferia mai is tareekay sai talaق durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462). [Updated on 09-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12058
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talaq e batil ka barye ma tafseeel sy bta dye aghr majboor krny per talaq di jaye to kya talaq ho jati ha ya nai es brye ma b meri rehnumai farma dyee

Answer: Agar talaq apne ikhtiyaar sai or doosri sharait moujood hone k saath di hai tou talaaq durust hojaaye gi warna talaaq sahi nahi hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12100
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr koi Shohar apni bevi ko kahe k tum farigh ho to islam Kya kehta hai is bare mai

Answer: Jee nahi is tarah sai mazhab e jafferia mai talaaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 masail no 2462-2472) [Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12110
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalmo alyikum kiya kisi ke uksane par 3 talaq jaban se nikal jai to kiya talaq hojaigi aur gawa mojud ho

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Talaq ki shariat mai sai hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ya majbori ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) [Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!