Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 11546
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shohar biwi se kaha main tujhe chod diya

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 22-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11554
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: narazgi ki surat me kitny arsy bad talak hu jati ha?

Answer: Fiqhe Jafaria me is tarah talaq nahi hoti, Talaq ki chand sharait hain jinki pabandi na ki jaye to talaq waqye nahi hoti. Talaq ki Sharait :1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz طالق k saath perha jay.2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11557
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talaq 3 ak sath mili hai aur 3 saal sy husband sy door hon tu iddat ho gi aur kitny months ?

Answer: Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. 1-Ye talaq sahi nahi hai Q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) 2- Agar koe shaks aurat ko haiz se paak samjhay or osay talaq day day or baad pata chalay k wo haiz ki halat main thi tu oski talaq batil hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2465). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11588
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi larki ka nikah giwa ho or ruksati abhi baqi ho or meyan biwi k darmiyan hambistri b na hoe ho tou is surat ma larki khula lena chahy q k shohar ka oski traf rawaya acha na ho.. tou kia khula li ja sakti hy?

Answer: is sorat main khula nahi hoti, haan aurat shohar se talaq ka mutalba kar sakti or shohar ko haq hay keh wo talaq day ya nah day, or talaq daine ki sorat main talaq k seegahy shohar ya os ka wakeel hi jaari karay ga. NOTE: Fiqh e jafferia mai court sai talaq nahi li ja sakti. (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition#42, maslah#2492,2493). [Updated on 27-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11613
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal Hy K Agar sohar khdne K Agar meai ny Fala kam Kya tumhare mere talaq hojye our wo kam sogaor kry Kya hojathe Hy plz Hadis Quran K roshni meai bathaye Mera Jana bohot xarori Hy

Answer: Jee nahi Fiqh e jafferia mai is tareeqe se talaq durust nahi hoti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2472). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11643
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamoalicom sir kia biwi ko 3 baar talaq keh deny say talaq ho jati he? Or ager talaq ho gei to waps kesy laya ja skta he

Answer: Mazhab e shia Talaq ki Sharait :1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz طالق k saath perha jay.2- talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72). [Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11677
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wife agr pyar se apnay husband ko My baby keh k bulaye to nikah batil to nhi hota ya husband my baby keh k bulaye apni wife ko

Answer: Is say talaq waqie nahi hoti...(Ref: Toziulmasahil Ayatullah e Sistani db edd 2019 masla # 2471) [Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11683
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maulana Sahb aik shaks ka nikah bgair ksi shart k shari taur py hua Lkn ab alehdgi ikhtyar krni hy Qanooni taur py Nikkah ka koi wjood ni aur dosra shaks talaq ni dena chah rha is soorat mein alehdgi ka kia tareeka hy?

Answer: Jab tak shohar khud apne irada or ikhtiyar se apni biwi ko talaq na de tab tk talaq nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462) [Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11768
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Biwi k shadi k baad kisi or se rishta bana hua tha shohar ko pta lagtey hi usne 1 talak de di Kya shohar ussey maaf kr k dobara nikah kr saktey hai

Answer: Ye talaaq sahi nahi hai, or abhi bhi ap un ki zojiyat main hain. lihaza dobara nikah ki zaroorat nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2633 to 2634 [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11776
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mary khawnd ny mujy talaq di hai notice b bjwaya or voice msg k zreye b kaha.. Ab wo seeghy prhny k paisy maang ry hain toh kia seeghy prhny k bgair tlaq ho jati hai?..Rehnumai kryn

Answer: 1) Shia mazhab main talaq court say nahi li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2492, 2397) 2)Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti ( yani nikah baqi rahta hai). 1.talaaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) na kia ho. 2.talaaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay maslan agar kise ki biwi ka naam Fatima ho to shoar yu kehe :zojati ( ------- ) طالق . brakit (----- ) me zoja ka naam le 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.,7) talaaq mualaq nahe hone chaie yaani kise chease per moukoof na ho (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,pg # 152). [Updated on 25-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!